Posts

USI KA RASTA

 Hr insaan apni paidaish k pehly hi din se kisi cheez mutalashi huta hy kuki uska dimagh abhi muture nhi huta magr pura huta hy aur isi terhan uska jism bhi . Pr uski Roh  mukammal huti hy. isi liye paidaish k waqt tho uski ankhein band huti hein magr usky baad bachpan se hi apni  puri ankhein khol kr dekhta aur mushahida krta hy wo talash mey huta hy ab tak jin logon se wo mila hua huta hy jesy usky waldain aur family ke light, wo unn hi ke andr jhankta hy wo kisi maddi (material ) chezon ko nhai dekhta balkey insaano ko dekhta hy aur unki ankhon mey jhaankta hy, phir jahan pyar nazr aye tho mskurta hy aur jahan bechaini nazr aye unse katrata hy .            Ye pyar  ya Muhabbat Jedi kefiyaat hi usy  mutmaeen kertien hein kuki usy jis ki talash huti hy wo  pyar aur muhabbat se hi mutasil hy usi se jurhi huti hy. Wo unn se hi khush rehta hy jinky andr jhank leta hy unki ki naqal krta hy unki hi taqleed krta hy, unn hi mey apni ...

KHALI KOHPADI ‎( خالی ‏کھوپڑی)

Nazrein jhukaye kitni hi daer mey Jaye Namaz pr baithi rhi . Dimagh khali khali tha aur Aik ajeeb si werani aur bey kali  chayee huee thi .Koi baat, koi waqiya، naa hi koi plan kuch Nhi tha uswaqt meri sochon mey، bas khali pan tha. Aik dam usy kuch khyal aya tho  aesy chonki jesy kisi kidey (کیڑے)  ny kaat liya hu bey ikhtiyar Ankhon ankho se Anson behny lagy unhein pochty huey uthi aur jaye namaz teh kr k rakhi aur Apni jageh pr akr baith gayee. Ab wesy din hein na raatein sab hi kuch tho badal gaya hy Aik surkh sawaira peeli dopehr aur bey rang ràat, bas guzrny ka naam Nhi ley raha waqt, itña thera hua k lag rhy hy hatho Mey liye baithi hun jis terhaan chahu wesy guzaar don. Haan waqt ko apny anchal pr pehla don ya kandhy pr samaith lon, ankhon Mey kajal ki terhaan laga lon ya maathy pr bindi ki terhaan saja lon, itña hy k kisi ko kuch waqt dey bhi don aur ley kr apny sandoq Mey sambhal lon.     Jo Jo cheezein Jin se Waqt aur Ehsaas mutasir huty hein wo ...

TUM MERA AAEINA HU

Tum mera Aaeina hu, jab Mey khud ko aaeine Mey dakhti hun tum nazar aty hu mery jesy khyalat meri jesi baatein krty hu. Tum transparent hu Jisky aar paar dekha jasakta hy dosri side bhi lagta hy Mey hi hun . Yehi baatein tum krti thein na aesa hi mujhy dekh kr aur mujh se baatein kr k bolti thien na. Aur Sach Mey mujhy bhi aesa hi lagta tha balky Abhi bhi lagta hy. Ye muhabbat Nhi mujhy muhabbat krni bhi Nhi ati shayed dosti ya uss se badh kr pr tum KiyA samjhti thein muhabbat, dosti ya uss se badh kr, shayed tum aur Mey na muhabbat ko jantey hein na dosti ko na uss se badh kr kisi bhi rishtey ko. Ye Dosti se badh kr hy KiyA rishta ye shayed  tumhari bhi soch se bahir hy pr Mey janta hun meney ye rishta ko apnaya hy. Jab chalty chaltey koi thak jaye pr wo phir bhi chalta hy kisi aass k sahary k bas agy Basti aa hi gayee hy bas dou qadam orr chalon tho aram gah mil hi jaye gi. Ya registaam Mey pyas se bura haal hy aur Pani Thodi hi dour hy is ki aass liye talsh jari rakhna .Ye jo...

WAQT KI TERHAAN

❤️Ab usy pata chal hi gaya k wo waqt ki terhaan hy. waqt k bary Mey mukhtalif logo ki alag alag Raye hy, uss ny khud ko aesy hi wqat ki terhaan dekhna shuru Kiya. Jesy log waqt pr bharosa Nhi krty aur usky tezi k saath guzr Jany ka gila krty hein ,usy apny bary  mey kuch aesa hi sunney ko milta hy. Jo kehty hein Uski speed bolty huey tez hujati hy tho asl Mey unn k liye wo waqt ki terhaan tez huti hy kuki wo usy ruk k Nhi suntey. Suuney waly akser ruk kr aram se suntey hy wo unky liye therhy huey waqt ki terhaan hy. Dekhny waLy uski shaqsiyat ko dekh ye zaror sochtey hugy waqt ki terhaan badal jati hy۔ tabiyat bhi kabhi gram kabhi sard kabhi kizan ki terhaan udass kabhi Khush bahar mey khely phool ki terhaan. chehra dekh kr yehi lagta hy k waqt kuch aahista aahista guzr raha hy kuki safr ki gard ny itna nuqsaan nhi ponhchaya. Isi terhaan koi usy bury waqt se milata koi achy se. Ustadon ko Uski ustadi bhi waqt ki jesy hi lagti hy. Seekhna uski talab, sikhana Uski fitrat hy aur chalt...

Mann bna Dr aur Dil Drgah

 KItney hi saal teri gali ke chukr lagaye aur drwazey pr sar jhukaya,  Teri anknon mein bas  gila hi paya, tujhy mera kuch bhi tho na bhaya. Mathey ki silvat mery dil ko uss gham ke darya mey daboti thein, Jiska koi kinara na tha, kali putliyan uski meri dil pr chubti thein. Arzo uski thi kahein gumm  hujaon kabhi uskey samny na aaon , bhtakti hi rahun ,thakti rahun dhondti rahu pr na usy paon.   Ye soch kr nazron se yun dour kr diya mujhy jesy mey kuch nhi, Uski nakami bn kr rehti hun uskey dil mey, usko pta bhi nhi. Nahi bhatakti phirti mey dr badr ,na hi ghomti idhr se udar ,  Jo tujhy pa leti, teri hujati, teri choukaht pr gr rakh deti ye sar.  Ab mann uska mera ghar Dil dargah ki terhan bhot Motabir.

TANHAE SI TANHAE HY

Kisi ney kia khub kaha hy k agr apni haqeeqat janna chahtey hu tho thoda waqt tanha guzaro tumko ko khud hi pata chal jaaye ga k tum kiya hu .tumhari asal isi tanhaee mey posheeda hy.Baaz martaba hum khu ko kisi orr mey tlash krtey hein wo bhi theek pr wo kisi bhi aik hu ,hr kisi my apney ap ko dekhney wley bewaoof hi hutey hein kher ye tho qismat se hi huta hy k koi apko mil jye .Ye qadrat k ramx hein warna tho tanhaee aapi bentreen sathi hy jo aapko bilaakhit khud se mila hi deti hy.                                                                                                                                                  ...

QUARANTINE ,QARATEENA YA TIBBI QAID

Aaj Jumma (friday) hy ,aaj puray 8 din hugaye mujhey iss tibbi qaid, Physical distance ya allag thalag rehtey huey. mey aur meri family hum sab hi tibbi qaid mey hein .Bas apny Rab se dua gou hein ya allah hum sab ko is bemari se mhfoz farma,Ye aik virus Aik aalmi waba k tour pr puri dunia ey phel gaya hey.Chaina se shuru hua Iran iska center bna ab Pakistan  aur india mey travel kr raha hey .European countrries mey Italy aur Spain mey boht tabahi pehlai balkey Italy tho wo Wahid mulk ban gaya jahan sab se zyda log bemar huey aur amwat (deaths) huein. Ab America iska center hy newyork ko prsident ny Afat zda qarar dy diya hy. Allah sab pr apna karam sab Allah ki makhloq hein chaye wo Muslims hun ya Non Muslims sab Allah ke bandy hein aur Allah ny Apni makhloq ko Apna kumba (family) kha hy .Beshuk sab usi key bandey hein aur akhirkar sab ny Usi ki taraf rujuh krna hy magr behasiate musalman ye humari zimadari hy k hum sab k liye afiyat ki dua krein .Ya Allah hum sab ko tamam Bni Noh...