Posts

Bayein Pasli

                بائیں پسلی  میری فطرت پے مجھے رہنے دو مجھے توڑو نہ جھکا رہنے دو ٹوٹی تو کبھی جڑ نہ پاؤنگی خاک ہوں خاک مے مل جاؤنگی میری ہستی کو فنا ہونا ہی ہے دیار یار مے مجھے کھونا ہی ہے میرا  جھکنا  راز فطرت ہے سن لو  میری حرمت میں نصرت ہے سن لو ٹوٹ  کے گرنا  میرا  معیار نہیں اتنی کم ظرفی میرا شعار نہیں اب  مجھے توڑہنے کے جتن رہنے دو بنت حوا ہوں شیریں سخن رہنے دو

Beetii Batein

Boht arsa hua mey apney haal mey nahi hun balkey Mazi mera hamsafer bhi hey mera ghamkhuar bhi aur sabsey barh ker meri humraz bhi, mera beeta hua kal mujhey khud sey milata hey aur ye hi meri khuhish hey ke mey apney aap sey  milon, kabhi kabhi khud ko janney ke baad bhi insan bazahir khud sey laparwa hojata hey aur phir kissi  aur dunia ka basi ban jata hey,jahan wo apna dost ban key apni islah kerta hey aur apney ass pass apney man passand logon ko rakhta hey jin ko wo apney sab sey qareeb samjhta hey.magar agar koi bahir ki dunia ka basi uski zindagi mey irteyash paida kerdey tou behadd takleef deh hota hey ,kuki irteyash wohi paida krey ga jo na uska hum mizaj hoga na ghum gusar,Bas phir ussi KABHI KABHI ka intezar kertey kertey boht arsa lag jata hey,ya Bahir ki dunia ka aik lamha bhi sadion lag jatey hein phir Beeti Batein uska muqaddar ban jatein hein.

Tanhaee

Tanhaee boht bari neyamat hoti hey,    iss neyamat ko hasil kerney ke liye  kia kia jaten kertey hein .Koi Sehra ka rasta dhundhta hey koi jangul aur bayaban ki ore chal parta hey,koi baaghaat ki saer krta hey, der haqeeqat tanhaee aapko batati hey ke aap hein kia? Apkey mann mey hey kia? Aapkey ander kia basta hey?  dunia!  ke Rab?                  Bara hee mushkil swaal hey jiska hal talash krna boht hi asaan hey,thorey hi waqt pata chal jata hey kuki tanha Insaan ya tou wehshat zada nazar aye ga ya pur sakoon. Wehshat zada insaan iss neyamat ko apney liye musibat samjhey ga, jabkey Pur sakoon nazar aney wala iss neyamat sey bharpur faida uthaey ga.                  Tanha Insaan jab akela hota hey to der asl wo akela nahi hota uski sathi Uski Mehboob tareen chez hoti hey, ye uski passand ke woh kis chez ko mehboob rakhta hey Maaddi ya rohani. Tanhaee ka maza jab hi ata hey jab Roh ke sakoon la saman kia jaey aur ye sakoon sirf aur sirf Rab ko yaad krney mey ata hey.               

Zameer ki Aawaz

انہیں سونے دو انہیں سونے دو  یہ  غفلت  کی چادر اوڑھے ہوے اپنے ہی غم مے ڈوبے ہوے کئی عشروں  سے منہ چھپا ے ہیں آوروں کے دکھ کی پروا نہیں میٹھی نیند کو  کھونا نہیں صداقت کا جوش حقیقت کا ہوش انکے بس کی بات  نہیں  انکے دن عید نہیں رات  بھی  تو شب رات  نہیں جانے کب یہ جاگیں  گے ہاں جب بھی لکن جاگیں گے اپنے آپ کو کوسیں گے اور منہ چھپا  کے روینگے ہاے وقت  کا پہیہ تو گھوم چکا تاریخ کا صفحہ  بھی بھر چکا لکھنے والوں نے لکھ بھی دی اپنے خون سے داستاں تری جو یاد رہیگی صدیوں تک کوئی بھی مٹا نہ پاے گا نہ  تلوار تری نہ نسل تری اور دینا پڑے گا حساب وہاں جہاں تیری مرضی کا نصاب  نہیں             شیریں قادری 

ADHURA KHUAB

اے دوست میرے اے وقت ذرا آہستہ چل کچھ کام ابھی ادھورے ہیں باتیں ابھی ادھوری ہیں ایک خواب ابھی نامکمّل سا بیتا وقت بیت ہی گیا پانا تھا اس مے جو  پا ہی لیا بیتے کل مے کچھ ادھورا نہیں بات مکمّل , خواب مکمّل حتیٰ کے میری ذات مکمّل جب دنیا میری  اپنی تھی اور  ذات مے اکیلی تھی مگر اب مجھ مے کچھ بھی  میرا  نہیں نہ ذات مری نہ دنیا میری مجھ سے جڑی  کچھ جانیں  ہیں اور ان  سے  جڑے ارمان میرے ان کے ہی کام ابھی ادھورے ہیں باتیں بھی کچھ ان کہی  سی ہیں لکن وہ ادھورا خواب جو میرا ہے وہ وصل تیرا وہ قرب تیرا شیریں قادری

JUDAEE

Judaee ka sunkr ye samjh ata hey ke! ye ati tou hey mager boht sey gham lekr ati hey aur phir ya tou Yeh jald khatam hojati hey ya dere sey,lakin, khatym hojati.Bazz mertaba Yeh khatum nahi hoti balkey Insan khatum ho jata hey, isska gham ussey jeeney nahi deta, lakin ye humarey Zarf pe hey ke kis ki judaee jan leva?ager tou hum kisi aesey Shakhs  ke gham mey mubtela hein jis ko hamari parwa nahi ya aisi  cheez jo hamarey liye gher ahem hey tou bekar waqt ka ziyan hey,balkey ussey dour hona hi behter hey. Khuch logg issey bhi hotey hein jinka aapki zindagi mey hona aapko apney hony ka ihsass dilata hey, aap apney aapko unn sey milney ke baad phechantey hein ,bas yehi logg jab aap sey Juda hotey hein tou unki Judaee Mar dalti hey. Ye logg apko khud sey nahi milatey balkey aapko aap sey military hein woh ye nahi kehtey mey ye hun? Mey woh hun? Mey aisa,mujhey ye acha lagta hey wagher waghera;aisey logg aapko gher mehsoos tareqey sey Ahmiyat dey rahey hotey hein,jiss ka apko unkey juda

Ghamon sey dosti

Ye jo ankhon mey terey ujaley hein Meri muhabbat ke rang niralay hein. Baat samjhna itna bhi dushwar nahi Gham sahey nahi meney, paley hein. Terey gham sey ye sikha hey meney Anson lakh mager lab pe taley hein Dosti tujh se nhi trey ghamon sey hy Na shikwa koi na Lab pe naley hein Aag hi aag hr taraf pr koi nisha nahi Dard  aayan nhi, dil pe chaley hein Hayat zanjeer hey,Dunia zindan agr Waqt ne Huma kitney aseer samhaley hein