Posts

MANOOS-E-TAMNNA

 Manoose-e- tamnna bara hi na manoose sa lafz lagta hey  lakin ahley Dil iss lafz sey taqreeban  manoose hi hotey hein kukey woh Tamnna kerna bhool jatey hein ya iss ki zarorat hi mehsoos nahi kertey kuki woh aik assey dabbey mey band ho jatey hein jo unki kul kayenat hota hey jis mey woh aik puri dunia abad ker letey hein aur woh dabba  muqaffal hota hey jabkey uski chabi unhi k haath mey hotee hey pr woh usko kholna nahi chatey  unhey issee terhan zindagi guzarney ki adat ho jatee hey.  woh andar hi andar aik khas qism ki ghotahn ka shikar ho jatey hey phi bhi iss sey baher nikalna chahetey hi nahi masty aur bekhudi unhey unn sey juda ker detee hey uss waqt woh ! woh nahi hotey jo sab ko nazar arahey hotey hein nahi jissko koi naam diya nahi jasakta ya hum naam dena nahi chatey kuki yeh baher ki dunia bilkul mayoose ho jatey hein,bahar ki dunia ke log unhey pagal ya dewana samajhtey hein.                                                                                           yeh

DARYA DILLI

mey akser sochtee hon k kia kabhi insani wajood samunder ki terhan hosakta hey jo ooper sey bara hi pur sakoon nazar ata hey jabkey ander ka hal koi nahi janta siwaye uskey jisko justajo ho kher mey apney topic sey hat rahi hon mey baat kuch aur kerna chaatee hon , janney ya na janney ki taraf jana hi nahi chatee mey tou Samander ki misal iss liye dena chatee hon k jitnee uskey ander wusat hey aur deney ki salahiyet hey shayed hi kisse mey ho ya    Barish ki terhan ya phir Hawa ki terhan  ,kon hey kis mazhab ka hey ,kis zaat ka hey ,gora hey kala hey,ganda manda hey ya pak saaf,  ajnabi ya gher ajnabi unko tou bas lutana hey taqseem kerna aur bantna hey.jin logon ko in nayamaton sey faida uthana hota hey wo bila wasta ya bilwasta in sey mustafeed hotey hein.In teeno mey baat qadrey mutarik hey k ye Talib nahi hein balkey Matloob ko sershar ker detey hein bagher kisse muafzey aur lalach ke ,inkey honey sey her nafs khush hi hota hey aur ussey zindagi  miltee hey,tou kia hum in jessey h

MAA AUR BACHA

Jab bacha paida bhi nahi hota wou tab hi sey Maa sey jura hua hota hey uss sey qareeb hota hey ,yeh baat bhi ajeeb hey ke wo apni Maa ke Hisar sey kabhi nahi nikalta chaey bara hoker uss ke ikhtiyar mey ho naho wo Apni maa ko hr hr qadam pr dekhta hey kuke wohi usski mushkilein hal kertee ayee hey iss liye hr hr merhaley mey wo hi yaad atee hey uss hi k mushwarey dimagh mey rehtey hein  continide
Hum aksar, logon ke munh sey yeh baat suntey aye hein ke hr banda apney naseeb ka kahta hey aur koi kisse ke naseeb ka nahi kha sakta aur yeh baat sahi bhi hey hamara bhi iss baat pr yaqeen hey,lakin  

CHINCHI KA SAFAR

Image
       Chinchi waqiee dekhney mey aik ajeeb si sawaree lagtee hey.lakin yaqeen krein yeh sirf dekhney hi mey ajeeb nahi lagtee balkey iss pr swareee kerna ,uss sey bhi zyad  ajeeb lagta hey, yeh  koi mujh sey pochey yeh mera expereince hey really,iss per bethney key baad bas dil chatha hey kahein sey humarey saron pr  SULAIMANI topi ajaey aur hum sab ki nazron sey chup jaien ke koi humein dekh na sakey ,hum tou iss dunia ko dekhein lakin dunia waley humey na dekh paein kunki CHINCHI pr bethey hoey hr hr shakhse pr Dunia walon ki nazar hotey hey aur CHINCHI pr sware hr hr shakhs ki nazrein jhukee hoee hotee hein ya kuch bahadur loog dekhney walon ke cheron pr unkey jazbat ko parhney ki koshish mey lagee rehtein hein.                                       CHINCHI ki swareeka muqabla agar hum kisse aur swareee sey krein tou ye chinchi ke sath zyadati wali baat hogi yeh kam az kam auto Rickshow sey tou boht aram deh hey iss mey jhatkey bhi kam lagtey hein, aik aur faida jo iss mey hey wo

NAFESEY BADKAAR

Mey aik aesee makhloq hon jiss ko nafse ka shikar honey mey deear nahi lagtee aur mujh jessey kamzoor eman waley tou hr waqt isska shikar hein,koi naik kaam bas ker lein ussey auron ko bataney kee bohat jaldee hotee hey k kahin bhool na jaein logon mey humaree izzat ho balkey pazeeraee ho aur phir mazey ki baat woh logg yaqeen bhi kertey hein aur sarahtey bhi hein akhir kiuon?aisa kiuon hota hey  hum iss ka shikar asani sey hojatee hein,hum yeh jantey hein ke humey iss dunia mey zyada arsey nahi rehna,yeh dunia humara asal theekana nahi hey aur yeh bhi haqeeqat hey key iss trhan kerney sey humm jannat mey tou jasaktey nahi hein aur sab sey barhi baat hum Allah ko kia munh dekhaeingey aur kiss terhan yaqeen dilaeingey ke hum apney Nabi sey bohat pyar kertey hein..........pr kia krey?naiki kerkey derya mey daalna koi asan kaam hey yeh bhi aik merhallah hey nafse ko marna hr aik ke bas ki baat nahi hey.                                           pr yeh maqoola hameesha yaad rakhna chahey

JHAROO

 Woh kafi bara sehan tha , asmaan pura khula hua tha, dhoop ser pr chamak rahi thi haddey nigah tak mujhey koi nazar nahi araha tha aik ajeeb si khamoshi ka raj tha aur mey preshan khareey hoyee thee mery hont khushk thay magar mujhey pyass  mehsose nahi horahi thee aik ajeeb kaifiat ka shikar thi kuki mujhey samajh nahi araha tha mey kia kron,koi bohat tumbihee andaz mey keh rah tha ke tumhey nazar nahi arah 'ke sehan mey kitna koora jama ho raha hey chalo jharoo uthao aur sasfaee kro'sehan ke aik koney mey bohat bara bergad ka darakht tha usskey patey porey sehan mey bikhrey hoye they,  lakin jharoo kahan sey ayegi ?yeh aik swal tha jo mery zehan mey bar bar arah tha jharoo kahan sey laon kesey safaee kron,mujhey jab kuch samjh mey nahi aya tou meney apni aurhni utar ker uss sey safaee shuru ker di ke achanak phi wohi awaz mery kanon sey takraee 'aorhni ser per dal o tumhey pta nahi yeh bohat baree Dergha hey' abkey bar uss awaz mey thorey ghusey ki amezish bhi thi.l