ASHIQUI Aur AaJIZI

Ashiqui aur Aajizi dono sath sath chaltey hein, Yeh mumkin nahi  aik Ashiq Ajiz na ho,pr ye zarori nahi ke hr Ajiz Ashiq bhi hu.Dono mey farq bas ratti brabar ka hey lakin ye mamoli sa farq hi in dono k muh  komukhalif simth ker deta hey aur Woh farq hey " Mayusi"
            .                 Aik Ashiq ,ajizi ikhtiyar kr ke kabhi bhi  Mayuse nahi hota,balkey uski umeedein aur barh jati hein aur uskey Roshen dour ka aghaz hojata hey sab sey beparwa magar Mohib ki parwa hi ussey Mayusion key andheron sey nikalti hey aur Qurbat uski Haqiqi manzil hoti hey.
                       Aajiz iss sey yakser mukhtalif hota hey woh ager apney Haqiqi Mohib ke ilawa kissi aur k samney Aajiz hey tou Andhery ka rahi hey Mayusi uska muqaddar hey aur manzil Zulmat kada hey.

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ