AllAH KI KHUSHI

yeh baat samajh mey nahi ati k hum insan aik dossery ko itni asani sey kiuon nahi samjhtey jitney asani sey hum janwaron ko samjh letey hein,Insan ashraful makhloqat hey tou aik dosery ko samajhna aur bhi asan hona chahey .jab hum ghar mey koi hi pet latey hein tou usko samjhney mey hu ji jaan laga detey hein uskey khaney peny k time fix ker detey hein uskey aur zaroriyat ka bhi khyal rakhtey hein ,lakin jab hum kisse insan ko apni zindagi mey shamil kertey hey tou hum chahaet hei k woh hmara khyal rakhey chalo yeh bhi theek hey mager kisse bhi kism ki kotahi hum sey bardasht nahi hoti halankey agar hum kisse bhi shakhs ko samjah jaein tou zidagi bohat asan ho jati hey.kia hum logon sey Mahabbat nahi kertey?kuonki jin sey hum mohabbat kertey hein unki koi baat hamey buri nahi lagti balkey unki narazgi humey bechen ker deti hey ,tou kia hum sab insanon sey issey terhan muhabbat nahi kersaktey   'kia Allah ke liye bhi nahi'.jabkey hum sab achee terhan jantey hei k Allah apney bandon sey kitni muhabbat kerta hey.Woh sab gunah maaf ker de ga per bandan sey kigaee zyadati woh kabhi nahi maaf krey ga.Bas aik muhabbat hona hi tou hey bohat aasan aur bohat muskil bhi,aasan uss waqat jabkey Ghutti mey di gaee ho Ya Allah ki taraf sey ata ki gaee ho aur mshkil tub ,jab khud ki jaey yeh dunia ka mushkil tareen kaam hey meree nazar mey sab kuch lut jata hey, har ker bhi jeet raha hota hey Lakin isska maza bhi mukhtalif aur jaza bhi

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ