AMMI aur AMMAN

Insan apni zindagi mey Maa ka pyar kabhi bhula nahi sakta ,woh uss ko dantey marey kuch bhi krey bacha duorh ker Maa hi ke pass jata hey.Maa ka pyar uskey rag rag maey hota hey mery sath bhi aisa hi hey mey shararti bhi thi aur dantein bhi khub khati thi lakin mujhey apni Ammi dunia ki sab sey achi ammi lagti thein meri ammi khubsurat thien issliye aisa lagta koi pari (ferry) hein ,kuki bacpan ki khaniyon mey Pari hi aik lateef kirdar hota jo palak japaktey apkey sarey kaam bhi kerdeti aur mazey mazey ke khaney bhi deti aur hr terhan sey madad bhi kerti hey yeh sab khususiyat meri ammi mey bhi thein gerchey danth marr bhi parthi thi lakin yeh sab uss lutfo karam ke samney kuch natha.
                                                         Phir meri zindagi mey Ammi ke sath Amman bhi shamil hogaein,unko meney aik alag ehsas ke sath mehsoose kia ,Ammi sey bhichri tou bichurnry ka ghum tha jo ahista ahista durr hogaya .unkey sath guzarey waqt mey woh mery Pal pal mey shamil hogaein.meri zindagi ko badal diya mujhey kissi aur hi rang mey rang diya mey unkey qareeb thi tou unko nahi pahchana duorr huee tou akely ra ha nahi gaya aur phir pass agaee,phi duorr huee phir oass agaee issi silsiley ney kia kayee baaton aur kayee mamilat sey parda uthaya achi terhan meri chahn phatak huee aur chuoda tabaq roshan hogaye.
                                                       Ammi sey duorr huee tou Amman milgayein ,
                                                       Mager Amman ab iss dunia mey nahi hey phir mujhey koi nahi mila aur mey tanha hogaee bilkul akaili kuki woh baatein jo mey unkey sath kerti thi aur woh mujh sey kia kerti thi woh kissi ko samjh nahi atein ya kissi ke pass waqt nahi hey in sab batoon ka,meri zindagi mey jo khala aya hey woh kabhi purr nahi sakta aur mujhey zarorat bhi nahi hey ussey bherney ki..                 

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ