Posts

Showing posts from October, 2012

KHATA KA PUTLA

Insan khata ka putla hey ye jumla mey ney bachpan sey leker ab tak najaney kitni martaba suna hey aur sun sun ke thak gayee hun yeh hum kehtey hi isliye hein ke khata kersakein ,khata kerney mey maza jo ata hey aur chatey hein koi humein dekhey bhi nahi aur agar dekh bhi ley tou iss jumley ko dohradein , kuki hum apni hi ghaltion ko nazarandaz kertey huey ye baat bohat bar dhuratey hein,

WE LOVE HAZRAT MOHAMMAD Salalah hu elehey wasallam

Allah aur Allah ke rasool sallala hu aley wasallam ki mohabbat ke siwa iss dunia mey kuch nahi rakha ,baqi sab ki mohabbat inn ke baad atee hey.Zahir hey khalq ki mohabbat bhi hamarey Eman ka juz hey jiss ke liye khud Allah Taala hum sey farmata hey ke jiss ney merey NABI ki etaat ki usney merei etaat ki aur hamarey nazdeek Allah ke baad Hamarey Nabi sey barh kr koi nahi Woh tou kehta hey k sarey gunah mey maaf kerdonga lakin Haqoqul-ebad ki pakar hey. Aik muslam honey ki hasiat sey hum pr aur hamaree jaanoon pr sab sey zyada haq hamarey pyarey Nabi (SAW) ka hey,ye baat hr hr Musalmam janta ,samjhta aur manta hey iss liye iss pr koi samjhota nahi 

GOHARE NAYAB

Zakham kitney hi hon hr aik ki apni takleef hotee hey, bas kerna ye hota hey k waqt pr isski dekhbhal kerni hotee hey warna barh jaye tou aur bhi insan azeeyat ka shikar hojata hey.Ye waqt pr hi sahi ilaj sey theek hojaey tou acha hey aur ye tasally kerna bhi zarori hey k ye bhar gya he kuki isska pta nahi chalta k ye bhra hey k nahi,ooper sey bzahir sab sahi hi maloom hota hey lakin andar hi andar ye apni jageh bna raha hota hey aur waqt ki gard ki teh iss per jam jatee hey aur zindagi mamool pr ajatee hey.magar phir kabhi na kabhi  woh lamha zaror ata hey jiska iss ko intezar hota hey aur woh phi Hara hojata hey naye sirey sey obharta hey bas wo aik hi sab pr bharee hojata hey,phir chahey kitney hi aur chout khaey wo itney takleef deh nahi hotee.  han aisa zaror hota hey bohat sarey zakhmon mey dard taqreeban taqseem hojata hey ,koi aik bhi apni alag hasiyet nahi rakhta (siwaey puraney dard k)  magr ihsas purey jism ko hota hey aur wo ihsas itni jaldi khatam bhi nahi hota.ye bhi khu