Rasta Shatan ka aur Rehman dil mey راستہ شیطان کا اور رحمان دل میں)

Mazy ki baat ye hy k hum sab yehi sochty hein hum Shaitan k rasty pr nhi hum tho Rehman k rastey pr hein, jis se poch lo sab yehi keheingey. Haan sab yehi kahein gy aur sab kehty bhi Sach hi hein, hum Shaitan k rasty pr hein aur na hi chal sakty hein humey tho abhi Nafs se hi chutkara nhi mila tho humy koi orrr ku sataye ga hum sab apny hi tawaf aur aur Dunyavi maqsad ki sai (سعی) mey bhaag rhy hein. Shaitan ko tu arkaan ada Krny ky liye pathar martey hein warna shaitan tho hum se abhi doore hy shayed uss Tak kankr pohanch bhi na paty hun, bas Aik Rasm hy Jo ada krty hein. Magr jis waqt hum apny Nafs ko qurbaan krein tu gy wo amal khalis Allah k liye huga aur Shayed yehi AmL maqbool bhi hujaye. Wesy Amal k liye Sirf niyat hi Kafi huti hey kuki hr Amal ka daro madar niyat pr huta hy. Humara Rasta Rehman Tak jata hy k nhi isky liye humara Makhloq e Khuda se hu kr guzarna zarori huta hy.  Ye nhi husakta k kisi ny kisi ki rah Mey kantey bichaye hun ya Apna raasta saaf Krny k liye kisi dosry ko kisi bhi qism ka nuqsaan pohanchaya  hu tho wo Sahi rasty pr hy, nahi ye nhi husakta! Humey Apni terhan dosry ki bhi jaan, maal aur izzat ki Hifazat krni  hugi, humey apny Hath aur Zuban se dosery ko mehfoz rakhna hi huga, humey  Burai ko Burai manni hi hugi gr cha wo hum se hi ku na huee hu aur dosry ki taraf se ki gayee Naiki ko Naiki samjhna hi huga chaye Uski niyat Kuch bhi hu.
Humay dosron k opr apny ikhtyaraat kam Krny aur khud pr zyda Krny hi hungy. Khud ko badlna huga jabky baqiyun ki Sirf madad kreingy unko nadlany ki koshish nhi krna chaye. Shaitan key rasty pr agr chal hi parhy hun tho ghalti maan kr aur maafi maang kr Rassta badal leinna chaye. Dil Mey Sirf Khuda ko hi rakhen kuki Dil hi hr achi buri cheez ka markaz hy Uska saaf shafaf huna zarori hy.

Comments

Popular posts from this blog

پاک فضائیہ کے نام

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

ASHIQ-E-BAMURAD