Posts

Showing posts from 2013

DUA AUR ISHIQ

Ishiq aur Duha dono sath sath hein.jis sey Ishiq hoga banda usi ke samney sir jhukaey ga aur ussi sey mangey ga aur mangey ga kia? uski khushi uski  merzi sath hi koshish krey ga uss ki khuhish ke mutabiq zindagi guzarey. jisterha Ishiq hr aik sey nahi hota issiterhan Dua bhi hr aik sey nahi mangi jati kissi ke samney hath phelatey huey sharam ati hey.Dua kaee logon sey kerwaee jati hey mager Uss Aik ko zehan mey rakh ki jati hey issiterhan Ishiq bhi sirf aik hi sey kia jata hey mager Uss Aik tak pohanchney ke liye Uss ke Ashiquon ki ki Mohabbat ki giraftari hi Uss tak le jatee hey.                                            Ye aseeri aapko kissi kaal kotheri mey nahi lejatee koi andhera apka muqadder nahi hota aur nahi hi takaleef apki mutazir hoti hey balkey Ye aapko hujom mey chorr detey hein bas phir aap jismani tour pr sab ke sath hotey hein mager rohani tour pr aap ...

AMMI aur AMMAN

Insan apni zindagi mey Maa ka pyar kabhi bhula nahi sakta ,woh uss ko dantey marey kuch bhi krey bacha duorh ker Maa hi ke pass jata hey.Maa ka pyar uskey rag rag maey hota hey mery sath bhi aisa hi hey mey shararti bhi thi aur dantein bhi khub khati thi lakin mujhey apni Ammi dunia ki sab sey achi ammi lagti thein meri ammi khubsurat thien issliye aisa lagta koi pari (ferry) hein ,kuki bacpan ki khaniyon mey Pari hi aik lateef kirdar hota jo palak japaktey apkey sarey kaam bhi kerdeti aur mazey mazey ke khaney bhi deti aur hr terhan sey madad bhi kerti hey yeh sab khususiyat meri ammi mey bhi thein gerchey danth marr bhi parthi thi lakin yeh sab uss lutfo karam ke samney kuch natha.                                                          Phir meri zindagi mey Ammi ke sath Amman bhi shamil hogaein,unko meney aik alag ehsas ke sath mehsoose k...

KACHCHA RANG

Yeh Jheel ka  thaira hua pani  jo bohat pur sakoon lag raha hey mujhey apni taraf khainch raha hey.Mujhey andaza nahi hora ke kitni gheiraee hey iss ki, lag raha jessey kafi gheira hey ,iss ki gheiraee sey iss liye dr rahi hun ke mujhey teairna (swiming) nahi ata aur yehi khuof mujhey jheel ke qareeb janey nahi de raha.Bohat arsa lag gaya mujhey ye khuof durr kerney mey phir jessey hi mey iss jheel ke pani mey paon bhigoney ke liye kinarey bhethee tou mehsoose hua  ye tou woh jheel hi nahi hey! mey kahan hun ye kinara jo bohat mehfoz lagney laga tha iss key tou derasl chikni mitti ke hein.Mujhey itna andaza hey ke chikni matti per agar ehtiyat sey nahi chaleingey tou bohat buri tarhan gir jaeingey yeh sochtey hi mey kinarey sey aur durr hogaee,pani ki kashish mujhey apni taraf khench rahi hey mager mey khuof ke marey iss Derya sey duorr hogaee han han yeh Derya hi hey iski rawani bata rahi hey,mey kahan agaee hun ye woh jaggah nahi hey jahan meney itna waqt guzara,yeh sa...

KHUD KI TALASH

Bhatakna meri fitrat mey hey,balkey yeh sirf Fitrat hi nahi meri zarorat bhi hey kuki isskey bagheir mey khud ko talash nahi ker sakti . Mujhey ye achi terhan maloom hey ke mera naam kia hey, mey kon hun, mera  Hasab Nasab kia hey,magar mey abhi tak apney aap ko dhuondh nahi paee hun.Mey sab ko dekhti hun aaur sab ko samajhney ki koshish kerti hun aur boht sara waqt issi mey sarf kerti hun jiska natija ye nikalta hey ke mey apney aap sey aur durr hojati hun yani BeyRah ho jati hun,magar yeh bhatakna mujhey thaka deta hey aur jagney nahi deta,kuki ye meri arzo nahi hey aur na hi meri Justajo.Mujhey gum hona hey khud ko talash kerney ke liye,Jagna hey Safar ke liye aur yaqinan ye hi mera Maqsad-e-Hayat hey  Akhir meney Manzil pr bhi pohanchna hey aur mey Rasta talash kiye bina kessey apna masqsad paon gi .Meri manzil-e-maqsood bilkul mery samney hey pr kis ko pata rasta kahan sey shuru hoga aur kahan sey hokey guzrey ga ,yehi justaju mujhey bhatkayey rakhti hey aur aisa na hi t...

ANA

Yeh mery phechey phechey boht duor tak chalti rahi, meney bhi iss sey jaan nahi churahi kuki jab bhi mey apney aap ko tanha feel kerti tub tub ye apney honey ka ehsas dilati aur mujhey iss key huoney sey kabhi koi nuqsan bhi nahi hua. Meri Ana meri dost hi rahi ,mujhey kissi ke samney jhukney nahi diya .

ASHIQ-E-BAMURAD

Ashiq-e-ba murad aur Ashiq-e-bey murad mey nazar aney wala farq boht hi thora hey ke shayed hi koi samakh sakey   magar nazar naa  aney wala farq boht hi bara hey,aur woh farq sirf uss hi ko pata hota hey kuki uskey liye heyat o mamat hey lakin jo dosron ko dekhaee dega woh ye ke Bey murad ka Sar utha hua hoga yani buland hoga aur cherey pr pareshani aur takaleef zahir ho rahi hongi tabiyat mey bechani,apni hasti ki khaber hogi Roh sey bekhabar  hoga jabkey Baa murad ka Sar jhuka hoga,masti mey hoga aur cherey pr sakoon aur tamkinat ke rang wazeh tour pr dekhaee dey rahey hongey apni hasti sey bekhaber aur masti sey bakhabar hoga

Kahlil Gibran: On Children

Your children are not your children. They are the sons and daughters of Life's longing for itself. They come through you but not from you, And though they are with you yet they belong not to you. You may give them your love but not your thoughts, For they have their own thoughts. You may house their bodies but not their souls, For their souls dwell in the house of tomorrow, which you cannot visit, not even in your dreams. You may strive to be like them, but seek not to make them like you. For life goes not backward nor tarries with yesterday. You are the bows from which your children as living arrows are sent forth. The archer sees the mark upon the path of the infinite, and He bends you with His might that His arrows may go swift and far. Let your bending in the archer's hand be for gladness; For even as He loves the arrow that flies, so He loves also the bow that is stable. --------------------

HAZARAT SAKHI SARWAR rehmatullah aleyh

Jab hum car sey uterey tou garam hawa ke thpheron ney hamara istaqbal kia car kuki air conitioned thi iss liye thaperey shidad sey mehsose huey,June ki 9 ya 10  thi zahir hey garmi bhi bohat thi lakin lagan thi Darbar ki haziri ki iss liye chal parey.Agey darbar tak ke janey ke liye rasita 10 minut ka tou hoga sou chaltey rahey charhaee charhni thi iss liye thori mehnat bhi kerni parh rahi thi lakin nazar khuch khas nahi arah tha bas Manzil pey nazar thi ,jab dergah tak phonch tou bahre hi jotey utaney parey aur jessey hi jotey utarey Paon jalney ka ahsas bohat shidat sey hua,Paon zameen pr therr nahi rahey they saye saye mey hotey huey ander derbar tak ponchey,Sarkar ko Salam kia,Qadam bosi ke liye chokhatt ko chuma phir jessey hi ander dakhil honey lagi klhyal aya ke wazo kiye kafi daer hogaee hey iss liye dobara wazo kerney ke liye barey betey Abdullah ko leker Wazokhaney ki taraf gaee beech mey chota sa sehan tha 10 sey 15 second ka rasta tha dhuop ki shidad sey farsh tapp rah...

KAMRA-E-IMTEHAN

Zindagi kia hey?aksar log kehtey Zindagi ghamon ka paharr hey, koi kehta hey ke khushion ki bahar hey kissi ke mutabiq zindagi aik test hey koi kehta hey iss mey masail hi masail lakin boht sarey logon ki terhan mey bhi yeh hi samajhtee hun ke yeh Zindagi aik Imtehan hey aur yeh Dunia kamra-e-imtehan hey jahan sabhi ko test dena hi perhta hey,sab ke apney apney imtehani parchey hein kissi ka bhi parcha aik jessa nahi hota han thora bohat milta julta zarore hey lakin sab ke mukhtalif hi hotey hein aur zahir hey unkey jawab bhi taqreeun mukhtalif hi hotey hein,pr hal sab hi sawalat kerney hotey hein,kuch jawabat ka result tou humey zindagi hi mey milta hey.aur luch ka marney ke baad aur boht son ka natija tou humari naslon ko milta hey ,hamari auolad isska phal khatey hein iss liye bohat soch samajh ker percha hal kerna chaeiy zara bhi ghalti maaf nahi aur hojaey tou nidsmat zarori hey kuki baghair nidamat ke Allah bhi maaf nahi ketta sur yeh Azab hamari Naslon ko jhelna parhta hey.

Garmion ki dopher

Garmian kessi bhi hun innn mey insan kitna hi garmi sey pareshan ho lakin Garmion ki Dophey boht hi ajeeb hoti hey iss mey bohat Pur asrariyet hoti hey,aik bechain ker deney wala Sakoon hota hey (Sardion ki banisbat  neend bhi khub ati hey ya yeh kahein ke neend pori hojati hey).Isski dopher jitni chilchilati ho boht kuch sochney pr majboor kerti hey balkey beshumare kheyalat zehan mey atey hein lagta hey jessey zehan ke dareechey khul jatey hei aur phir purani yadein bhi hoti hein aur hal mey bhi masti hoti hey ,apney aap ko bhulaney ka dil chata hey ,chup rehney aur gum rehen ka mann kerta hey, bas ghamey Dunia na ho aur dunia ki Parwa bhi na ho tou aap apney aap mey nahi hotey aik trans hota hey aik hisar hota hey   

DARGAH

yeh kesa sakoon hey jo mujhey iss halat mey bhi aik na maloom kafiyat sey dochar ker raha hey yani mey sakoon mey reh ker bhi besakoon hon ,kabhi kabhi mujhey lagta hey mey kissi dergah per haziri dey rahi hun jahan aur  jahan mey sahib-e-mazar key samney bethi hun hath dua ke liye uthey hein lakin muh sey koi lafz sahi sey ada nahi ho raha aur deyhan mey baher ki garmi sey dour dour tak aisa lag raha hey sab zikr mey hein aur garmi ki shidat sey bechain h ein lakin ander boht sakoon h ey boht zayada sakoon baher ka shore ander atey hi dam tort deta hey.Han han bikul aisa hi mujhey mehsoose hota hey ab mujhey pata chals jo mery ander namaloom kafiyat thi uska bhi pata chal gaya

BARISH

barish ke honey sey phely ki khushi bohat hi mashour kun hoti hey balkey sirf barish ka naam suntey hi hr taraf khushboo feel hoti hey ,hum logon ki zindagi mey bhi aisey boht sey waqeyat aisey hotey jo humein issi terhan ka Ehsaas detey hein jessey mey jab bhi apni Dadi ko yaad kerti hun tou un sey jurey hr waqiyat ki khusboo hr taraf pheil jati hey

AIK KHUAB

Insan wessey tou apni zindagi mey kaee khuab dekhta hey mager aik aadh khuab hi woh yaad rakh pata hey ,yeh uskey bas ki baat nahi ke woh hr khuab yaad rakh sakey kuki jiss terhan woh be maqsad shezein apni zindagi sey duor ker deta hey aur unko apney pass rakhna nahi chata issi terhan woh kaee khuab khud se  ya jaan ker yaad nahi rakhna chata jin sey ussey koi faida nahi.yeh bhi ajeeb baat hey k uski zindagi mey kaee logg khuab ki terhan atey hein jinko woh yaad rakhna nahi chata aur apni zindagi mey unka hona bhi woh passand nahi kerta,baaz log tou uon khabon ki trrhan hotey hein jin sey woh kitna phecha churaney ka sochey ya chaey phir bhi woh unka aseer hoker reh jata hey woh yeh bhi janta kon sa khuab uski zindagi badal dey ga aur kon  sa ussey badalney nahi deta lakin aik khuab zaror aisa hota hey jiskey saharey woh zindagi guzar rahs hota hey,aik khuab sirf aik khuab tou zaror hona chaey .

THE DAY OF TEST, ELECTION DAY 2013

Aaj election ki raat hey iss waqt raat ke 3:00 baj rahey hein ,subh 9:00 bajey polling shuru hogi aur hamarey mulk Pakistan ka aik naya baab khuley ga ya tou hamari taqdeer sanwer jaeygi ya ?????? lakin humey mayus nahi hona kuki humney soch lia hey ke humey apney Pakistan ko Naya Pakistan banana hey.Ye raat  kam az kam mujhey boht bechein ker rahi hey, kuki pichley kaee salon sey hum budamni aur nagahani afaton ka shikar hein,dekhein 11 may ki voting ke baad 12 may ka suraraj hamarey liye kia Naveed leker ata hey.Aaj raat mey apney aap ko aik chouti bachi mehsoos ker rahi hun jo( apni hr zidd aur khuhish ro ro ker puri kerwaleti hey ) issiterhan mey apney rab ker huzur ro ro ker yehi dua mabg rahi hun ke Allah humein ab sukoon aur khush hali ata ker aur mujhey yaqeen hey ke issmulk ka hr wo shaks Naya Pakistan ki Umeed kerta hey wo bhi meri terhan bechein hoga .Aaj ka din hum mey sey shayed koi bhi kabhi nahi bholey ga kuki hr shakhs yehi soch raha hey ke iss Mulk Pakistan ke liy...

SUNEIN KIA BOL RAHA HEY PAKISTAN......... WRITTEN BY SYED MANZOOR-UL- ISLAM

Image

CHUPPEY RUSTUM

Hum kissi ke dukh ka kessey andaza lagein jab ke hum chatey hey ke apnon ke sath sath dosron ke gham mey bhi shareek hon ,lakin cheron sey pata lagana mushkil hey kuki insan bhi ajeeb hey woh apni hr kafiat ko chupaney ka huner janta hey hr insan apney ander aik Qaliyee gar hota hey aur woh apna chera chamkaney ka mahir hota hey, ager ghour krein tou hum khud iss hi ki practice kr rahey hotey Yani jab hum bohat khush hotey hein tou hamree ankh mey anson ajatey hein aur baaz bar ye shukraney ke hotey hein aur kabhi khushi chehin janey ka bhi gham hota hey jo anso banker behney lagta hey.  Jab hum gham mey hotey hein tou hum khub hanstey hein baat baat pr hansi arahi hotee hey jiss ko hum control bhi nahi kersak rahey hotey hein bas yeh hi kafiyat hotein hein jinka hum shikar hojatey .lakin agar hum apney aapko in ka shikar na banayein tu hum apney aap ko kessey janein gey asl mey tou apney aap ko janna zyada zarori hey kuki khud ko pehchan kr hi hum auron tak pohncey gy.

1rst january

Saal ka phela din bhi guzar gaya aur yahan khuch naya nahi hua aur ho bhi kia sakta hey kuki hum ney kabhi khuch naya kerney ka socha hi nahi hey.wohi puraney tareqey sey naya saal manaya gaya wohi nach gana masti aur fireing jo hamesha kertey aye hein wohi kia .raat 12 bajey whi tamasha tha aur hum thay koi rokney tokney wala nahi fireing ka hona humaree hr khushi ka hissa hey jabkey humey pata hey ke iss sey humaree hr khushi gham mey badal jatee hey chaey shadi mey ho ya jeet ki khushi ya iss terhan ke events  hon hr jageh iss ki wajeh sey khushian gharat ho jati hein pr kia krey koi aur tareeqa nahi sojhta siwaye iss ke aur jo isska nishana bantey hein unka Allah tou hey aur uskey baad media waley hein .effected logon ke gharon mey kia hua ya wahan kia khuram macha isska koi pursaney haal nahi .                                            Behrhal yeh bhi zindzgi ka aik...