Posts

Showing posts from April, 2019

ٹوٹی قبر TOTI QABR

Dhoor se boht hi masehoor kun awaz suunai dey rhy thi ,ye kisi ounth (camel) ki ya bail (ox) key galey mey padi huee ghanti ki awaz maloom deti hy.jesey woh khud hi apas mey aik  dosery ko apna  haal bata rahien hun ke kitni musafatein tey kr ke ayein hun aur kia kia saobatein uthaein hein rastey ki,aik faryaad aik udasi thi inki pukar mey jesey thak kr choor hein .Raat ke iss peher jabkey sheyed koi jaag kr bhi soya hua hota hey inn ghantiyoun ka sunaee dena koi maqsad rakhta hey ya tho koi shadi hogi ya kisi ka janaza .Aah!!! janaza, mujhey bhi intezar hy kisi janaza ka --- ku ? Kuki mey khud aik Qabr hun magr meri badd nasebi ke mujhy abad nhi kia gaya ,aas pass ki taqreeban sab hi qbrein abad hein aur mey ,mey tho bilkul gher aham aur weeran aur gher abad hun.Merey Ird gird sabza hey aur pohlon ki kiyariyan hy,mey barson se muntazir apny mukammal hony kay liye btaab umeed liye huey.                                                 Raat ki tareeki aur sannata hybat nak hu akta hy  m