Duo ansuon ki kahani

Un duo ansuon ki aap beety jo waqat peh Beh na sakey.
               Yeh us zamaney ki baat hey jab har taraf bazahir chen hi chen tha mager phir bhi kahein kuch kami si lagti thi pata nahi kesi ,bahar bohat kuch ho raha tha karobarey zindagi rawan dawan tha laki ander aik tofan tha kuch iztarab tha. koi hisen (senses) sahi sey kam nahi ker rahi thi per  hum dono ko hukm nahi tha ke baher aayen jab ke dil ander hi ander khub roraha tha. laken in  ankhon ney kissi ko pata bhi lagney nahi dia. surkh tou ho jateen per ankhon sey hamey gerney nahi dia halanke woh hi waqt tha beh janey ka, samjh mey nahi aata tha ke woh kessi Ana  thi kesa zuom tha un ankhon ko.  un ke garoor ney hamey mitney nahi dia ,hum ban tou gaye,machal bhi rahey theay chalakney ke liye.Ander reh ker hum ney bohat kuch dekha, ke dil jab dukhta hey tou uss ki darhken kesey chalti hey jab khush hota hey tuo kesey hoti hey,humarey sathi tou gham aur khushi don mouquon per apney fraaize anjam de rahey they laken humen ijazat nahi thi, akher kyon!  hum dono ko jis karb ki wajah sey baher nikalna tha woh touguzar bhi gya tha, wou bara tofan tham bhi gaya tha pr shayed woh shakhs humey bhol gaya tha,woh humein rakh ker bhol gya tha, woh nahi janta?ke hum pe kia guzri?hum ne kitna takleef de waqt guzara?  ya hum kia ker saktey hein?yeh sub hamari ghalat fehmi thi kyunki hamaree hifazat itni asan nahi thi, ansuon ka tou kam hi beh jana hey,wasey tou hum har har muqay per jhilmilaey lakin ijazat nahi milli aur hum ney bhi hukum aduoli nahi ki. tareekiyon mey rehni ki humari tou aadat hogayee thi lakin waqt ki zarra nawazi ne humen kuch aur hi bna dia inn tareekiyuon mey hamen diyey jhilmilatey nazar aayey aur inn ki roshniy barhtey barhtey itni zyada hogayee ke hum per uss ka asar honey laga ,hum mein quoso qiza (rainbow) ke rang nazar aney lagey aur hum pani sey heera hogaye bus aur kia chahiye!lakin woh Roshini kessi hey? kahan se aaye?jiss ney humein chamaktey hoye moti ki shkal de di thi, ab kuch kuch raz ki batein samajh mey aney lagi thein.
                                                                     
                                               

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ