JUDAEE

Judaee ka sunkr ye samjh ata hey ke! ye ati tou hey mager boht sey gham lekr ati hey aur phir ya tou Yeh jald khatam hojati hey ya dere sey,lakin, khatym hojati.Bazz mertaba Yeh khatum nahi hoti balkey Insan khatum ho jata hey, isska gham ussey jeeney nahi deta, lakin ye humarey Zarf pe hey ke kis ki judaee jan leva?ager tou hum kisi aesey Shakhs  ke gham mey mubtela hein jis ko hamari parwa nahi ya aisi  cheez jo hamarey liye gher ahem hey tou bekar waqt ka ziyan hey,balkey ussey dour hona hi behter hey.
Khuch logg issey bhi hotey hein jinka aapki zindagi mey hona aapko apney hony ka ihsass dilata hey, aap apney aapko unn sey milney ke baad phechantey hein ,bas yehi logg jab aap sey Juda hotey hein tou unki Judaee Mar dalti hey.
Ye logg apko khud sey nahi milatey balkey aapko aap sey military hein woh ye nahi kehtey mey ye hun? Mey woh hun? Mey aisa,mujhey ye acha lagta hey wagher waghera;aisey logg aapko gher mehsoos tareqey sey Ahmiyat dey rahey hotey hein,jiss ka apko unkey juda honay pr pata chalta hey.
Ye apkey Rehber,Rehnuma aur sachey Dost hotey hein. Jab ye hum sey dour hojatey hein tou hum kuch arsey tak bhataktey hey unhein apney khubon mey talash kertey hein phir jab khuabon sey bhi tasalli nahi hoti tou who waqt hota hey ke Unko hum apney ander dhuntey hein.Woh humey wahein miltey hein aur issue terhan ye Judaee bhi khatum hojati hey.

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ