Nazrein jhukaye kitni hi daer mey Jaye Namaz pr baithi rhi . Dimagh khali khali tha aur Aik ajeeb si werani aur bey kali chayee huee thi .Koi baat, koi waqiya، naa hi koi plan kuch Nhi tha uswaqt meri sochon mey، bas khali pan tha. Aik dam usy kuch khyal aya tho aesy chonki jesy kisi kidey (کیڑے) ny kaat liya hu bey ikhtiyar Ankhon ankho se Anson behny lagy unhein pochty huey uthi aur jaye namaz teh kr k rakhi aur Apni jageh pr akr baith gayee. Ab wesy din hein na raatein sab hi kuch tho badal gaya hy Aik surkh sawaira peeli dopehr aur bey rang ràat, bas guzrny ka naam Nhi ley raha waqt, itña thera hua k lag rhy hy hatho Mey liye baithi hun jis terhaan chahu wesy guzaar don. Haan waqt ko apny anchal pr pehla don ya kandhy pr samaith lon, ankhon Mey kajal ki terhaan laga lon ya maathy pr bindi ki terhaan saja lon, itña hy k kisi ko kuch waqt dey bhi don aur ley kr apny sandoq Mey sambhal lon. Jo Jo cheezein Jin se Waqt aur Ehsaas mutasir huty hein wo kahein Nhi thein, Mey khali k