DUA AUR ISHIQ
Ishiq aur Duha dono sath sath hein.jis sey Ishiq hoga banda usi ke samney sir jhukaey ga aur ussi sey mangey ga aur mangey ga kia? uski khushi uski merzi sath hi koshish krey ga uss ki khuhish ke mutabiq zindagi guzarey. jisterha Ishiq hr aik sey nahi hota issiterhan Dua bhi hr aik sey nahi mangi jati kissi ke samney hath phelatey huey sharam ati hey.Dua kaee logon sey kerwaee jati hey mager Uss Aik ko zehan mey rakh ki jati hey issiterhan Ishiq bhi sirf aik hi sey kia jata hey mager Uss Aik tak pohanchney ke liye Uss ke Ashiquon ki ki Mohabbat ki giraftari hi Uss tak le jatee hey.
Ye aseeri aapko kissi kaal kotheri mey nahi lejatee koi andhera apka muqadder nahi hota aur nahi hi takaleef apki mutazir hoti hey balkey Ye aapko hujom mey chorr detey hein bas phir aap jismani tour pr sab ke sath hotey hein mager rohani tour pr aap apney mehboob ke pass hotey hein .sab sey miltey hein, baat kertey hein,suntey hein aur apney jessey logon ko jama kertey hein jo aap sey aap jessi hi baatein krein.
Lakin ajeeb baat hey jab aap Haqeqi Ashiq ban jatey hein tou phir aap Dua ki asl haqeqat sey roshanas hotey hein ke Dua sif mangeney ya hath phelaney ka naam nahi balkey apney aap ko Uss ke hawaley kerney, uss sey baatein kerney aur apni sachchaee ki talash bhi iss ka aehem juz hey. kuki phir duyavi chezein sirf gheir aehem hi nahi balkey bekar lagti hein.

Comments
Post a Comment