Posts

Showing posts from May, 2021

WAQT KI TERHAAN

❤️Ab usy pata chal hi gaya k wo waqt ki terhaan hy. waqt k bary Mey mukhtalif logo ki alag alag Raye hy, uss ny khud ko aesy hi wqat ki terhaan dekhna shuru Kiya. Jesy log waqt pr bharosa Nhi krty aur usky tezi k saath guzr Jany ka gila krty hein ,usy apny bary  mey kuch aesa hi sunney ko milta hy. Jo kehty hein Uski speed bolty huey tez hujati hy tho asl Mey unn k liye wo waqt ki terhaan tez huti hy kuki wo usy ruk k Nhi suntey. Suuney waly akser ruk kr aram se suntey hy wo unky liye therhy huey waqt ki terhaan hy. Dekhny waLy uski shaqsiyat ko dekh ye zaror sochtey hugy waqt ki terhaan badal jati hy۔ tabiyat bhi kabhi gram kabhi sard kabhi kizan ki terhaan udass kabhi Khush bahar mey khely phool ki terhaan. chehra dekh kr yehi lagta hy k waqt kuch aahista aahista guzr raha hy kuki safr ki gard ny itna nuqsaan nhi ponhchaya. Isi terhaan koi usy bury waqt se milata koi achy se. Ustadon ko Uski ustadi bhi waqt ki jesy hi lagti hy. Seekhna uski talab, sikhana Uski fitrat hy aur chalty re