Amman SYEDA QAMAR JEHAN KAZMI

Amman , Amman chali gaein woh iss dunia mey nahi rahein,iss jahan-e-fani ko kherabad keh kr  apney Rabb ke pass chali gaeen(inna lilalahi wa inna alehey rajeun) jahan janey ki unki bari chahat thi  aur jahan janey ke liye woh hr waqt taeyyar thein,unka Dil ab iss dunnya mey nahi lagta tha aur woh majboren iss dunia mey reh rahien thien,jism yahan tha magar dil kissee aur jaga tha hosakta hey unka dil apney Mehboot ki taraf ho,jism Mehboob ki kushnodi mey laga hua tha aur Dil deedar ki aas mey janey kahan kahan hazree de raha tha bas aik Roh thi jo hukmey Illahi ke intezar mey thi.Dil ki becheinian kam ker gaen aur akheri waqt mey bhi Amman ke Dil ne unka bara sath diya unhein dil ka dora para jiss sey woh janber na ho sakein aur dil iss qable nahi tha k uska treatment hosakey kuki iss mey jeeney ki arzo thi hi nahi unkey Dil  mey tou bass Allah ki mohabbat josh marti thi.Aaqa alehe slam aur Nana jan qibla aur tamam buzurgoun ki mohabbat mey rangi hoee unki zindagi ney unhey dunya sey mohabbat kerney nahi di ,woh hamesha isse rang mey nazar atee thein kabhi woh iss rung sey alag nazar nahi aaein balkey unka apna aik rang hum sab ney mehsoose kia shayed iss ki wajeh yeh ho k unka zahir batin dono aik hi tha.pr iss sey bhi barh ker makhlook-e-Kuda sey unki mohabbat thee hr shakhs unn sey mohabbat kerta tha aur unn ki mohabbat ka dawedar hey jin mey sey aik mey bhi hon,mujhey lagta hey woh meree sab kuch theen, jiska indazey sey leker yaqeen tak, mujhey unn ke janey ke baad pta chala aur ab mujhey aisa mehsose hota hey woh hr waqt mery pass hoteen hein ya shyed hr dawedar ko aissa hi lagta ho bas meree Allah sey ye hi dua hey k Allah mujhey hamesha Amman ke sath hi rakhna aur Amman ko mery sath ameen 

Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD