CHINCHI KA SAFAR
Chinchi waqiee dekhney mey aik ajeeb si sawaree lagtee hey.lakin yaqeen krein yeh sirf dekhney hi mey ajeeb nahi lagtee balkey iss pr swareee kerna ,uss sey bhi zyad ajeeb lagta hey, yeh koi mujh sey pochey yeh mera expereince hey really,iss per bethney key baad bas dil chatha hey kahein sey humarey saron pr SULAIMANI topi ajaey aur hum sab ki nazron sey chup jaien ke koi humein dekh na sakey ,hum tou iss dunia ko dekhein lakin dunia waley humey na dekh paein kunki CHINCHI pr bethey hoey hr hr shakhse pr Dunia walon ki nazar hotey hey aur CHINCHI pr sware hr hr shakhs ki nazrein jhukee hoee hotee hein ya kuch bahadur loog dekhney walon ke cheron pr unkey jazbat ko parhney ki koshish mey lagee rehtein hein. CHINCHI ki swareeka muqabla agar hum kisse aur swareee sey krein tou ye chinchi ke sath zyadati wali baat...