ٹوٹی قبر TOTI QABR

Dhoor se boht hi masehoor kun awaz suunai dey rhy thi ,ye kisi ounth (camel) ki ya bail (ox) key galey mey padi huee ghanti ki awaz maloom deti hy.jesey woh khud hi apas mey aik  dosery ko apna  haal bata rahien hun ke kitni musafatein tey kr ke ayein hun aur kia kia saobatein uthaein hein rastey ki,aik faryaad aik udasi thi inki pukar mey jesey thak kr choor hein .Raat ke iss peher jabkey sheyed koi jaag kr bhi soya hua hota hey inn ghantiyoun ka sunaee dena koi maqsad rakhta hey ya tho koi shadi hogi ya kisi ka janaza .Aah!!! janaza, mujhey bhi intezar hy kisi janaza ka --- ku ? Kuki mey khud aik Qabr hun magr meri badd nasebi ke mujhy abad nhi kia gaya ,aas pass ki taqreeban sab hi qbrein abad hein aur mey ,mey tho bilkul gher aham aur weeran aur gher abad hun.Merey Ird gird sabza hey aur pohlon ki kiyariyan hy,mey barson se muntazir apny mukammal hony kay liye btaab umeed liye huey.                                                 Raat ki tareeki aur sannata hybat nak hu akta hy  magr merey liye raat ka ye manzr Jo kisi ki bhi ragon mey khoon jama Sakta hy  acha lagta hy mujhy din ke shour u ghul aur roshni mey apna aap wesey bhi acha nhi lagta kuki mey boseeda Aur shiksta hun.waqt Kr saath merey andr k gubaar ney Kai baar bikharna chaha magr aik zrra bhi apni mann mani nhi kr saka mey sab ko samet thi rhi, mujhy intezar hy apny USS bichdey wajood ka jiss ney mujh mey mil Jana hy ghul Jana hy Aur meri bey nami Aur gumm nami dhoor krni hy.
Ghantiyan baatein krti qareeb aa hi gaein AB halki halki bain krney (rony) ki awazein bhi aney lagein .Oh ye tho koi janaza hy merey ander maa ki mamta ki terhan garmi mehsose hony lagi aur mera seena kushada hu gaya meney bahein pehla dein Aur sans ROK  li aik teez si khusboo meri band sanson mey any lagi ,kitni manoose si khusboo hy soondhi sondhi jesey merey pyar mey gondhi huee mitti ni dheari.Logon ki pareshani Aur bay chaini  dekh rhi thi talash jari thi qabr ki jageh ki magr koi munasib jageh nhi mil rhi thi,mey itni boseeda thi k meri taraf kisi NY dekha hi nahi,Janaza kisi Naik bandy ka hy jageh achi hi dhondhi jarhi thi aik toti photi qabr KO kon dekhy magr Matti meri thi mujhy hi ko Chuna gaya .mujh se bardasht na hua Aur mery zary zäry mey meri kafiyat aayan hugayee Aur sab jugnu ki terhaan chamkany lagy ,aur meri takmeel hugaee.



Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD