LOVE IS THE DIVINE COLOUR OF LIFE
kia hota jo yeh dunia sirf aik rang ki hotee kisse ko nahi maloom ke kessee hotee aur kesi lagtee ku k ham toun rangon k adi ho chukey hei ,hamaree zindagi mey jabtak rang nahi tou kuch nahi hum in rangon key bagher kessey reh saktey hein?reh saktey bhi hein k nahi?iss ka jawab zahir hey k hr aik ka mukhtalf bhi hosakta hey aur shayed milta julta bhi.Rang aur roshni ke bagher tou na hum reh saktey hein aur na hi rehney ka tassaver kr saktey hein lakin kuch Allah ke Bandey iss me barey mahir hein.dunia ki rageenia unkey liye bey mayeni hotee hey ku k woh dunia ki ranginion ko bey rang samajhtey hein aur bzahir bey rang chezon mey rang talash kertey hein lakin woh hoti unki matlab ki heyku k unkee ankhon mey tou Allah ki mohabbat ka Rang chara hota hey.uskey baad Shareyet mey hi gum hotey hein phir Shareyet ko letey hoye Tareqat ki rah mey gamzan hotey hein unhein kahan fursat ke rangeen dunia ki taraf tawajuh dein woh tou Noor ki roshni mey hotey heinaur Noor bazahir tou aik rang ka hota hey lakin rangon ka majmoa hota hey .Mohabbat ka rang bhi ajeeb hota hey bas uskey liye aik hi rang kafi hota hey bas ankhon pe charhaney ki ddeir hey phir dekhen lakin humein kia pta hum tou abhi uon Allah ke naik bandon ke naqsh-e-qadam pr chalney ka soch hi rahein hein kia malom hum chal paengey bhi ya nahi phela zeena teiy ker paeingey bhi ya nahi Allah humarey liye Asanian paida krey ameen
Comments
Post a Comment