DOSTI

Ye dosti hu tou gaee hey magar iss ki wajeh sey mey apney asp ko bhool gaee hun ,mujhey kuch yaad nahi ye dosti kab huee bas itna pata hey Woh jab yaad ata hey ankhon sey pani nahi rukta,hr waqt tasawer mey Woh hi hey aur ankh mey anson, Yeh wohi anson hein jinki hifazat mey mene arsa laga diya.   
               Boht hi khas mouqon pr bahir nikaltey they pr ab najaney ku hr waqt palkon pr tikey hein.
Magar musala ashk ka nahi ashkbari ka hey aur ye giryazari ussi DOSTI ka nateeja hey.
               Lakin kia waqee meri giryazari uss sey dosti ki wajhe sey hey?tou ye kessa rishta hey jo itna gheraee tak jata hey, jo meri zindagi mey apna asar rakhta hey aur aik maeni deta hey, jo mujhey apney liye hr waqt bechain keye deta hey .
               Mey uski dosti ke qabil nahi. Mey kum zarf iss qabil kahan, lakin  ager Usski  aik nazer e karam mujh pr parh jaey tou boht hey. mey issi ki talib hun, ussi hi bhikari hun.

Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD