KACHCHA RANG

Yeh Jheel ka  thaira hua pani  jo bohat pur sakoon lag raha hey mujhey apni taraf khainch raha hey.Mujhey andaza nahi hora ke kitni gheiraee hey iss ki, lag raha jessey kafi gheira hey ,iss ki gheiraee sey iss liye dr rahi hun ke mujhey teairna (swiming) nahi ata aur yehi khuof mujhey jheel ke qareeb janey nahi de raha.Bohat arsa lag gaya mujhey ye khuof durr kerney mey phir jessey hi mey iss jheel ke pani mey paon bhigoney ke liye kinarey bhethee tou mehsoose hua  ye tou woh jheel hi nahi hey! mey kahan hun ye kinara jo bohat mehfoz lagney laga tha iss key tou derasl chikni mitti ke hein.Mujhey itna andaza hey ke chikni matti per agar ehtiyat sey nahi chaleingey tou bohat buri tarhan gir jaeingey yeh sochtey hi mey kinarey sey aur durr hogaee,pani ki kashish mujhey apni taraf khench rahi hey mager mey khuof ke marey iss Derya sey duorr hogaee han han yeh Derya hi hey iski rawani bata rahi hey,mey kahan agaee hun ye woh jaggah nahi hey jahan meney itna waqt guzara,yeh sab itna badal  gaya .
         Bohat waqt meney apney aap ko iss gheir manoose jaggah ko samjhney ke liye lagaya.meri fitrat ney mera sath diya aur mey kuch kuch Ashnaee ki manzil tey kerney lagi phir achanak mera dil chaney laga ke mey iss behtey pani mey apney aap ko baha dun lakin merey ander ki awaz ney mujhey ye shuore diya ke derya mey apni Talash ko mer ney mat do derya ki Teh mey khuch nahi aur iss ki rawani kaha lejey pata nahi ,jana touh iss ney Samander hi mey hey lakin mussafat bohat hey aur kahi iss key cut janey ka bhi  andesha hey,agey chalna chaeye yaha rukna nahi waqt berbad kerney ke braber hey.
       Abb waqt thora hey becheni zyada hey bazahir mey pur sakoon hun lakin koi bekali hey koi justajo hey jo aikdum khoon mey shamil hojati hey dil ki dharkaney wazey sunaee deti hein,mahul per sakoot hey tabiyat beysakoon hey .chaltey chatley kuch thak si gaee hun lakin rukna nahi hey kuki waqt guzrey jaraha hey,iss rastey per bari dushwarian hein magar jana kahan hey yeh pata hey aur pana kia hey yeh bhi pata hey,kis ke liye mey yeh sab ker rahi hun yeh bhi merey Ilm mey hey aur yeh justajo kia rang laye gi ye meri Fitrat faisala krey gi yeh rang mey apney ander jazb krongi ya pani sey dhul jaey ga .                                                              
     Mujhey Barish mey bhi bheegna hey aur Samander mey ghuotha (dive) bhi lagana hey  pr abhi tou mujh sey yeh tapta Suraj berdasht nahi horaha  lakin yeh suraj tou kuch deir meh dhal jaeyga .pr samader ke kinarey yani sahil pr jaker mey krongi kia ?yeh sawal zahen mey atey hi aur khushad janam leney lagey lakin ab mey itna tou jaan gaee hun ke yeh tamam khudshat  aur khuof jo shuru hi sey mery sath hein woh derasl wasawiss hey shetean ke paida kerda khyalat hein jij ki wajhe sey mujhey rukawaton ka samna kerna para aur ab meri ankhon sey ye parda ahista ahista sirakney laga aur mujhey apni phechan honey lagi ,sirf aur sirf merey Deyhan hatt janey sey deirr lagi warna rasta tou saaf hi tha meri Rehnumaee mery naseeb mey pheley hi sey likhi huee thi.
      Abb samney Samander hey  aur mey pur sakoon sahil pr chal rahi hun  laheron ka shuor aur thandi hawaien mery sath hein ,mujhey ab intezar hey uss waqt ka  han Waqt ka jab mery talash meri Justajo mujhey samander ke ander khinch ley bas mujhey yahan sey kahin aur jana nahi hey jammey rehna hey aur khadshad sey lartey rehena hey, hilna nahi Duobney ka intezar kerna hey kuki mujh pe Rang kacha nahi hey:::::: 

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ