DARYA DILLI
mey akser sochtee hon k kia kabhi insani wajood samunder ki terhan hosakta hey jo ooper sey bara hi pur sakoon nazar ata hey jabkey ander ka hal koi nahi janta siwaye uskey jisko justajo ho kher mey apney topic sey hat rahi hon mey baat kuch aur kerna chaatee hon , janney ya na janney ki taraf jana hi nahi chatee mey tou Samander ki misal iss liye dena chatee hon k jitnee uskey ander wusat hey aur deney ki salahiyet hey shayed hi kisse mey ho ya Barish ki terhan ya phir Hawa ki terhan ,kon hey kis mazhab ka hey ,kis zaat ka hey ,gora hey kala hey,ganda manda hey ya pak saaf, ajnabi ya gher ajnabi unko tou bas lutana hey taqseem kerna aur bantna hey.jin logon ko in nayamaton sey faida uthana hota hey wo bila wasta ya bilwasta in sey mustafeed hotey hein.In teeno mey baat qadrey mutarik hey k ye Talib nahi hein balkey Matloob ko sershar ker detey hein bagher kisse muafzey aur lalach ke ,inkey honey sey her nafs khush hi hota hey aur ussey zindagi miltee hey,tou kia hum in jessey ho saktey hein k hamaree zaat sey hamarey ass pas rehney walon ko hamesha khusi miley aur hamara hona unkey liye baisey rahmat ho ya hum yeh keh saktey hein aik Maa ki terhan,Maa k liye uskey sarey bachey aik jessey hi hotey hein lakin yeh mohabbat aur darya dilli sirf apney bachon tak hi mehfooz na ho balkey sab k liye ho mushkil kaam hey pr namumkin nahi aisa ho sakta hey agar hum chahein .
Comments
Post a Comment