JHAROO

 Woh kafi bara sehan tha , asmaan pura khula hua tha, dhoop ser pr chamak rahi thi haddey nigah tak mujhey koi nazar nahi araha tha aik ajeeb si khamoshi ka raj tha aur mey preshan khareey hoyee thee mery hont khushk thay magar mujhey pyass  mehsose nahi horahi thee aik ajeeb kaifiat ka shikar thi kuki mujhey samajh nahi araha tha mey kia kron,koi bohat tumbihee andaz mey keh rah tha ke tumhey nazar nahi arah 'ke sehan mey kitna koora jama ho raha hey chalo jharoo uthao aur sasfaee kro'sehan ke aik koney mey bohat bara bergad ka darakht tha usskey patey porey sehan mey bikhrey hoye they,  lakin jharoo kahan sey ayegi ?yeh aik swal tha jo mery zehan mey bar bar arah tha jharoo kahan sey laon kesey safaee kron,mujhey jab kuch samjh mey nahi aya tou meney apni aurhni utar ker uss sey safaee shuru ker di ke achanak phi wohi awaz mery kanon sey takraee 'aorhni ser per dalo tumhey pta nahi yeh bohat baree Dergha hey' abkey bar uss awaz mey thorey ghusey ki amezish bhi thi.lakin apnaiyet bhi thi jessey koi apna jo aapko bohat qareeb sey janta ho.mey kuch chah ker bhi na bool sakee.
                                                 Mey   jharoo ke barey mey pocheney hi wali thi ke jharoo ko apney paon ke pas mehsos kertee hon mujhey thora itminan hoa  ke mujhey jharoo dhondni nai paree phir mey dupatta sahi sey auorh ker jharoo utathi hi hon ke dektee hon ke aasman pr bohat sey parindy urhtey nazar aye aur soraj ko dahnp diya mujhey uswaqt bohat hi acha mehsose hua phi mey ney itminan key sath apna kaam shuro kia mey abhi jharoo mukammal tour pr dey bhi nahi paee thi k Ammi ki awaz phechey sey  mosalsal arahi thi Nafeesa,Nafeesa ab uoth bhi jao maghrib ka waqt honey wala hey aur phir  meree ankh khul jatee hey,mujhey shidat sey pyass mehsose hoee mey ne glass bhar ker pani piya aur khuab ke barey mey sochney lagi kesa ajeeb khuab tha.mera dil aik na manose see kaifiat ka shikar tha
                                               iss khuab ko taqreeban aik mah hogaya tha wessey tou zindag mamool pr thi magar koi kami thi jo musalsal mehsoose hoti thee jessey kuch gum hogaya ho kuab tou mujhey mun o unn wesey hi yaad tha jessey meney abhi dekha ho.mujhey lagta hey k jesey mey hr waqt kissee ki nazar mey hon pr kon hey jo musalsal mujhey dekh raha hey.meree zindzgi mey bohat si tadeelian anee shuro hogaein thien,  mey kisse bhi qism ki mehfilon ki bikul shouqeen  nahi thi pr ab majboran bohat se mehfilein attend kertee hon lakin aas pas manose si khusbo aur khamoshi si rehthee thee k  mehfil bhi mery liye ajnabi hojatee thee.mey bas apney aap sey begana hotee jarahi thee, 
                                               Jharoo mery liye aj bhi mysterey hey kukey mey jharoo  dena zyada passand nahi kertee bohat mushkil kaam lagta hey kamar hi toot jatee hey pta nahi log kesey jharoo shouqe sey laga letey hein,yeh mey tasleem kertee hon jharoo deney wala aam aadmi nahi hota woh apni jaan laga ker yeh kaam kerta hey aur aur iss ko kerney mey kafi tahammul bhi chaye aur nazar bhi mey aksar dekhtee hon jharoo rakhney ki aam tour pr jageh saaf suthree nahi hotee ussey kaam leney ke baad utha kr taqreeban phenktey hoye rakha jata hey, lakin mey jharoo ko rakhtee baree ahtiyat sey hon kabhi ussko seahn mey nahi rakhtee,dhoop mey nahi chortee yahan tak ke kabhi phenk ker rakhtee bhi nahi hamesha store ke ander tareeqey sey rakha pta nahi asea kuon hey? pr mujhey lagta hey yeh hi   theek hey yeh hamarey ghar ko pak saaf  kertee hey ussey mey ghalat jageh pr kuon rakh don?yeh meree apni soch hey sahi hey ya ghlat yeh tou Allah janta hey.
                                            Mey ab aksar hi ossey khuab ke barey mey sochtee rehtee hon jessey iss  ki aseer hoker reh gayee hon aakhir  kia bheed  hey jo samajh nahi  aaraha  kuon  samjhaye ga kuon mujhey iss mushkil sey nikaley ga, .mujhey abhi apney barey mey sochna hey apney aap ko talash kerna hey meny tou kabhi apney barey mey ghour hi nahi kia kabhi tawwajuh hi nahi di .mey kia hon mera kaam kiaa hey meree zindagi ka maqsad kia hey aur ab tou mujhey apni manzil ki fikr hey,  k aakhir meree manzil kia hey?
Yeh bohat purani baat hey abhi mey sirf saat saal hi ki thi jab mey ney pehli bar jharoo di thi uss raat mey tangon ke dard ki wajeh sey khub roee thi lakin chupkey chupkey kuke woh jharoo mey kissee ke kheney pr nahi balkey apney suoq sey lagaee thi ammi ke manaa kerney ke bawajood na sirf ghar ke andurooni hissey mey balkey pheechey waley ujarh lawn mey bhi.............
                                          

Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD