TUM MERA AAEINA HU

Tum mera Aaeina hu, jab Mey khud ko aaeine Mey dakhti hun tum nazar aty hu mery jesy khyalat meri jesi baatein krty hu. Tum transparent hu Jisky aar paar dekha jasakta hy dosri side bhi lagta hy Mey hi hun . Yehi baatein tum krti thein na aesa hi mujhy dekh kr aur mujh se baatein kr k bolti thien na. Aur Sach Mey mujhy bhi aesa hi lagta tha balky Abhi bhi lagta hy. Ye muhabbat Nhi mujhy muhabbat krni bhi Nhi ati shayed dosti ya uss se badh kr pr tum KiyA samjhti thein muhabbat, dosti ya uss se badh kr, shayed tum aur Mey na muhabbat ko jantey hein na dosti ko na uss se badh kr kisi bhi rishtey ko. Ye Dosti se badh kr hy KiyA rishta ye shayed  tumhari bhi soch se bahir hy pr Mey janta hun meney ye rishta ko apnaya hy. Jab chalty chaltey koi thak jaye pr wo phir bhi chalta hy kisi aass k sahary k bas agy Basti aa hi gayee hy bas dou qadam orr chalon tho aram gah mil hi jaye gi. Ya registaam Mey pyas se bura haal hy aur Pani Thodi hi dour hy is ki aass liye talsh jari rakhna .Ye jo  Aass hy Umeed hy aur phir usi Aass  aur Umeed k yaqeen banny  ka jo thoda sa time hy bas wo hi hy ye rishta, haan Mey isi sahary pr tha. 
Tum ny achanak kexy rasta badla kis terhan aankh pheri mujhy mery hi aass se guzarty huey yaqeen k safr Mey zinda dargore krdiya. Mjhy wo pal jeeny hi Nhi diya jisky liye meney tumhy chuna tumhara intekhab kiya, wo hi waqt tha jisky liye mujhy tumhara intezaar barson se tha. Mera ye kehna k Mey tumhara intezaar barson se kr rHa hun , tumhary liye waqee beqarar  hun tumhy pakar Sab kuch paa liye tumhy Acha Nhi lagta.Dhayed Tumhy laga meney tumhy tumhari fitrat se alah krdiya tumhy qaid krdiya. Tumhari fitrat Mey azadi hy tumhy bandh k rakhna mumkin nahi k tumhara damn ghutha hy.
          Pr meney tumko Nhi bandha meney ny tho Sirf tumko socha hy tumhy Aik Maqam diya hy. Tum kehti thein k tum pani hu jisko behna hy koi kexy apny haatho Mey pani pakad sakta hy pr Mey kehta hun tum pani Nhi pani ko tho phir band bandh diya jata hy, na hi tum hawa, matti aur nahi Aag tum inn mey se kuch Nhi. Tumhara inn sab se koi mail hi Nhi Sab tumhry agy majboor aur bebas hein. 
  Mujh se pocho k tum KiyA hu Mey bataon ga Mey hi hun jo tumko tumhari haqeeqat dikhaon ga kuki tum kesi hu tumhari fitrat KiyA hy ye met janta hun kuki Mey hi hun Jiss ney tum se muhabbat aur dosti se badh kr jana hy. Tum Ishq ka wo kalima hu jisey padh kr banda Aam se khass bnta hy, jo Khuda zahir Mey Nhi batin Mey utar ta hy jo zubaan se Nhi ankho se ada huta hy jiska Maqam bahir Nhi dil k andr waqey hy. Ye hy tumhari asliyat kash tum jaan pao.

Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD