Posts

Rasta Shatan ka aur Rehman dil mey راستہ شیطان کا اور رحمان دل میں)

Mazy ki baat ye hy k hum sab yehi sochty hein hum Shaitan k rasty pr nhi hum tho Rehman k rastey pr hein, jis se poch lo sab yehi keheingey. Haan sab yehi kahein gy aur sab kehty bhi Sach hi hein, hum Shaitan k rasty pr hein aur na hi chal sakty hein humey tho abhi Nafs se hi chutkara nhi mila tho humy koi orrr ku sataye ga hum sab apny hi tawaf aur aur Dunyavi maqsad ki sai (سعی) mey bhaag rhy hein. Shaitan ko tu arkaan ada Krny ky liye pathar martey hein warna shaitan tho hum se abhi doore hy shayed uss Tak kankr pohanch bhi na paty hun, bas Aik Rasm hy Jo ada krty hein. Magr jis waqt hum apny Nafs ko qurbaan krein tu gy wo amal khalis Allah k liye huga aur Shayed yehi AmL maqbool bhi hujaye. Wesy Amal k liye Sirf niyat hi Kafi huti hey kuki hr Amal ka daro madar niyat pr huta hy. Humara Rasta Rehman Tak jata hy k nhi isky liye humara Makhloq e Khuda se hu kr guzarna zarori huta hy.  Ye nhi husakta k kisi ny kisi ki rah Mey kantey bichaye hun ya Apna raasta saaf Krny k liye kisi ...

پاک فضائیہ کے نام

شاہین و ماہی ۔۔ (پیام مشرق) ماہی بچہ ئی شوخ بہ شاہیں بچہ ئی گفت ایں سلسلۂ موج کہ بینی ہمہ دریاست ایک شوخ بچۂ ماہی (مچھلی) نے شاہین کے بچے سے کہا تُو یہ جو سلسلۂ موج دیکھتا ہے یہ سارا سمندر ہے۔ دارای نہنگانِ خروشِندہ تر از مِیغ در سینۂ اُو دیدہ و نادیدہ بلا ہاست اس میں ایسے مگر مچھ ہوتے ہیں جو بادلوں سے بڑھ کر گرج رکھتے ہیں اور اس کے سینے میں کئی دیکھی اور ان دیکھی بلائیں ہیں۔ با سیلِ گَران سنگِ زمیں گیر و سُبک خیز با گوہرِ تابندہ و با لولوی لالاست اس کے اندر ایسے سیلاب ہیں جو بھاری پتھر ساتھ لاتے ہیں اور زَمیں پر پھیل جاتے ہیں، اس کے اندر چمکدار گوہر اور موتی پائے جاتے ہیں۔ بیروں نتواں رفت ز سیلِ ہمہ گیرش بالای سَرِ ماست، تہِ پاست ہمہ جاست اس کے سیلِ ہمہ گیر سے باہر نہیں نکلا جا سکتا یہ ہمارے اوپر نیچے ہر سَمت موجود ہے۔ ہر لحظہ جوان است و روان است و دوان است از گردشِ ایام نہ افزوں شدونی کاست یہ ہر لحظہ جوان ہے رواں ہے اور دواں ہے،، گردشِ ایام سے نہ اس میں کمی ہوتی ہے نہ زیادتی۔ ماہی بچہ را سوزِ سُخن چہرہ بر افروخت شاہیں بچہ خندید و ز ساحل بہ ہوا خاست بچۂ ماہی نے یہ بات اتنے جوش سے کہی ...

USI KA RASTA

 Hr insaan apni paidaish k pehly hi din se kisi cheez mutalashi huta hy kuki uska dimagh abhi muture nhi huta magr pura huta hy aur isi terhan uska jism bhi . Pr uski Roh  mukammal huti hy. isi liye paidaish k waqt tho uski ankhein band huti hein magr usky baad bachpan se hi apni  puri ankhein khol kr dekhta aur mushahida krta hy wo talash mey huta hy ab tak jin logon se wo mila hua huta hy jesy usky waldain aur family ke light, wo unn hi ke andr jhankta hy wo kisi maddi (material ) chezon ko nhai dekhta balkey insaano ko dekhta hy aur unki ankhon mey jhaankta hy, phir jahan pyar nazr aye tho mskurta hy aur jahan bechaini nazr aye unse katrata hy .            Ye pyar  ya Muhabbat Jedi kefiyaat hi usy  mutmaeen kertien hein kuki usy jis ki talash huti hy wo  pyar aur muhabbat se hi mutasil hy usi se jurhi huti hy. Wo unn se hi khush rehta hy jinky andr jhank leta hy unki ki naqal krta hy unki hi taqleed krta hy, unn hi mey apni ...

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

Nazrein jhukaye kitni hi daer mey Jaye Namaz pr baithi rhi . Dimagh khali khali tha aur Aik ajeeb si werani aur bey kali  chayee huee thi .Koi baat, koi waqiya، naa hi koi plan kuch Nhi tha uswaqt meri sochon mey، bas khali pan tha. Aik dam usy kuch khyal aya tho  aesy chonki jesy kisi kidey (کیڑے)  ny kaat liya hu bey ikhtiyar Ankhon ankho se Anson behny lagy unhein pochty huey uthi aur jaye namaz teh kr k rakhi aur Apni jageh pr akr baith gayee. Ab wesy din hein na raatein sab hi kuch tho badal gaya hy Aik surkh sawaira peeli dopehr aur bey rang ràat, bas guzrny ka naam Nhi ley raha waqt, itña thera hua k lag rhy hy hatho Mey liye baithi hun jis terhaan chahu wesy guzaar don. Haan waqt ko apny anchal pr pehla don ya kandhy pr samaith lon, ankhon Mey kajal ki terhaan laga lon ya maathy pr bindi ki terhaan saja lon, itña hy k kisi ko kuch waqt dey bhi don aur ley kr apny sandoq Mey sambhal lon.     Jo Jo cheezein Jin se Waqt aur Ehsaas mutasir huty hein wo ...

TUM MERA AAEINA HU

Tum mera Aaeina hu, jab Mey khud ko aaeine Mey dakhti hun tum nazar aty hu mery jesy khyalat meri jesi baatein krty hu. Tum transparent hu Jisky aar paar dekha jasakta hy dosri side bhi lagta hy Mey hi hun . Yehi baatein tum krti thein na aesa hi mujhy dekh kr aur mujh se baatein kr k bolti thien na. Aur Sach Mey mujhy bhi aesa hi lagta tha balky Abhi bhi lagta hy. Ye muhabbat Nhi mujhy muhabbat krni bhi Nhi ati shayed dosti ya uss se badh kr pr tum KiyA samjhti thein muhabbat, dosti ya uss se badh kr, shayed tum aur Mey na muhabbat ko jantey hein na dosti ko na uss se badh kr kisi bhi rishtey ko. Ye Dosti se badh kr hy KiyA rishta ye shayed  tumhari bhi soch se bahir hy pr Mey janta hun meney ye rishta ko apnaya hy. Jab chalty chaltey koi thak jaye pr wo phir bhi chalta hy kisi aass k sahary k bas agy Basti aa hi gayee hy bas dou qadam orr chalon tho aram gah mil hi jaye gi. Ya registaam Mey pyas se bura haal hy aur Pani Thodi hi dour hy is ki aass liye talsh jari rakhna .Ye jo...

WAQT KI TERHAAN

❤️Ab usy pata chal hi gaya k wo waqt ki terhaan hy. waqt k bary Mey mukhtalif logo ki alag alag Raye hy, uss ny khud ko aesy hi wqat ki terhaan dekhna shuru Kiya. Jesy log waqt pr bharosa Nhi krty aur usky tezi k saath guzr Jany ka gila krty hein ,usy apny bary  mey kuch aesa hi sunney ko milta hy. Jo kehty hein Uski speed bolty huey tez hujati hy tho asl Mey unn k liye wo waqt ki terhaan tez huti hy kuki wo usy ruk k Nhi suntey. Suuney waly akser ruk kr aram se suntey hy wo unky liye therhy huey waqt ki terhaan hy. Dekhny waLy uski shaqsiyat ko dekh ye zaror sochtey hugy waqt ki terhaan badal jati hy۔ tabiyat bhi kabhi gram kabhi sard kabhi kizan ki terhaan udass kabhi Khush bahar mey khely phool ki terhaan. chehra dekh kr yehi lagta hy k waqt kuch aahista aahista guzr raha hy kuki safr ki gard ny itna nuqsaan nhi ponhchaya. Isi terhaan koi usy bury waqt se milata koi achy se. Ustadon ko Uski ustadi bhi waqt ki jesy hi lagti hy. Seekhna uski talab, sikhana Uski fitrat hy aur chalt...

Mann bna Dr aur Dil Drgah

 KItney hi saal teri gali ke chukr lagaye aur drwazey pr sar jhukaya,  Teri anknon mein bas  gila hi paya, tujhy mera kuch bhi tho na bhaya. Mathey ki silvat mery dil ko uss gham ke darya mey daboti thein, Jiska koi kinara na tha, kali putliyan uski meri dil pr chubti thein. Arzo uski thi kahein gumm  hujaon kabhi uskey samny na aaon , bhtakti hi rahun ,thakti rahun dhondti rahu pr na usy paon.   Ye soch kr nazron se yun dour kr diya mujhy jesy mey kuch nhi, Uski nakami bn kr rehti hun uskey dil mey, usko pta bhi nhi. Nahi bhatakti phirti mey dr badr ,na hi ghomti idhr se udar ,  Jo tujhy pa leti, teri hujati, teri choukaht pr gr rakh deti ye sar.  Ab mann uska mera ghar Dil dargah ki terhan bhot Motabir.