Posts

Showing posts from July, 2014

Beetii Batein

Boht arsa hua mey apney haal mey nahi hun balkey Mazi mera hamsafer bhi hey mera ghamkhuar bhi aur sabsey barh ker meri humraz bhi, mera beeta hua kal mujhey khud sey milata hey aur ye hi meri khuhish hey ke mey apney aap sey  milon, kabhi kabhi khud ko janney ke baad bhi insan bazahir khud sey laparwa hojata hey aur phir kissi  aur dunia ka basi ban jata hey,jahan wo apna dost ban key apni islah kerta hey aur apney ass pass apney man passand logon ko rakhta hey jin ko wo apney sab sey qareeb samjhta hey.magar agar koi bahir ki dunia ka basi uski zindagi mey irteyash paida kerdey tou behadd takleef deh hota hey ,kuki irteyash wohi paida krey ga jo na uska hum mizaj hoga na ghum gusar,Bas phir ussi KABHI KABHI ka intezar kertey kertey boht arsa lag jata hey,ya Bahir ki dunia ka aik lamha bhi sadion lag jatey hein phir Beeti Batein uska muqaddar ban jatein hein.