HUKMARANI

Hr insan hukmarani ka shouq rakhta hey chahey woh chota ho ya bara, ameer ho ya ghareeb, sahib-e-ikhtiyare ho ya bey ikhtiyare,iss sey kissi ko koi farq nahi parhta Hukm chalaney ka shoq hr aik ko hota hey .hamarey yahan Mardon mey tou ye boht aam hey pr auratein bhi pheechey nahi hein Mia pr daao chal gaya tou chal gia warna bachey tou hein.Afsar apney maathet  pr aur woh apney sey kam pr Hukm chalaney sey guraise nahi kerta bas jisko jahan moqa mil jaey,Hukmarani ka shouq rakhney waley akser afrad ko ye baat mery khyal mey pata hi nahi hoti ke Hukmarani kerne ky dou( 2) tareeqey Aik ye ke Dil pe ki jaey Dosery ye k Dimagh pr ki jaey,zyda ter loug dimagh pe hukmarani pr zyada  zore detey hei iss ky faidey barey hein iss mey aapki Ego hurt nahi hoti aur foren ke foren baat puri hojatee hey bandey ki chahey aissi ki tessi hojaey,yeh hi tou chata hey Dimagh pr hukum chalaney wala bas ye tou boht asan kaam hey aur issko kerney mey koi nuqsan bhi nahi lakin Dil pr hukmarani kissi kissi ko naseeb hoti hey aur ye kitni mushkil hoti hey ya asan hoti hey ye uss insan ke apney mizaj ke mutabiq hota aur ye wohi janta hey jo iss pr pora uterta hey

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ