AIK KHUAB
Insan wessey tou apni zindagi mey kaee khuab dekhta hey mager aik aadh khuab hi woh yaad rakh pata hey ,yeh uskey bas ki baat nahi ke woh hr khuab yaad rakh sakey kuki jiss terhan woh be maqsad shezein apni zindagi sey duor ker deta hey aur unko apney pass rakhna nahi chata issi terhan woh kaee khuab khud se ya jaan ker yaad nahi rakhna chata jin sey ussey koi faida nahi.yeh bhi ajeeb baat hey k uski zindagi mey kaee logg khuab ki terhan atey hein jinko woh yaad rakhna nahi chata aur apni zindagi mey unka hona bhi woh passand nahi kerta,baaz log tou uon khabon ki trrhan hotey hein jin sey woh kitna phecha churaney ka sochey ya chaey phir bhi woh unka aseer hoker reh jata hey
woh yeh bhi janta kon sa khuab uski zindagi badal dey ga aur kon sa ussey badalney nahi deta lakin aik khuab zaror aisa hota hey jiskey saharey woh zindagi guzar rahs hota hey,aik khuab sirf aik khuab tou zaror hona chaey .

Comments
Post a Comment