Posts

Showing posts from November, 2013

DUA AUR ISHIQ

Ishiq aur Duha dono sath sath hein.jis sey Ishiq hoga banda usi ke samney sir jhukaey ga aur ussi sey mangey ga aur mangey ga kia? uski khushi uski  merzi sath hi koshish krey ga uss ki khuhish ke mutabiq zindagi guzarey. jisterha Ishiq hr aik sey nahi hota issiterhan Dua bhi hr aik sey nahi mangi jati kissi ke samney hath phelatey huey sharam ati hey.Dua kaee logon sey kerwaee jati hey mager Uss Aik ko zehan mey rakh ki jati hey issiterhan Ishiq bhi sirf aik hi sey kia jata hey mager Uss Aik tak pohanchney ke liye Uss ke Ashiquon ki ki Mohabbat ki giraftari hi Uss tak le jatee hey.                                            Ye aseeri aapko kissi kaal kotheri mey nahi lejatee koi andhera apka muqadder nahi hota aur nahi hi takaleef apki mutazir hoti hey balkey Ye aapko hujom mey chorr detey hein bas phir aap jismani tour pr sab ke sath hotey hein mager rohani tour pr aap apney mehboob ke pass hotey hein .sab sey miltey hein, baat kertey hein,suntey  hein aur apney jessey logon ko jam

AMMI aur AMMAN

Insan apni zindagi mey Maa ka pyar kabhi bhula nahi sakta ,woh uss ko dantey marey kuch bhi krey bacha duorh ker Maa hi ke pass jata hey.Maa ka pyar uskey rag rag maey hota hey mery sath bhi aisa hi hey mey shararti bhi thi aur dantein bhi khub khati thi lakin mujhey apni Ammi dunia ki sab sey achi ammi lagti thein meri ammi khubsurat thien issliye aisa lagta koi pari (ferry) hein ,kuki bacpan ki khaniyon mey Pari hi aik lateef kirdar hota jo palak japaktey apkey sarey kaam bhi kerdeti aur mazey mazey ke khaney bhi deti aur hr terhan sey madad bhi kerti hey yeh sab khususiyat meri ammi mey bhi thein gerchey danth marr bhi parthi thi lakin yeh sab uss lutfo karam ke samney kuch natha.                                                          Phir meri zindagi mey Ammi ke sath Amman bhi shamil hogaein,unko meney aik alag ehsas ke sath mehsoose kia ,Ammi sey bhichri tou bichurnry ka ghum tha jo ahista ahista durr hogaya .unkey sath guzarey waqt mey woh mery Pal pal mey shamil hogaein.mer

KACHCHA RANG

Yeh Jheel ka  thaira hua pani  jo bohat pur sakoon lag raha hey mujhey apni taraf khainch raha hey.Mujhey andaza nahi hora ke kitni gheiraee hey iss ki, lag raha jessey kafi gheira hey ,iss ki gheiraee sey iss liye dr rahi hun ke mujhey teairna (swiming) nahi ata aur yehi khuof mujhey jheel ke qareeb janey nahi de raha.Bohat arsa lag gaya mujhey ye khuof durr kerney mey phir jessey hi mey iss jheel ke pani mey paon bhigoney ke liye kinarey bhethee tou mehsoose hua  ye tou woh jheel hi nahi hey! mey kahan hun ye kinara jo bohat mehfoz lagney laga tha iss key tou derasl chikni mitti ke hein.Mujhey itna andaza hey ke chikni matti per agar ehtiyat sey nahi chaleingey tou bohat buri tarhan gir jaeingey yeh sochtey hi mey kinarey sey aur durr hogaee,pani ki kashish mujhey apni taraf khench rahi hey mager mey khuof ke marey iss Derya sey duorr hogaee han han yeh Derya hi hey iski rawani bata rahi hey,mey kahan agaee hun ye woh jaggah nahi hey jahan meney itna waqt guzara,yeh sab itna badal