USI KA RASTA
Hr insaan apni paidaish k pehly hi din se kisi cheez mutalashi huta hy kuki uska dimagh abhi muture nhi huta magr pura huta hy aur isi terhan uska jism bhi . Pr uski Roh mukammal huti hy. isi liye paidaish k waqt tho uski ankhein band huti hein magr usky baad bachpan se hi apni puri ankhein khol kr dekhta aur mushahida krta hy wo talash mey huta hy ab tak jin logon se wo mila hua huta hy jesy usky waldain aur family ke light, wo unn hi ke andr jhankta hy wo kisi maddi (material ) chezon ko nhai dekhta balkey insaano ko dekhta hy aur unki ankhon mey jhaankta hy, phir jahan pyar nazr aye tho mskurta hy aur jahan bechaini nazr aye unse katrata hy .
Ye pyar ya Muhabbat Jedi kefiyaat hi usy mutmaeen kertien hein kuki usy jis ki talash huti hy wo pyar aur muhabbat se hi mutasil hy usi se jurhi huti hy. Wo unn se hi khush rehta hy jinky andr jhank leta hy unki ki naqal krta hy unki hi taqleed krta hy, unn hi mey apni khoee huee cheez dhoundta hy. pehly maa phir baap phir bhn bhai, khandaan k log. Phir jald hi wo sab ko parakh leta hy aur agr usy unn logon mey Wo nazr na aye tho uski talsh kamm nhi huti orr zyda barh jati hy balkey wo shaour aur agaahi ke rastey pr chalta hua bahir ki dunia mey apna mission jari rakhta hy.
Sinf e mukhalif ki kashish bhi usy iss talsh mey madad deti hy agr jibbilat haavi na hu tho wo Mutalashi roh sinf e mukhalif mey bh apni khoee huee muhabbat ya sakoon ko talash kerta hy aur chunkey iss mey kashish huti hy tho bagher sochy samjhy agy barhta hi jata, mgr mehboob ki zara bhi Jismani aur Rohani takleef deny pr usy mayusi huti hy, usy dunia hi ajeeb lagti hy. Phir wo maa ya baap ke rutbey pr ata hy usy tab bhi apni aulad mey usi Unsiyat, muhabbat aur sakoon ki talash rehti hy yahan tak k iss dunia se chala jata hy. Pyar muhabbat aur sakoon tho sab hi ny usy apny apny mansab k hisab se dia huta hy aur jisky balboty pr wo unn sab k saath zindagi k din guzarta hi leta hy. kabhi gham mey kabhi khushi mey hr terhaan k mousam mey.
THO KIYA HY WO ? jisko wo muhabbat aur sakoon ka naam pr dhondhta raha......... WO Roh ki pyas thi uski tarap thi apny Rab k mulaqat thi jidki usy apni paidaish k waqt se hi talsh thi justajo thi. Jis Noor se aur jisky Amr( hukm) se uski roh zahir huee usy phir usi ki taraf lotna tha. Wo Rab aur uski chahat hr aik mey dhondta raha kuki sab hi ki Roh apny Rab ko talash kr rhi huti hy isliye kahein na kahein unko bhi apas mey kuch na kuch muhabbat hu jati thi pr kisi ko bhi wo chaht wo muhabbat apny Rab ki terhan zyda daer nahi lagta kuki usmey kuch dunyavi cheezon ki milawat huti hy. Kuch oss baat ko apny Marny se pehly hi samjh lety hein isliye wo Dunia se hut kr chalna shuru krdety hein, logon se umeedein kam hujati hein . Aur kukey wo Rab ke rastey pr huty hein isilye lethy kam hei aur dethy zyada hein
Comments
Post a Comment