KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

Nazrein jhukaye kitni hi daer mey Jaye Namaz pr baithi rhi . Dimagh khali khali tha aur Aik ajeeb si werani aur bey kali  chayee huee thi .Koi baat, koi waqiya، naa hi koi plan kuch Nhi tha uswaqt meri sochon mey، bas khali pan tha. Aik dam usy kuch khyal aya tho  aesy chonki jesy kisi kidey (کیڑے)  ny kaat liya hu bey ikhtiyar Ankhon ankho se Anson behny lagy unhein pochty huey uthi aur jaye namaz teh kr k rakhi aur Apni jageh pr akr baith gayee.
Ab wesy din hein na raatein sab hi kuch tho badal gaya hy Aik surkh sawaira peeli dopehr aur bey rang ràat, bas guzrny ka naam Nhi ley raha waqt, itña thera hua k lag rhy hy hatho Mey liye baithi hun jis terhaan chahu wesy guzaar don. Haan waqt ko apny anchal pr pehla don ya kandhy pr samaith lon, ankhon Mey kajal ki terhaan laga lon ya maathy pr bindi ki terhaan saja lon, itña hy k kisi ko kuch waqt dey bhi don aur ley kr apny sandoq Mey sambhal lon. 
   Jo Jo cheezein Jin se Waqt aur Ehsaas mutasir huty hein wo kahein Nhi thein, Mey khali khali nazaron k saath khali dimagh bhi liye apny aap ko aaeny Mey dekhti rhi. Uss taraf bass dou moti moti Ankhein thein kajal se bhari pr ye kis ki Ankhein hein? KiyA Meri? Kitni badal gayein thein. Phir kamry k bahir se kuch awazein arhi thein shayed kuch log apas Mey baatein kr rhy thy ye awazein ahista ahista mery kamry k qareeb ati gayein. Mey jaldi se bhag kr apny bister pr late gayee mujhy kisi se Nhi milna tha kuki khud se Jo mil rhi thi, Abhi nhi Abhi nhi Abhi kisi se Nhi milon gi ye sochty sochty Ankhein mondh lein aur chupki soti ban gayee aur khud se hi baatein krti thi k Abhi hi tho ankhon k andr dekhna shuru Kiya tha, ye hi tho andr ka haal janny ka zarya hy ye baatein krty krty khud ba khud andr hi uther gayee.
Andr tho Aik sakoon aur bechani si thi Aik  lambi surang ( tunnel) lambi Boht lambi Mey guzarti hi gaye uss Mey se jexy koi safr shuru Kiya hu usi terhaan Dil ki dhadhkan teez this  Boht teez Boht teez , awazein jo pehly mehsoy huraha tha k guftago hi hu rhi pr ab aesa lag raha hy k Uss mey dukh aur matam ki milawat hugayee hy aur phir wo halki awazein badhthi gayeen mera naam lekr pukaraty rhy sab aur, aur phir saff-e-matum hi bich gaya. Mujhy achi Nhi lag thi thein wo awazein, mey tho Khush thi unn Sab ko bhi Khush huna chaye tha Ku ro rhy hein sab? Ku Nhi samjhty Mey tho humesha ki Zindagi ki taraf jarhi hun Kher bazahir tho Meri Mout magr asl Mey meri Abadi zindagi ka khubsurat safr shuru hu chuka tha.

Comments

Popular posts from this blog

Bayein Pasli

Moulana Jami

PAISH LAFZ