ANSOO
Ye Anson bhi ajeeb hotey hein ye ku ankhon mey ajatey hein dard apna ho ya praya issey inhey koi matlab nahi lakin ankhon aney ke liye koi na koi bahan mil hi jata hey. Yeh! ye bhi nahi dekhtey ke taleef kis noeyat ki hey rohani hey ya jismani ,nayee hey ya puranee inhey iss sey koi ghraz nahi. jab tak ander rehtey hein theek hota hey kisse ko kuch maloom nahi parhta aur agar ye baher nikal jaein tou aapki kefiat logon pr zahi hojatee hey jo k bari takleef dey baat hotee hey agar sachey hon kuke ye aapki dil ka haal keh daltey hein.baaz martaba hum jab kuch bolney k qabil nahi hotey tou ye hi anson hamaree zuban ki terjumani kertey hein aur dil ki baat samjhdetey hein,jabkey kaee martaba hum nahi chahatey ke koi mehram-e-raaz ho, bas us waqt hum ye hamey dhoka de detey hei Lakin shayed hum bhi ye baat nahi samjhtey k asl mey anson humey dhoka nahi de rahey balkey ye hamrey samney Ye haqeeqat khol detey hein k kon hamarey kitney qareeb hey.wohi anson jo ankhon mey hotey wo Magnifying glass ka kaam detey ,qreeb aur dor ka pta chal jata hey kon kitna qareeb agya aur kon dor chala gya.
KAbhi khud gham ya taleef mey hon ya anjaney mey hum sey kisse ko takleef ponchein ,dono soraton ye nikal atey hein. Ye hi anson nidamat k hon tou touba bhi ban jatey hein aur dekhawey ke hon tou musibat ban jatey hein (apney liye bhi aur dosron ke liye bhi)warna insey barh dekha jaey tou koi dost nahi hota, khushi ho ya gham ye apkey sath hein,khiwat ho ya jalwat inhon ney aapka sath kabhi bhi kahin bhi nahi chorna,Ye aapko Rab sey qareeb kerdetey hein ,mehboob ke dil mey ghar ker letey hein, apni sachaee ka yaqeen dilaney k liye barey kargar sabit hotey hein.Ye anson ki nagri derasl jadu nagri ki terhan hotee hey bas jadu bhi hr kisse ko kerna nahi taa isse terhan ansoun ka istamal hr kisse ko nahi ata
Comments
Post a Comment