Tanhaee
Tanhaee boht bari neyamat hoti hey, iss neyamat ko hasil kerney ke liye kia kia jaten kertey hein .Koi Sehra ka rasta dhundhta hey koi jangul aur bayaban ki ore chal parta hey,koi baaghaat ki saer krta hey, der haqeeqat tanhaee aapko batati hey ke aap hein kia? Apkey mann mey hey kia? Aapkey ander kia basta hey? dunia! ke Rab?
Bara hee mushkil swaal hey jiska hal talash krna boht hi asaan hey,thorey hi waqt pata chal jata hey kuki tanha Insaan ya tou wehshat zada nazar aye ga ya pur sakoon. Wehshat zada insaan iss neyamat ko apney liye musibat samjhey ga, jabkey Pur sakoon nazar aney wala iss neyamat sey bharpur faida uthaey ga.
Tanha Insaan jab akela hota hey to der asl wo akela nahi hota uski sathi Uski Mehboob tareen chez hoti hey, ye uski passand ke woh kis chez ko mehboob rakhta hey Maaddi ya rohani. Tanhaee ka maza jab hi ata hey jab Roh ke sakoon la saman kia jaey aur ye sakoon sirf aur sirf Rab ko yaad krney mey ata hey.
Rab ka khyal Uski yaad aur Uska Zikr hi asl mey insan ki mataa hey,heeney ki wajeh hey balkey uski asal haqeeqat hey bas isskey siwa kuch nahi, uski hasti aur uski masti usey pur sakoon rakhey gi.tanha insaan ka dil agar iss khazaney sey khali hey tou woh wehshat zada nazar aye ga aur thaee damaan reh jaey ga.
Comments
Post a Comment