Posts

ANSOO

Ye Anson bhi ajeeb hotey hein ye ku ankhon mey ajatey hein dard apna ho ya praya issey inhey koi matlab nahi lakin ankhon aney ke liye koi na koi bahan mil hi jata hey. Yeh! ye bhi nahi dekhtey ke taleef kis noeyat ki hey rohani hey ya jismani ,nayee hey ya puranee inhey iss sey koi ghraz nahi. jab tak ander rehtey hein theek hota hey kisse ko kuch maloom nahi parhta aur agar ye baher nikal jaein tou aapki kefiat logon pr zahi hojatee hey jo k bari takleef dey baat hotee hey agar sachey hon kuke ye aapki dil ka haal keh daltey hein.baaz martaba hum jab kuch bolney k qabil nahi hotey tou ye hi anson hamaree zuban ki terjumani kertey hein aur dil ki baat samjhdetey hein,jabkey kaee martaba hum nahi chahatey ke koi  mehram-e-raaz ho, bas us waqt hum ye hamey dhoka de detey hei Lakin shayed hum bhi ye baat nahi samjhtey k asl mey anson humey dhoka nahi de rahey balkey ye hamrey samney Ye haqeeqat khol detey hein k kon hamarey kitney qareeb hey.wohi anson jo ankhon mey hotey wo Magnify...

IKHTIYAR

          Ikhtiyar kia hey yeh hum mey sey taqreeban sab hi log jantey hein. Hum sab kissi ke ikhtiyar mey hona bhi chahatey hein aur kisse pr ikhtiyar rakhna bhi chahatey hein kukey aur bohat si dosseri qadron ke sath sath hum ye bhi qadr khotey jarahey hein.Abb tou  hum apney opper sey bhi ikhtiyar kho detey jarahey hein ,achey khasey mood mey baatein kertey huey behas kerney lagtey hein aur aakhir mey iss ka anjam bohat bura hi hota hey kukey humein pta hi nahi chalta  hum ker kia rahein hein aur kab hum ahista ahista apney aap pr sey ikhtiyar khotey jarahey hein.Yeh hamaree bohat baree majbori bantee jarahey hein.                                Anson hein ke rukney ka naam nahi letey aur bhi kayee chezon mey beiktiyar hojatey hein.  Hum  mey sey tou bohat sey log yeh chahatey  hongey k unki doree Rab apney hath mey hi rakhey tou behtar hey kukey unhey a...

RAB JANEY

Yeh Rab hi janey aksar hum kin kafiyat ka shikar hotey hein k achee bhalee zindagi humari udaseeion mey  ghirney lagtee hey aur kabhi kabhi hum bila wajeh hi khush ho jatey hein kisse ki koi baat bhi hamey buri nahi lagtee  balkey agar koi humey bohat bura bhala bhi kahey tou hum ghussey ke bajaey hans parhtey hein yeh tou mera kheyal hey hr aik key sath hi hota hoga iss ke liye aheley Dil hona ya na hona zaroree nahi hey,kabhi kabhi sakht Garmiyan bhi achee lagtee hein aur dil chahata hey gram gram chai ka bara mug piya jayey,Sardiyoun mey ice cream khaney ka dil chata hey,yeh tou sab hi ke sath hi hota hey.Ab ye tou Rab hi janey hum uss hi k bandey hein Woh hi humaree rag rag sey waqif hey Woh hamaree rag-e-jaan sey bhi zyada qareeb hey. 

MANOOS-E-TAMNNA

 Manoose-e- tamnna bara hi na manoose sa lafz lagta hey  lakin ahley Dil iss lafz sey taqreeban  manoose hi hotey hein kukey woh Tamnna kerna bhool jatey hein ya iss ki zarorat hi mehsoos nahi kertey kuki woh aik assey dabbey mey band ho jatey hein jo unki kul kayenat hota hey jis mey woh aik puri dunia abad ker letey hein aur woh dabba  muqaffal hota hey jabkey uski chabi unhi k haath mey hotee hey pr woh usko kholna nahi chatey  unhey issee terhan zindagi guzarney ki adat ho jatee hey.  woh andar hi andar aik khas qism ki ghotahn ka shikar ho jatey hey phi bhi iss sey baher nikalna chahetey hi nahi masty aur bekhudi unhey unn sey juda ker detee hey uss waqt woh ! woh nahi hotey jo sab ko nazar arahey hotey hein nahi jissko koi naam diya nahi jasakta ya hum naam dena nahi chatey kuki yeh baher ki dunia bilkul mayoose ho jatey hein,bahar ki dunia ke log unhey pagal ya dewana samajhtey hein.                 ...

DARYA DILLI

mey akser sochtee hon k kia kabhi insani wajood samunder ki terhan hosakta hey jo ooper sey bara hi pur sakoon nazar ata hey jabkey ander ka hal koi nahi janta siwaye uskey jisko justajo ho kher mey apney topic sey hat rahi hon mey baat kuch aur kerna chaatee hon , janney ya na janney ki taraf jana hi nahi chatee mey tou Samander ki misal iss liye dena chatee hon k jitnee uskey ander wusat hey aur deney ki salahiyet hey shayed hi kisse mey ho ya    Barish ki terhan ya phir Hawa ki terhan  ,kon hey kis mazhab ka hey ,kis zaat ka hey ,gora hey kala hey,ganda manda hey ya pak saaf,  ajnabi ya gher ajnabi unko tou bas lutana hey taqseem kerna aur bantna hey.jin logon ko in nayamaton sey faida uthana hota hey wo bila wasta ya bilwasta in sey mustafeed hotey hein.In teeno mey baat qadrey mutarik hey k ye Talib nahi hein balkey Matloob ko sershar ker detey hein bagher kisse muafzey aur lalach ke ,inkey honey sey her nafs khush hi hota hey aur ussey zindagi  ...

MAA AUR BACHA

Jab bacha paida bhi nahi hota wou tab hi sey Maa sey jura hua hota hey uss sey qareeb hota hey ,yeh baat bhi ajeeb hey ke wo apni Maa ke Hisar sey kabhi nahi nikalta chaey bara hoker uss ke ikhtiyar mey ho naho wo Apni maa ko hr hr qadam pr dekhta hey kuke wohi usski mushkilein hal kertee ayee hey iss liye hr hr merhaley mey wo hi yaad atee hey uss hi k mushwarey dimagh mey rehtey hein  continide
Hum aksar, logon ke munh sey yeh baat suntey aye hein ke hr banda apney naseeb ka kahta hey aur koi kisse ke naseeb ka nahi kha sakta aur yeh baat sahi bhi hey hamara bhi iss baat pr yaqeen hey,lakin