Posts

RANG

Ye dunia boht hi rangeen hey khuda ney iss mey beshumar rang paida kiye .Sab sey pehley tou quos u qaza (rainbow) ke rang ye tou lagta hey rangon ki shuruate  Asman sey hi huee hey phir Paharh hun ya samundar ,darakht,pattaey,phool hu ya phal yahan tak ke janwar hu ya Insan sab ke apney mukhtalif rang hein.Lakin mey in rangon ki baat nahi kr rahi mey tou iss ye sab zahiri rang hein jo mousam aur mahul ke mutabiq hotey hein. Mey jis ki rang ko manti hun wo Muhabbat ka rang hey,iss ki Miraj Ishiq e haqeeqi ka mazhar hey.Nafs pe qabo pehli shart hey phir iss ko mar kr mushaqat jhelna aur koshish kerna kisi terhan wo rang apnaye jo uskey mehboob ka hey ,lakin yye asaan kaam nahi boht waqt leta hey kabhi jaldi bhi hu jata hey qismat ki baat hey bas uss aik waqt ka intezar hey,wo kis chez ka intezar hey wo hey Ana ka khatma bas jesey hi  Ana ki mout hoti hey khizan ka mousam mudat puri kr leta hey phir bahar hi bahar aur Rang mazeed khil jata hey uar charhney ke liye betab hu jata hey

WAH RI QUDRAT TEREY KARISHMEY

Ye bara hee ajeeb topic hey lakin ye Qudrat sey shikwa nahi balkey ye tou Qudrat ki badhaee ka eitaraf he,hum apney aas pass boht se logon ko dekhtey hein hr koi kisi apney pyarey sey bichra hua hota hey koi iss dniya sey hi chala jata hey ya itni dour hota hey ke milney ka koi bahana bhi nahi ban pata,Wo pyarey hamarey itney qareeb hotey hein ke unki judaee mey  jeena tasawer kerna bhi namumkin lagta hey.  Magar wah ri Qudrat hum unkey bagher na sif jeena sekh letey hein balkey khuda humey iss gham sey barh kr gham jhelney ki taqat bhi deta hey, warna hr marney waley ke sath uskey pyarey bhi marjatey.Aur juda honey waley ke sath hamari Rooh bhi hum sey juda hojati. Ye jo jhelney ki taqat hey ye yaqeenan aik karishma hi hey warna hr insan chalti phirti laash hota aur hr ghar qabrustan.ya phir apney wajood ko aisey liye phirta jessey uss mey rooh hi na hu.

GHAM ACHEY YA KHUSHI

Insan apni zindagi mey boht sey tajarbat sey hokr guzar kr apney aap ko samjh pata hey.Aksar ussey dosron ki bhi samjh ati hey.kabhi kabhi mey sochti hun ke uss ki zindagi mey jitni bhi khushian ati hein wo khushian ussey kia dey kr jati hein,hum zyada ter yehi samjhtey hein ke khushian humey sakoon deti hein, itminan detein hein aur sab sey barh kr apney aap ko bharosa deti hein ke hum yaqenan kahein na khaein kuch acha kr rahey hein ke humey ye gift ke tou pr mili hein.jabke hum ye bhi jantey hein ye kam waqt ke liye hoti hein magar hum ye nahi jantey hami khushian kisi ko dukh bhi de saktein hein ,bas usi lamhey wohi khushian hum pr bojh ban jati hein aur hum bey sakoon kr deti hein,isi liye merey nazdeek Gham achey hotey hein ghamo sey kisi ko koi takleef nahi pohanchti aur nahi nazr lagti hey. sab sey bari baat ke woh  humey dhoka bhi nahi detey

کربلا کے بعد

کس دین کی بات کرتے ہو کرب و بلا کے بعد اسلام زندہ ہونا چاہیے اس  کربلا  کے  بعد نفاذ ے نفسانیت کے واسطے خوں نہ حق بہا دیا شریعت بپا ہونا چاہیے اس کربلا کے بعد حیوانیت کے زور  پے تقدّس کیا پامال کھینچے  گے ہم لگام اس کربلا  کے بعد جھولیوں مے ماؤں کی کلیاں مسل ہی دیں عرش کو ہلا دیا اس   کربلا  کے بعد باپ اٹھاۓ پھرتا ہے لاشہ پسر کا دیکھ کرب کی ہر رات ہے اس کربلا کے  بعد موتی لٹانے والوں کے خون کی قدر نہ کی ہوگا تیرا  حساب و کتاب اس کربلا کے بعد جوہری کے سامنے کیے لعل و گوہر تباہ نگلو گے کشت  مرگ   اس کربلا کے بعد اب   اشک نہ  بہا ہما پرواز کے دوران نہیں دور اب لوح و قلم اس کربلا کے بعد شیریں قادری

Khon ka badla khon

ہم زندہ ہیں ہم مرے نہیں ہم زندہ ہیں ہم مرے نہیں ہمارے خون نے لکھ دی ہے داستان نئی تاریخ نئی ہم کو رب نے چن لیا ہے دھرتی  ماں  کے سکھ کے لئے اس ماں نے بہت دکھ جھیلے  ہیں کبھی تیرے لئے کبھی میرے لئے کچھ اپنے! اسکا زخم بنے کچھ غیروں نے بھی  ستم کیے پر ماں نے اسے بھی سہ لیا تیرے میرے سکھ کے لئے بہت صبر کیا اور پیش کیے رب کی رضا پے لال کئی یہ دشمن جو خون کا پیاسا ہے پر اسکی پیاس نہ بجھ سکی یوں ایسی  اس  نے چال چلی کے  ماں کے  دل کو ٹھیس لگی اب ماں کی آنکھوں مے آنسوں ہیں لب پے اسکے نالے ہیں میری قوم کے ہر ایک فرد سنو ماں کی سسکی اور آہوں کو اب  تمکو ہے آواز اٹھانی نفس سے اپنے  قلم سے اپنی نہ ظلم کرو نہ سہنا ہے خوں  کا بدلہ لینا ہے خوں کا بدلہ خوں ہی ہے خوں کا بدلہ خوں ہی ہے شیریں  قادری

PHECHAN

                       پہچان انسان  اپنے آپ کو پہچاننے کی جستجو مے صدیوں سے لگا ہوا ہے اس کے لئے کبھی وہ شرقی راستہ لیتا ہے کبھی غربی ,کبھی شہروں شہروں گھومتا ہے کبھی صحرا کی خاک چھانتا ہے ,کبھی ہجوم مے رہتا کبھی تنہائی کو اپنا ساتھی بنا لیتا ہے مگر اپنے آپ کو جاننے اور پہچاننے  مے اکثر ناکام ہی رہتا ہے . یہ کام کوئی آسان نہیں ! مگر یہ ناممکن بھی نہیں بس کرنا یہ ہوتا ہے کے اپنے آپ سے ملاقات کرنی ہوتی ہے اب یہ سمجھنا ضروری ہے کے ملاقات کیسسے ھو ,جی ہان جان پہچان کے لئے ملنا تو ہوگا ,یہ  ملاقات آپ اکیلے خود سے نہیں کر سکتے اس  مے انسان بےبس ہے یہاں وہ اکیلا کچھ نہیں ,اتنا تو وہ جان ہی لیتا ھے ایک  دوست, ایک ایسا  دوست جو اسکی رہنمائی کرے اس سے مخلص ھو اور  پھر ہ وہ    ہی اسکو  منزل  تک پھونچا نے کا ذریعہ بنتا ھے .اس سے  ملکے یہ احساس ہو کے آپ اپنے آپ سے مل رہے ہوں  تو ووہی آپکو آپ سے ملا دیتا ہے اور پھر سفر آسان ہوجاتا ہے مگر مشکل تھوڑی سی یہ ہوتی ہے کے اپنے آپ کو کچھ وقت کے لئے بھولنا ہوتا ہے, اپنی ذات سے منہ موڑھنا ہوتا ہے   اس کے لئے دوست پر بھروسہ کرنا پڑے گا :

Dard ya Mohabbat

Ye sada tou mey kaee arsey suntti arahi hun ke, Huobb chaey ya Dard? Mohabbat chaey ya dard?Ye awaz Kahan sey ati hey maloom nahi magar aisa lagta hey ke koi merey ander sey hi bol raha hey,mujhey aazmaraha hey ke mey inn dono mey se kisey chunti hun . Pr mujhy bhi andaza nhi kr Mey inky darmian farq kr bhi paongi ke nahi.  Me ney kabhi tawajjeh nahi di iss awaz pr lakin kab tak akhir kabhi na kabhi tou mujhey jawab dena hi tha aur jab meney mohabbat chahee tou mutmaeen hogaee ke sahi faisla kia. Mey apni qismat pr heran thi aur sab sey mujhey boht mohabbat mili ,lakin ye mey bhool gaee ke iss Sodey mey Dard Enam ke tourr pr milta hey! han magar ye dard boht takleef deh nahi tha,Bohat arsa muhabbat ke sath sath Dard jhelt i rahi. Waqt ke sath sath iss Dard ki shidat mey izafa hota gaya ku? Ye boht baad mey samjh aya ke jab jab ye Muhabbat ki shidat ke sath barhta hey ,ye jankr mujhey aur bhi takleef huee ke Meri zindagi mey ab sirf Dard hi Dard hey