QAID-E-HAYAT

                                               Qaed-e Hayat bando gham asl mey dono aik hein
                                                Mout sey phely aadmi gham sey nijat paey kiuon

   Beshak,tamam gham ,mushkilen,preshanian sab zindagi ke sath hi hein sirf aik mout hi hey jo in sab sey nijat dilaye gi,majbori ye hey ke hum mout ki dua bhi nahi ker saktey lakin intezar zaror ker saktey hein.aur iss doran ka jo waqt hey qaid-e-heyat hi hey,Roh tou bechain hi rehtee hey apney rab sey milney ke liye aur Hukm-e-Rabbi ke intezar mey rehtee hey  ussey kisee pal chein nahi milta  shayed issee liye roz raat ko woh jissm sey kuch waqt ke liye azad hojatee hey lakin yeh tou roh ka mamila hey Dil ka kia krey?woh kahan jaey aur kesey jaey usko bhi yaqinan apney mehboob sey milney ki arzo hotee hey tou woh kia bas Mout ka intezar krey kia uska mehboob ussey dunia mey nahi mil sakta.Dil ka kam sirf yahan dharakna hey dil ki dharkan mehsos ki jasaktee hey lakin tarap aur bechanee sirf wohi mehsoos krey ga jiska dil hey ya jo iss dil mey rehta hey lakin agar dil me aam insan hoga tou sab bekar hey maza tab hey jab koi khas ho koi haqiqi ho koi fani na ho balkey La Fani ho phir tou mohabbat bhi la zwal ho jatee hey, koi aesa ho jo uss sey hr halat mey pyar krey ussey dhutkarey nahi ussey reject na krey balkey uss ke liye apni taraf aney ka hr rasta khol dey aur asanian paida krey .iss mey koi shak nahi iss rastey mey sirf sakoon hi sakoon hey aur yeh hi humaree manzil bhi hey.     

Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD