Posts

Showing posts from May, 2012

Amman SYEDA QAMAR JEHAN KAZMI

Amman , Amman chali gaein woh iss dunia mey nahi rahein,iss jahan-e-fani ko kherabad keh kr  apney Rabb ke pass chali gaeen(inna lilalahi wa inna alehey rajeun)  jahan janey ki unki bari chahat thi  aur jahan janey ke liye woh hr waqt taeyyar thein,unka Dil ab iss dunnya mey nahi lagta tha aur woh majboren iss dunia mey reh rahien thien,jism yahan tha magar dil kissee aur jaga tha hosakta hey unka dil apney Mehboot ki taraf ho,jism Mehboob ki kushnodi mey laga hua tha aur Dil deedar ki aas mey janey kahan kahan hazree de raha tha bas aik Roh thi jo hukmey Illahi ke intezar mey thi.Dil ki becheinian kam ker gaen aur akheri waqt mey bhi Amman ke Dil ne unka bara sath diya unhein dil ka dora para jiss sey woh janber na ho sakein aur dil iss qable nahi tha k uska treatment hosakey kuki iss mey jeeney ki arzo thi hi nahi unkey Dil  mey tou bass Allah ki mohabbat josh marti thi.Aaqa alehe slam aur Nana jan qibla aur tamam buzurgoun ki mohabbat mey rangi hoee unki zindagi ney unhey dunya sey

AllAH KI KHUSHI

yeh baat samajh mey nahi ati k hum insan aik dossery ko itni asani sey kiuon nahi samjhtey jitney asani sey hum janwaron ko samjh letey hein,Insan ashraful makhloqat hey tou aik dosery ko samajhna aur bhi asan hona chahey .jab hum ghar mey koi hi pet latey hein tou usko samjhney mey hu ji jaan laga detey hein uskey khaney peny k time fix ker detey hein uskey aur zaroriyat ka bhi khyal rakhtey hein ,lakin jab hum kisse insan ko apni zindagi mey shamil kertey hey tou hum chahaet hei k woh hmara khyal rakhey chalo yeh bhi theek hey mager kisse bhi kism ki kotahi hum sey bardasht nahi hoti halankey agar hum kisse bhi shakhs ko samjah jaein tou zidagi bohat asan ho jati hey.kia hum logon sey Mahabbat nahi kertey?kuonki jin sey hum mohabbat kertey hein unki koi baat hamey buri nahi lagti balkey unki narazgi humey bechen ker deti hey ,tou kia hum sab insanon sey issey terhan muhabbat nahi kersaktey   'kia Allah ke liye bhi nahi'.jabkey hum sab achee terhan jantey hei k Allah apney ba