Posts

Ghamon sey dosti

Ye jo ankhon mey terey ujaley hein Meri muhabbat ke rang niralay hein. Baat samjhna itna bhi dushwar nahi Gham sahey nahi meney, paley hein. Terey gham sey ye sikha hey meney Anson lakh mager lab pe taley hein Dosti tujh se nhi trey ghamon sey hy Na shikwa koi na Lab pe naley hein Aag hi aag hr taraf pr koi nisha nahi Dard  aayan nhi, dil pe chaley hein Hayat zanjeer hey,Dunia zindan agr Waqt ne Huma kitney aseer samhaley hein

DOSTI

Ye dosti hu tou gaee hey magar iss ki wajeh sey mey apney asp ko bhool gaee hun ,mujhey kuch yaad nahi ye dosti kab huee bas itna pata hey Woh jab yaad ata hey ankhon sey pani nahi rukta,hr waqt tasawer mey Woh hi hey aur ankh mey anson, Yeh wohi anson hein jinki hifazat mey mene arsa laga diya.                   Boht hi khas mouqon pr bahir nikaltey they pr ab najaney ku hr waqt palkon pr tikey hein. Magar musala ashk ka nahi ashkbari ka hey aur ye giryazari ussi DOSTI ka nateeja hey.                Lakin kia waqee meri giryazari uss sey dosti ki wajhe sey hey?tou ye kessa rishta hey jo itna gheraee tak jata hey, jo meri zindagi mey apna asar rakhta hey aur aik maeni deta hey, jo mujhey apney liye hr waqt bechain keye deta hey .                Mey uski dosti ke...

ASHIQUI Aur AaJIZI

Ashiqui aur Aajizi dono sath sath chaltey hein, Yeh mumkin nahi  aik Ashiq Ajiz na ho,pr ye zarori nahi ke hr Ajiz Ashiq bhi hu.Dono mey farq bas ratti brabar ka hey lakin ye mamoli sa farq hi in dono k muh  komukhalif simth ker deta hey aur Woh farq hey " Mayusi"             .                 Aik Ashiq ,ajizi ikhtiyar kr ke kabhi bhi  Mayuse nahi hota,balkey uski umeedein aur barh jati hein aur uskey Roshen dour ka aghaz hojata hey sab sey beparwa magar Mohib ki parwa hi ussey Mayusion key andheron sey nikalti hey aur Qurbat uski Haqiqi manzil hoti hey.                        Aajiz iss sey yakser mukhtalif hota hey woh ager apney Haqiqi Mohib ke ilawa kissi aur k samney Aajiz hey tou Andhery ka rahi hey Mayusi uska muqaddar hey ...

DUA AUR ISHIQ

Ishiq aur Duha dono sath sath hein.jis sey Ishiq hoga banda usi ke samney sir jhukaey ga aur ussi sey mangey ga aur mangey ga kia? uski khushi uski  merzi sath hi koshish krey ga uss ki khuhish ke mutabiq zindagi guzarey. jisterha Ishiq hr aik sey nahi hota issiterhan Dua bhi hr aik sey nahi mangi jati kissi ke samney hath phelatey huey sharam ati hey.Dua kaee logon sey kerwaee jati hey mager Uss Aik ko zehan mey rakh ki jati hey issiterhan Ishiq bhi sirf aik hi sey kia jata hey mager Uss Aik tak pohanchney ke liye Uss ke Ashiquon ki ki Mohabbat ki giraftari hi Uss tak le jatee hey.                                            Ye aseeri aapko kissi kaal kotheri mey nahi lejatee koi andhera apka muqadder nahi hota aur nahi hi takaleef apki mutazir hoti hey balkey Ye aapko hujom mey chorr detey hein bas phir aap jismani tour pr sab ke sath hotey hein mager rohani tour pr aap ...

AMMI aur AMMAN

Insan apni zindagi mey Maa ka pyar kabhi bhula nahi sakta ,woh uss ko dantey marey kuch bhi krey bacha duorh ker Maa hi ke pass jata hey.Maa ka pyar uskey rag rag maey hota hey mery sath bhi aisa hi hey mey shararti bhi thi aur dantein bhi khub khati thi lakin mujhey apni Ammi dunia ki sab sey achi ammi lagti thein meri ammi khubsurat thien issliye aisa lagta koi pari (ferry) hein ,kuki bacpan ki khaniyon mey Pari hi aik lateef kirdar hota jo palak japaktey apkey sarey kaam bhi kerdeti aur mazey mazey ke khaney bhi deti aur hr terhan sey madad bhi kerti hey yeh sab khususiyat meri ammi mey bhi thein gerchey danth marr bhi parthi thi lakin yeh sab uss lutfo karam ke samney kuch natha.                                                          Phir meri zindagi mey Ammi ke sath Amman bhi shamil hogaein,unko meney aik alag ehsas ke sath mehsoose k...

KACHCHA RANG

Yeh Jheel ka  thaira hua pani  jo bohat pur sakoon lag raha hey mujhey apni taraf khainch raha hey.Mujhey andaza nahi hora ke kitni gheiraee hey iss ki, lag raha jessey kafi gheira hey ,iss ki gheiraee sey iss liye dr rahi hun ke mujhey teairna (swiming) nahi ata aur yehi khuof mujhey jheel ke qareeb janey nahi de raha.Bohat arsa lag gaya mujhey ye khuof durr kerney mey phir jessey hi mey iss jheel ke pani mey paon bhigoney ke liye kinarey bhethee tou mehsoose hua  ye tou woh jheel hi nahi hey! mey kahan hun ye kinara jo bohat mehfoz lagney laga tha iss key tou derasl chikni mitti ke hein.Mujhey itna andaza hey ke chikni matti per agar ehtiyat sey nahi chaleingey tou bohat buri tarhan gir jaeingey yeh sochtey hi mey kinarey sey aur durr hogaee,pani ki kashish mujhey apni taraf khench rahi hey mager mey khuof ke marey iss Derya sey duorr hogaee han han yeh Derya hi hey iski rawani bata rahi hey,mey kahan agaee hun ye woh jaggah nahi hey jahan meney itna waqt guzara,yeh sa...

KHUD KI TALASH

Bhatakna meri fitrat mey hey,balkey yeh sirf Fitrat hi nahi meri zarorat bhi hey kuki isskey bagheir mey khud ko talash nahi ker sakti . Mujhey ye achi terhan maloom hey ke mera naam kia hey, mey kon hun, mera  Hasab Nasab kia hey,magar mey abhi tak apney aap ko dhuondh nahi paee hun.Mey sab ko dekhti hun aaur sab ko samajhney ki koshish kerti hun aur boht sara waqt issi mey sarf kerti hun jiska natija ye nikalta hey ke mey apney aap sey aur durr hojati hun yani BeyRah ho jati hun,magar yeh bhatakna mujhey thaka deta hey aur jagney nahi deta,kuki ye meri arzo nahi hey aur na hi meri Justajo.Mujhey gum hona hey khud ko talash kerney ke liye,Jagna hey Safar ke liye aur yaqinan ye hi mera Maqsad-e-Hayat hey  Akhir meney Manzil pr bhi pohanchna hey aur mey Rasta talash kiye bina kessey apna masqsad paon gi .Meri manzil-e-maqsood bilkul mery samney hey pr kis ko pata rasta kahan sey shuru hoga aur kahan sey hokey guzrey ga ,yehi justaju mujhey bhatkayey rakhti hey aur aisa na hi t...