NAFESEY BADKAAR
Mey aik aesee makhloq hon jiss ko nafse ka shikar honey mey deear nahi lagtee aur mujh jessey kamzoor eman waley tou hr waqt isska shikar hein,koi naik kaam bas ker lein ussey auron ko bataney kee bohat jaldee hotee hey k kahin bhool na jaein logon mey humaree izzat ho balkey pazeeraee ho aur phir mazey ki baat woh logg yaqeen bhi kertey hein aur sarahtey bhi hein akhir kiuon?aisa kiuon hota hey hum iss ka shikar asani sey hojatee hein,hum yeh jantey hein ke humey iss dunia mey zyada arsey nahi rehna,yeh dunia humara asal theekana nahi hey aur yeh bhi haqeeqat hey key iss trhan kerney sey humm jannat mey tou jasaktey nahi hein aur sab sey barhi baat hum Allah ko kia munh dekhaeingey aur kiss terhan yaqeen dilaeingey ke hum apney Nabi sey bohat pyar kertey hein..........pr kia krey?naiki kerkey derya mey daalna koi asan kaam hey yeh bhi aik merhallah hey nafse ko marna hr aik ke bas ki baat nahi hey.
pr yeh maqoola hameesha yaad rakhna chaheye ke
Naiki ikhlas key sath ho tou bateey nahi jatee
Naiki dikhawey ki ho tou chupaeey nahi jatee
pr yeh maqoola hameesha yaad rakhna chaheye ke
Naiki ikhlas key sath ho tou bateey nahi jatee
Naiki dikhawey ki ho tou chupaeey nahi jatee
Comments
Post a Comment