Posts

Showing posts from January, 2014

DOSTI

Ye dosti hu tou gaee hey magar iss ki wajeh sey mey apney asp ko bhool gaee hun ,mujhey kuch yaad nahi ye dosti kab huee bas itna pata hey Woh jab yaad ata hey ankhon sey pani nahi rukta,hr waqt tasawer mey Woh hi hey aur ankh mey anson, Yeh wohi anson hein jinki hifazat mey mene arsa laga diya.                   Boht hi khas mouqon pr bahir nikaltey they pr ab najaney ku hr waqt palkon pr tikey hein. Magar musala ashk ka nahi ashkbari ka hey aur ye giryazari ussi DOSTI ka nateeja hey.                Lakin kia waqee meri giryazari uss sey dosti ki wajhe sey hey?tou ye kessa rishta hey jo itna gheraee tak jata hey, jo meri zindagi mey apna asar rakhta hey aur aik maeni deta hey, jo mujhey apney liye hr waqt bechain keye deta hey .                Mey uski dosti ke qabil nahi. Mey kum zarf iss qabil kahan, lakin  ager Usski  aik nazer e karam mujh pr parh jaey tou boht hey. mey issi ki talib hun, ussi hi bhikari hun.

ASHIQUI Aur AaJIZI

Ashiqui aur Aajizi dono sath sath chaltey hein, Yeh mumkin nahi  aik Ashiq Ajiz na ho,pr ye zarori nahi ke hr Ajiz Ashiq bhi hu.Dono mey farq bas ratti brabar ka hey lakin ye mamoli sa farq hi in dono k muh  komukhalif simth ker deta hey aur Woh farq hey " Mayusi"             .                 Aik Ashiq ,ajizi ikhtiyar kr ke kabhi bhi  Mayuse nahi hota,balkey uski umeedein aur barh jati hein aur uskey Roshen dour ka aghaz hojata hey sab sey beparwa magar Mohib ki parwa hi ussey Mayusion key andheron sey nikalti hey aur Qurbat uski Haqiqi manzil hoti hey.                        Aajiz iss sey yakser mukhtalif hota hey woh ager apney Haqiqi Mohib ke ilawa kissi aur k samney Aajiz hey tou Andhery ka rahi hey Mayusi uska muqaddar hey aur manzil Zulmat kada hey.