HAZARAT SAKHI SARWAR rehmatullah aleyh
Jab hum car sey uterey tou garam hawa ke thpheron ney hamara istaqbal kia car kuki air conitioned thi iss liye thaperey shidad sey mehsose huey,June ki 9 ya 10 thi zahir hey garmi bhi bohat thi lakin lagan thi Darbar ki haziri ki iss liye chal parey.Agey darbar tak ke janey ke liye rasita 10 minut ka tou hoga sou chaltey rahey charhaee charhni thi iss liye thori mehnat bhi kerni parh rahi thi lakin nazar khuch khas nahi arah tha bas Manzil pey nazar thi ,jab dergah tak phonch tou bahre hi jotey utaney parey aur jessey hi jotey utarey Paon jalney ka ahsas bohat shidat sey hua,Paon zameen pr therr nahi rahey they saye saye mey hotey huey ander derbar tak ponchey,Sarkar ko Salam kia,Qadam bosi ke liye chokhatt ko chuma phir jessey hi ander dakhil honey lagi klhyal aya ke wazo kiye kafi daer hogaee hey iss liye dobara wazo kerney ke liye barey betey Abdullah ko leker Wazokhaney ki taraf gaee beech mey chota sa sehan tha 10 sey 15 second ka rasta tha dhuop ki shidad sey farsh tapp raha tha bhagtey huey gaye ,kafiat aesi thi ke zara bhi takleef ka Ihsas takleef deh nahi tha balkey meri aur Abdullah ki tou cherey sey khushi hi jhalak rahi thi aur phir hum aik dosery ko dekh ker hans parey. Wazu kia,Haziri di ,boht hi pur kaif ihsas tha ankhein shayed aik ya dou bar hi uth paein thien warne sar jo jhuka tou Darbar sey rukhsat honey ke baad hi Utha..................
Comments
Post a Comment