Posts

Showing posts from 2012

HUKMARANI

Hr insan hukmarani ka shouq rakhta hey chahey woh chota ho ya bara, ameer ho ya ghareeb, sahib-e-ikhtiyare ho ya bey ikhtiyare,iss sey kissi ko koi farq nahi parhta Hukm chalaney ka shoq hr aik ko hota hey .hamarey yahan Mardon mey tou ye boht aam hey pr auratein bhi pheechey nahi hein Mia pr daao chal gaya tou chal gia warna bachey tou hein.Afsar apney maathet  pr aur woh apney sey kam pr Hukm chalaney sey guraise nahi kerta bas jisko jahan moqa mil jaey,Hukmarani ka shouq rakhney waley akser afrad ko ye baat mery khyal mey pata hi nahi hoti ke Hukmarani kerne ky dou( 2) tareeqey Aik ye ke Dil pe ki jaey Dosery ye k Dimagh pr ki jaey,zyda ter loug dimagh pe hukmarani pr zyada  zore detey hei iss ky faidey barey hein iss mey aapki Ego hurt nahi hoti aur foren ke foren baat puri hojatee hey bandey ki chahey aissi ki tessi hojaey,yeh hi tou chata hey Dimagh pr hukum chalaney wala bas ye tou boht asan kaam hey aur issko kerney mey koi nuqsan bhi nahi lakin Dil pr hukmarani kissi kissi ko

KHATA KA PUTLA

Insan khata ka putla hey ye jumla mey ney bachpan sey leker ab tak najaney kitni martaba suna hey aur sun sun ke thak gayee hun yeh hum kehtey hi isliye hein ke khata kersakein ,khata kerney mey maza jo ata hey aur chatey hein koi humein dekhey bhi nahi aur agar dekh bhi ley tou iss jumley ko dohradein , kuki hum apni hi ghaltion ko nazarandaz kertey huey ye baat bohat bar dhuratey hein,

WE LOVE HAZRAT MOHAMMAD Salalah hu elehey wasallam

Allah aur Allah ke rasool sallala hu aley wasallam ki mohabbat ke siwa iss dunia mey kuch nahi rakha ,baqi sab ki mohabbat inn ke baad atee hey.Zahir hey khalq ki mohabbat bhi hamarey Eman ka juz hey jiss ke liye khud Allah Taala hum sey farmata hey ke jiss ney merey NABI ki etaat ki usney merei etaat ki aur hamarey nazdeek Allah ke baad Hamarey Nabi sey barh kr koi nahi Woh tou kehta hey k sarey gunah mey maaf kerdonga lakin Haqoqul-ebad ki pakar hey. Aik muslam honey ki hasiat sey hum pr aur hamaree jaanoon pr sab sey zyada haq hamarey pyarey Nabi (SAW) ka hey,ye baat hr hr Musalmam janta ,samjhta aur manta hey iss liye iss pr koi samjhota nahi 

GOHARE NAYAB

Zakham kitney hi hon hr aik ki apni takleef hotee hey, bas kerna ye hota hey k waqt pr isski dekhbhal kerni hotee hey warna barh jaye tou aur bhi insan azeeyat ka shikar hojata hey.Ye waqt pr hi sahi ilaj sey theek hojaey tou acha hey aur ye tasally kerna bhi zarori hey k ye bhar gya he kuki isska pta nahi chalta k ye bhra hey k nahi,ooper sey bzahir sab sahi hi maloom hota hey lakin andar hi andar ye apni jageh bna raha hota hey aur waqt ki gard ki teh iss per jam jatee hey aur zindagi mamool pr ajatee hey.magar phir kabhi na kabhi  woh lamha zaror ata hey jiska iss ko intezar hota hey aur woh phi Hara hojata hey naye sirey sey obharta hey bas wo aik hi sab pr bharee hojata hey,phir chahey kitney hi aur chout khaey wo itney takleef deh nahi hotee.  han aisa zaror hota hey bohat sarey zakhmon mey dard taqreeban taqseem hojata hey ,koi aik bhi apni alag hasiyet nahi rakhta (siwaey puraney dard k)  magr ihsas purey jism ko hota hey aur wo ihsas itni jaldi khatam bhi nahi hota.ye bhi khu

ANSOO

Ye Anson bhi ajeeb hotey hein ye ku ankhon mey ajatey hein dard apna ho ya praya issey inhey koi matlab nahi lakin ankhon aney ke liye koi na koi bahan mil hi jata hey. Yeh! ye bhi nahi dekhtey ke taleef kis noeyat ki hey rohani hey ya jismani ,nayee hey ya puranee inhey iss sey koi ghraz nahi. jab tak ander rehtey hein theek hota hey kisse ko kuch maloom nahi parhta aur agar ye baher nikal jaein tou aapki kefiat logon pr zahi hojatee hey jo k bari takleef dey baat hotee hey agar sachey hon kuke ye aapki dil ka haal keh daltey hein.baaz martaba hum jab kuch bolney k qabil nahi hotey tou ye hi anson hamaree zuban ki terjumani kertey hein aur dil ki baat samjhdetey hein,jabkey kaee martaba hum nahi chahatey ke koi  mehram-e-raaz ho, bas us waqt hum ye hamey dhoka de detey hei Lakin shayed hum bhi ye baat nahi samjhtey k asl mey anson humey dhoka nahi de rahey balkey ye hamrey samney Ye haqeeqat khol detey hein k kon hamarey kitney qareeb hey.wohi anson jo ankhon mey hotey wo Magnifying

IKHTIYAR

          Ikhtiyar kia hey yeh hum mey sey taqreeban sab hi log jantey hein. Hum sab kissi ke ikhtiyar mey hona bhi chahatey hein aur kisse pr ikhtiyar rakhna bhi chahatey hein kukey aur bohat si dosseri qadron ke sath sath hum ye bhi qadr khotey jarahey hein.Abb tou  hum apney opper sey bhi ikhtiyar kho detey jarahey hein ,achey khasey mood mey baatein kertey huey behas kerney lagtey hein aur aakhir mey iss ka anjam bohat bura hi hota hey kukey humein pta hi nahi chalta  hum ker kia rahein hein aur kab hum ahista ahista apney aap pr sey ikhtiyar khotey jarahey hein.Yeh hamaree bohat baree majbori bantee jarahey hein.                                Anson hein ke rukney ka naam nahi letey aur bhi kayee chezon mey beiktiyar hojatey hein.  Hum  mey sey tou bohat sey log yeh chahatey  hongey k unki doree Rab apney hath mey hi rakhey tou behtar hey kukey unhey apney opper ikhtiyar hi nahi rehta ,aur Rab jo krey ga behtar hi krey ga (beshak) kuch baatein aisse hein jo dil sey jurein hei un

RAB JANEY

Yeh Rab hi janey aksar hum kin kafiyat ka shikar hotey hein k achee bhalee zindagi humari udaseeion mey  ghirney lagtee hey aur kabhi kabhi hum bila wajeh hi khush ho jatey hein kisse ki koi baat bhi hamey buri nahi lagtee  balkey agar koi humey bohat bura bhala bhi kahey tou hum ghussey ke bajaey hans parhtey hein yeh tou mera kheyal hey hr aik key sath hi hota hoga iss ke liye aheley Dil hona ya na hona zaroree nahi hey,kabhi kabhi sakht Garmiyan bhi achee lagtee hein aur dil chahata hey gram gram chai ka bara mug piya jayey,Sardiyoun mey ice cream khaney ka dil chata hey,yeh tou sab hi ke sath hi hota hey.Ab ye tou Rab hi janey hum uss hi k bandey hein Woh hi humaree rag rag sey waqif hey Woh hamaree rag-e-jaan sey bhi zyada qareeb hey. 

MANOOS-E-TAMNNA

 Manoose-e- tamnna bara hi na manoose sa lafz lagta hey  lakin ahley Dil iss lafz sey taqreeban  manoose hi hotey hein kukey woh Tamnna kerna bhool jatey hein ya iss ki zarorat hi mehsoos nahi kertey kuki woh aik assey dabbey mey band ho jatey hein jo unki kul kayenat hota hey jis mey woh aik puri dunia abad ker letey hein aur woh dabba  muqaffal hota hey jabkey uski chabi unhi k haath mey hotee hey pr woh usko kholna nahi chatey  unhey issee terhan zindagi guzarney ki adat ho jatee hey.  woh andar hi andar aik khas qism ki ghotahn ka shikar ho jatey hey phi bhi iss sey baher nikalna chahetey hi nahi masty aur bekhudi unhey unn sey juda ker detee hey uss waqt woh ! woh nahi hotey jo sab ko nazar arahey hotey hein nahi jissko koi naam diya nahi jasakta ya hum naam dena nahi chatey kuki yeh baher ki dunia bilkul mayoose ho jatey hein,bahar ki dunia ke log unhey pagal ya dewana samajhtey hein.                                                                                           yeh

DARYA DILLI

mey akser sochtee hon k kia kabhi insani wajood samunder ki terhan hosakta hey jo ooper sey bara hi pur sakoon nazar ata hey jabkey ander ka hal koi nahi janta siwaye uskey jisko justajo ho kher mey apney topic sey hat rahi hon mey baat kuch aur kerna chaatee hon , janney ya na janney ki taraf jana hi nahi chatee mey tou Samander ki misal iss liye dena chatee hon k jitnee uskey ander wusat hey aur deney ki salahiyet hey shayed hi kisse mey ho ya    Barish ki terhan ya phir Hawa ki terhan  ,kon hey kis mazhab ka hey ,kis zaat ka hey ,gora hey kala hey,ganda manda hey ya pak saaf,  ajnabi ya gher ajnabi unko tou bas lutana hey taqseem kerna aur bantna hey.jin logon ko in nayamaton sey faida uthana hota hey wo bila wasta ya bilwasta in sey mustafeed hotey hein.In teeno mey baat qadrey mutarik hey k ye Talib nahi hein balkey Matloob ko sershar ker detey hein bagher kisse muafzey aur lalach ke ,inkey honey sey her nafs khush hi hota hey aur ussey zindagi  miltee hey,tou kia hum in jessey h

MAA AUR BACHA

Jab bacha paida bhi nahi hota wou tab hi sey Maa sey jura hua hota hey uss sey qareeb hota hey ,yeh baat bhi ajeeb hey ke wo apni Maa ke Hisar sey kabhi nahi nikalta chaey bara hoker uss ke ikhtiyar mey ho naho wo Apni maa ko hr hr qadam pr dekhta hey kuke wohi usski mushkilein hal kertee ayee hey iss liye hr hr merhaley mey wo hi yaad atee hey uss hi k mushwarey dimagh mey rehtey hein  continide
Hum aksar, logon ke munh sey yeh baat suntey aye hein ke hr banda apney naseeb ka kahta hey aur koi kisse ke naseeb ka nahi kha sakta aur yeh baat sahi bhi hey hamara bhi iss baat pr yaqeen hey,lakin  

CHINCHI KA SAFAR

Image
       Chinchi waqiee dekhney mey aik ajeeb si sawaree lagtee hey.lakin yaqeen krein yeh sirf dekhney hi mey ajeeb nahi lagtee balkey iss pr swareee kerna ,uss sey bhi zyad  ajeeb lagta hey, yeh  koi mujh sey pochey yeh mera expereince hey really,iss per bethney key baad bas dil chatha hey kahein sey humarey saron pr  SULAIMANI topi ajaey aur hum sab ki nazron sey chup jaien ke koi humein dekh na sakey ,hum tou iss dunia ko dekhein lakin dunia waley humey na dekh paein kunki CHINCHI pr bethey hoey hr hr shakhse pr Dunia walon ki nazar hotey hey aur CHINCHI pr sware hr hr shakhs ki nazrein jhukee hoee hotee hein ya kuch bahadur loog dekhney walon ke cheron pr unkey jazbat ko parhney ki koshish mey lagee rehtein hein.                                       CHINCHI ki swareeka muqabla agar hum kisse aur swareee sey krein tou ye chinchi ke sath zyadati wali baat hogi yeh kam az kam auto Rickshow sey tou boht aram deh hey iss mey jhatkey bhi kam lagtey hein, aik aur faida jo iss mey hey wo

NAFESEY BADKAAR

Mey aik aesee makhloq hon jiss ko nafse ka shikar honey mey deear nahi lagtee aur mujh jessey kamzoor eman waley tou hr waqt isska shikar hein,koi naik kaam bas ker lein ussey auron ko bataney kee bohat jaldee hotee hey k kahin bhool na jaein logon mey humaree izzat ho balkey pazeeraee ho aur phir mazey ki baat woh logg yaqeen bhi kertey hein aur sarahtey bhi hein akhir kiuon?aisa kiuon hota hey  hum iss ka shikar asani sey hojatee hein,hum yeh jantey hein ke humey iss dunia mey zyada arsey nahi rehna,yeh dunia humara asal theekana nahi hey aur yeh bhi haqeeqat hey key iss trhan kerney sey humm jannat mey tou jasaktey nahi hein aur sab sey barhi baat hum Allah ko kia munh dekhaeingey aur kiss terhan yaqeen dilaeingey ke hum apney Nabi sey bohat pyar kertey hein..........pr kia krey?naiki kerkey derya mey daalna koi asan kaam hey yeh bhi aik merhallah hey nafse ko marna hr aik ke bas ki baat nahi hey.                                           pr yeh maqoola hameesha yaad rakhna chahey

JHAROO

 Woh kafi bara sehan tha , asmaan pura khula hua tha, dhoop ser pr chamak rahi thi haddey nigah tak mujhey koi nazar nahi araha tha aik ajeeb si khamoshi ka raj tha aur mey preshan khareey hoyee thee mery hont khushk thay magar mujhey pyass  mehsose nahi horahi thee aik ajeeb kaifiat ka shikar thi kuki mujhey samajh nahi araha tha mey kia kron,koi bohat tumbihee andaz mey keh rah tha ke tumhey nazar nahi arah 'ke sehan mey kitna koora jama ho raha hey chalo jharoo uthao aur sasfaee kro'sehan ke aik koney mey bohat bara bergad ka darakht tha usskey patey porey sehan mey bikhrey hoye they,  lakin jharoo kahan sey ayegi ?yeh aik swal tha jo mery zehan mey bar bar arah tha jharoo kahan sey laon kesey safaee kron,mujhey jab kuch samjh mey nahi aya tou meney apni aurhni utar ker uss sey safaee shuru ker di ke achanak phi wohi awaz mery kanon sey takraee 'aorhni ser per dal o tumhey pta nahi yeh bohat baree Dergha hey' abkey bar uss awaz mey thorey ghusey ki amezish bhi thi.l

KHIDMAT-E-KHALQ

Khidmat-e -khaq hamaree zindagi ka bohat hi ahem hissa hey iss ke bagehr hum adhurey hein kuki hamree saree zindagi ki hasil hamaree issey practice mey hey kuki hr hr gunah ki maafi hey pr isski aisey nahi,balkey sab sey bari baat Allah passand kerta hey iss amal ko 

QAID-E-HAYAT

                                               Qaed-e Hayat bando gham asl mey dono aik hein                                                 Mout sey phely aadmi gham sey nijat paey kiuon    Beshak, tamam gham ,mushkilen,preshanian sab zindagi ke sath hi hein sirf aik mout hi hey jo in sab sey nijat dilaye gi,majbori ye hey ke hum mout ki dua bhi nahi ker saktey lakin intezar zaror ker saktey hein.aur iss doran ka jo waqt hey qaid-e-heyat hi hey,Roh tou bechain hi rehtee hey apney rab sey milney ke liye aur Hukm-e-Rabbi ke intezar mey rehtee hey  ussey kisee pal chein nahi milta  shayed issee liye roz raat ko woh jissm sey kuch waqt ke liye azad hojatee hey lakin yeh tou roh ka mamila hey Dil ka kia krey?woh kahan jaey aur kesey jaey usko bhi yaqinan apney mehboob sey milney ki arzo hotee hey tou woh kia bas Mout ka intezar krey kia uska mehboob ussey dunia mey nahi mil sakta.Dil ka kam sirf yahan dharakna hey dil ki dharkan mehsos ki jasaktee hey lakin tarap aur bechanee sirf w

BEY KHABRI AUR BEY ILMEE

Bey khabri kia hotee hey mey tou khud iss sey bekhaber hon,mery tou bachpan sey leker ab tak bekhbri mey hi zndagi guzaree jiss ka meujheu haqeeqatan bohat nuqsan pohencha lakin bachpan ki beykhabri ney mujhey sakoon diya aur sakoon ki neend dee jiska ab mujhey pta chala ke sakoon ki neend kia hotee hey,lakin masala ab bhi woh hi hey ke kia bekhabree achee hey ya nahi mery kum ilm honey kee wajeh sey mey iss baat ko sahi sey samajh nahi paee.Bey ilmee insan ko besakoon ker detee hey aur uskey kamon mey rukawat daltee heyaur usko bey chain kiye detee hey.                                                                         yaqeenan bey khabri aur bey ilmee mey farq hoga kukey bey ilmee ka hona tou jahalat hey magar bey  khabri ka hona shayed jahalat nahi hey.                                                                        bey ilmee agar deen sey ho wou jhalat ke sath mery nazdeek gunah bhi hey aur agar apney aap sey bey ilmee ho tou aisa koi masala nahi magar agar apney aap

LOVE IS THE DIVINE COLOUR OF LIFE

kia hota jo yeh dunia sirf aik rang ki hotee   kisse ko nahi maloom  ke kessee hotee  aur kesi lagtee   ku k ham toun rangon k adi ho chukey hei ,hamaree zindagi mey jabtak rang nahi tou kuch nahi hum in rangon key bagher kessey reh saktey hein?reh saktey bhi hein k nahi?iss ka jawab zahir hey k hr aik ka mukhtalf bhi hosakta hey aur shayed milta julta bhi.Rang aur roshni ke bagher tou na hum reh saktey hein aur na hi rehney ka tassaver kr saktey hein lakin kuch Allah ke Bandey iss me barey mahir hein.dunia ki rageenia unkey liye bey mayeni hotee hey ku k woh dunia ki ranginion ko bey rang samajhtey hein aur bzahir bey rang chezon mey rang talash kertey hein lakin woh hoti unki matlab ki heyku k unkee ankhon mey tou Allah ki mohabbat ka Rang chara hota hey.uskey baad Shareyet mey hi gum hotey hein phir Shareyet ko letey hoye Tareqat ki rah mey gamzan hotey hein unhein kahan fursat ke rangeen dunia ki taraf tawajuh dein woh tou Noor ki roshni mey hotey heinaur N oor bazahir tou aik ran

Amman SYEDA QAMAR JEHAN KAZMI

Amman , Amman chali gaein woh iss dunia mey nahi rahein,iss jahan-e-fani ko kherabad keh kr  apney Rabb ke pass chali gaeen(inna lilalahi wa inna alehey rajeun)  jahan janey ki unki bari chahat thi  aur jahan janey ke liye woh hr waqt taeyyar thein,unka Dil ab iss dunnya mey nahi lagta tha aur woh majboren iss dunia mey reh rahien thien,jism yahan tha magar dil kissee aur jaga tha hosakta hey unka dil apney Mehboot ki taraf ho,jism Mehboob ki kushnodi mey laga hua tha aur Dil deedar ki aas mey janey kahan kahan hazree de raha tha bas aik Roh thi jo hukmey Illahi ke intezar mey thi.Dil ki becheinian kam ker gaen aur akheri waqt mey bhi Amman ke Dil ne unka bara sath diya unhein dil ka dora para jiss sey woh janber na ho sakein aur dil iss qable nahi tha k uska treatment hosakey kuki iss mey jeeney ki arzo thi hi nahi unkey Dil  mey tou bass Allah ki mohabbat josh marti thi.Aaqa alehe slam aur Nana jan qibla aur tamam buzurgoun ki mohabbat mey rangi hoee unki zindagi ney unhey dunya sey

AllAH KI KHUSHI

yeh baat samajh mey nahi ati k hum insan aik dossery ko itni asani sey kiuon nahi samjhtey jitney asani sey hum janwaron ko samjh letey hein,Insan ashraful makhloqat hey tou aik dosery ko samajhna aur bhi asan hona chahey .jab hum ghar mey koi hi pet latey hein tou usko samjhney mey hu ji jaan laga detey hein uskey khaney peny k time fix ker detey hein uskey aur zaroriyat ka bhi khyal rakhtey hein ,lakin jab hum kisse insan ko apni zindagi mey shamil kertey hey tou hum chahaet hei k woh hmara khyal rakhey chalo yeh bhi theek hey mager kisse bhi kism ki kotahi hum sey bardasht nahi hoti halankey agar hum kisse bhi shakhs ko samjah jaein tou zidagi bohat asan ho jati hey.kia hum logon sey Mahabbat nahi kertey?kuonki jin sey hum mohabbat kertey hein unki koi baat hamey buri nahi lagti balkey unki narazgi humey bechen ker deti hey ,tou kia hum sab insanon sey issey terhan muhabbat nahi kersaktey   'kia Allah ke liye bhi nahi'.jabkey hum sab achee terhan jantey hei k Allah apney ba

ANKHON KA KIA AITEBAR

Mein yeh ankhein kahan le jaon mein kia kron yeh mere bas mey nahi hein ,Woh aaj bhi bathee yeh hi soch rahi thee inn ankhon ney tou hameesha mujhey dhoka hi diya hey lakin auron ke sath inki wafa aur mery sath jafa yeh meree dost tou ho hi nahi saktee, abhi woh barbra hi rahi thi k uss ki aik akloti saheli ann phunchi.                                                          Arey ye kia? tumharee ankhon ko kia hua?aaj phir koi baat hoyee he na mujhey btao Zeenat bohat sarey swalat kartee chlee gai,lakin uss ney koi jwab nahi diya bas aik ansoon ki lari thi jo bohat kuch bta gai, phir Zeenat ney barey hi pyar sey uss ka chera apney hathon mey lia aur kehney lagi "tumhara naam Tabbassum key bjaey Naina  hona chahey''                                                           Yeh baat sun ker tou jessey woh phat paree,yehi tou mey keh rahi thee ke akhir meir Ankhey mujhey kiyon ruswa kertee hein?mery elawa har aik sey bateen kerteen hein, koi bhi kesse bhi baat ho yeh

ALLAMA IQBAL the great poet

Image
Allma Iqbal not only great poet but great philosopher and active political leader.                                                            

Syed Noor-ul-Islam Qadri

Image
   Murshid-e- kareem Taya Abba Qibla (marhoom)     Mery pass woh alfaz nahin hein jin sey mey apney Murshid-e-kareem barey mey kuch keh sakon.Woh aik asee roshni hein jiss sey na sirf asani ke sath manzil pe pohancha jasakta hey balkey usski thandak bhi mehsoos ki jasaktee hey. Iss Roshni ke sath mey milon chali hun bagheir kissi thakawat aur mayusi ke,apni dunia mey magan mery Murshid kabhi bhi mujh sey bekhaber nahi rahey woh ab bhi apnni mojudgi aur mutawajjah honey ka  ihsas hr pal dilatey hein. Allah mery  murshid ke darajat buland krey unhey jannat mey aala maqam dey aur unki aulad pr apna fazal o karam ker aur mureedon pr hamesha rehmat ki nazar rakhna ameeen.

Moulana Jami

Image
Moulana Nuruddin Abdurrahman Jami                                                                                            The last great poet in classical Persian was born in a small town of  khurasan(Afghanistan).                                 learned Arabic and Persian from his father and then further studied under Gghazi zadeh Ruhm in Samarkand.Jami joined the dervaish  circle of  Khaja Saduddin Kashgari.He wrote many books of poetry theology and grammar and the Age of 70 he completed his masterpiece ,Yusuf And Zulekha.Jami was independent man with the good seance of humor and often annoyed his fellow writers with sharp comments on their wisdom and humanity.    

NO pain NO gain

Dont say NO,hum aksar suntey aaye hein No kbi na kahu NO sey bad effects hotey hein kaam ho nahi patey rukawaten paida hpjatee hein  aur YES kehney sey rukey hoye kam bhi ho jatey hein asanian hoti hein,isterhan ki tou bohat si baten aur misalein hein. LAKIN jub  kissee sey umeed rakhney ki baat aaye tou hamein  chahiye   ke hum mind NO rakhen ,jeesey ke hamaree CRICKET team jin sey hamein hamesha NO ki tawaqu honi chahiye yani jub bhi koi important Match khelen tou apney aap sey aur sub sey yehi kehna chahey NO NO NO ye match hum nahi jeeten gey aur hamein jeetna bhi nahi chahiye aur pir dekhen kitee asanian hoteen hein koi tension nahi ,koi udasi nahi kisee qism ki koi rukawat jo Match dekhney sey hoti kuch bhi nahi hoga ,agar haar gaye tou kia hua koi maslanahi aur agar jeet gaye tou achee baat hogi, ye nusqa aazma ke dekhen afaqa hoga aur aap ki zindagi mein chen hi chen hoga .

Muolana Jalal-ud-deen Muhammad Rumi

Image
Muolana Jalal-ud-deen Muhammad balki also known as Muolana Roum has influenced not only Persian litrature but that in many other muslim cultures as well.He was a sunni muslim Islamic jurist and theologian and sufi mystic. He is considered most popular poet in America.                      He said                                     LOVE ENDURES HARDSHIPS AT THE HAND OF BELOVED      Masnavi Moulana Room in urdu translation:                                                                                                                                                                                                                    SHORT  STORIES FOR CHILDREN FROM HIKAYAT_E_ROOMI Boorah aur Hakim                                                  Chooha aur Maindak                                      Raqs-e-Roomi                                                                          

Daily routine

Allah ka shuker hey walk daily ker rahi hon koi mushkil nahi ho rahi daily time manage ker lati hon ,bachon ke exam bi start hein phir bhi time nikal hi lati hon yeh bohat zarory hey ab kafi fresh feel kerti hon.aajkal bachon ke exam horahey hein bus thori tension hey baqi sub kher hey Allah inhein behtreen kamyabi ata krey  (ameen) 

Ansoo Lake

Image

Lakes in Pakistan

Image

Saral Lake The Amazing Lake in Naran Pakistan.mp4

Image

Udasi

Image
                           Udasi mery sath nahi mery ander rehti hey,iss liye mery cherey sey nshi balkey ankhon sey jhalakti hey.                                                                                                                                                            yeh jo udas bharoon ki shamein hein                                         yeh hi umar bhar ka sarmaya ban gaein                                        

Mrza Ghalib

Image
                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                      

Duo ansuon ki kahani

Un duo ansuon ki aap beety jo waqat peh Beh na sakey.                Yeh us zamaney ki baat hey jab har taraf bazahir chen hi chen tha mager phir bhi kahein kuch kami si lagti thi pata nahi kesi ,bahar bohat kuch ho raha tha karobarey zindagi rawan dawan tha laki ander aik tofan tha kuch iztarab tha. koi hisen (senses) sahi sey kam nahi ker rahi thi per  hum dono ko hukm nahi tha ke baher aayen jab ke dil ander hi ander khub roraha tha. laken in  ankhon ney kissi ko pata bhi lagney nahi dia. surkh tou ho jateen per ankhon sey hamey gerney nahi dia halanke woh hi waqt tha beh janey ka, samjh mey nahi aata tha ke woh kessi Ana  thi kesa zuom tha un ankhon ko.  un ke garoor ney hamey mitney nahi dia ,hum ban tou gaye,machal bhi rahey theay chalakney ke liye.Ander reh ker hum ney bohat kuch dekha, ke dil jab dukhta hey tou uss ki darhken kesey chalti hey jab khush hota hey tuo kesey hoti hey,humarey sathi tou gham aur khushi don mouquon per apney fraaize anjam de rahey they laken humen i

MY THREE OF FOUR

Image
japanes get up for school function