CHINCHI KA SAFAR

       Chinchi waqiee dekhney mey aik ajeeb si sawaree lagtee hey.lakin yaqeen krein yeh sirf dekhney hi mey ajeeb nahi lagtee balkey iss pr swareee kerna ,uss sey bhi zyad  ajeeb lagta hey, yeh koi mujh sey pochey yeh mera expereince hey really,iss per bethney key baad bas dil chatha hey kahein sey humarey saron pr  SULAIMANI topi ajaey aur hum sab ki nazron sey chup jaien ke koi humein dekh na sakey ,hum tou iss dunia ko dekhein lakin dunia waley humey na dekh paein kunki CHINCHI pr bethey hoey hr hr shakhse pr Dunia walon ki nazar hotey hey aur CHINCHI pr sware hr hr shakhs ki nazrein jhukee hoee hotee hein ya kuch bahadur loog dekhney walon ke cheron pr unkey jazbat ko parhney ki koshish mey lagee rehtein hein. 
                                    CHINCHI ki swareeka muqabla agar hum kisse aur swareee sey krein tou ye chinchi ke sath zyadati wali baat hogi yeh kam az kam auto Rickshow sey tou boht aram deh hey iss mey jhatkey bhi kam lagtey hein, aik aur faida jo iss mey hey woh yeh ke na hi iss ka Driver aapki ziyarat kersakta hey aur na hi aapko yeh takleef gawara kerni parehey gi aapkey liye tou yaqenan yeh aik neyamat sey kam nahi.beherhal yeh bhi haqiqat hey ke iss jessa koi nahi aur yeh bhi tasleem krein ke hr swaree ka koi na koi alternate hey lakin CHINCHI ka koi nahi.    







Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD