MANOOS-E-TAMNNA

 Manoose-e- tamnna bara hi na manoose sa lafz lagta hey  lakin ahley Dil iss lafz sey taqreeban  manoose hi hotey hein kukey woh Tamnna kerna bhool jatey hein ya iss ki zarorat hi mehsoos nahi kertey kuki woh aik assey dabbey mey band ho jatey hein jo unki kul kayenat hota hey jis mey woh aik puri dunia abad ker letey hein aur woh dabba  muqaffal hota hey jabkey uski chabi unhi k haath mey hotee hey pr woh usko kholna nahi chatey  unhey issee terhan zindagi guzarney ki adat ho jatee hey.  woh andar hi andar aik khas qism ki ghotahn ka shikar ho jatey hey phi bhi iss sey baher nikalna chahetey hi nahi masty aur bekhudi unhey unn sey juda ker detee hey uss waqt woh ! woh nahi hotey jo sab ko nazar arahey hotey hein nahi jissko koi naam diya nahi jasakta ya hum naam dena nahi chatey kuki yeh baher ki dunia bilkul mayoose ho jatey hein,bahar ki dunia ke log unhey pagal ya dewana samajhtey hein.                                      
                                                    yeh tou aik rukh hey lakin Ahley Dil isse mey apni hayat samjhtey hein wo apni un khuahishat ko qaboo mey rakhtey hein jo unhein unkey mehboob sey mazeed durr kerdey kukey wo iss ko apna eman samjhtey hein aur apni  baqa isse mey dhundhtey hein. Asl mey wo Dabba unki pori dunia hey jissey bahar nikalna woh khud bhi passand nahi kertey, bahir ki dunia se chup ker woh aik ajeeb masti mey dobey rehtey hein aik bekhudi aik bekhabri ke alam mey rehna passand kertey hein aur ankhein band ker ke bas apney mehboob ka  Dedar kertey rehtey hein iss liye kissse bhi dunyawi Tamnna ko apney oppper  haram kerletey hein aur apney Dil ko Manoose-e-Tamnna nahi honey detey.  

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ