Posts

Dard ya Mohabbat

Ye sada tou mey kaee arsey suntti arahi hun ke, Huobb chaey ya Dard? Mohabbat chaey ya dard?Ye awaz Kahan sey ati hey maloom nahi magar aisa lagta hey ke koi merey ander sey hi bol raha hey,mujhey aazmaraha hey ke mey inn dono mey se kisey chunti hun . Pr mujhy bhi andaza nhi kr Mey inky darmian farq kr bhi paongi ke nahi.  Me ney kabhi tawajjeh nahi di iss awaz pr lakin kab tak akhir kabhi na kabhi tou mujhey jawab dena hi tha aur jab meney mohabbat chahee tou mutmaeen hogaee ke sahi faisla kia. Mey apni qismat pr heran thi aur sab sey mujhey boht mohabbat mili ,lakin ye mey bhool gaee ke iss Sodey mey Dard Enam ke tourr pr milta hey! han magar ye dard boht takleef deh nahi tha,Bohat arsa muhabbat ke sath sath Dard jhelt i rahi. Waqt ke sath sath iss Dard ki shidat mey izafa hota gaya ku? Ye boht baad mey samjh aya ke jab jab ye Muhabbat ki shidat ke sath barhta hey ,ye jankr mujhey aur bhi takleef huee ke Meri zindagi mey ab sirf Dard hi Dard hey

Dard ya Mohabbat

Ye sada tou mey kaee arsey suntti arahi hun ke, Huobb chaey ya Dard? Mohabbat chaey ya dard?Ye awaz Kahan sey ati hey maloom nahi magar aisa lagta hey ke koi merey wander sey hi vol raha hey,mujhey aazmaraha hey ke mey inn dono  ke darmian farq kr bhi paongi ke nahi. Me ney kabhi tawajjeh nahi di iss awaz pr lakin kab tak akhir kabhi na kabhi tou mujhey jawab dena hi tha aur jab meney mohabbat chahee tou mutmaeen hogaee ke sahi faisla kia. Mey apni qismat pr heran thi aur sab sey mujhey boht mohabbat mili ,lakin ye mey bhool gaee ke iss Sodey mey Dard Enam ke tourr pr milta hey! han magar ye dard boht takleef deh nahi tha,Bohat arsa muhabbat ke sath sath Dard jhelt i rahi. Waqt ke sath sath iss Dard ki shidat mey izafa hota gaya ku? Ye boht baad mey samjh aya ke jab jab ye Muhabbat ki shidat ke sath barhta hey ,ye jankr mujhey aur bhi takleef huee ke Meri zindagi mey ab sirf Dard hi Dard hey

Bayein Pasli

                بائیں پسلی  میری فطرت پے مجھے رہنے دو مجھے توڑو نہ جھکا رہنے دو ٹوٹی تو کبھی جڑ نہ پاؤنگی خاک ہوں خاک مے مل جاؤنگی میری ہستی کو فنا ہونا ہی ہے دیار یار مے مجھے کھونا ہی ہے میرا  جھکنا  راز فطرت ہے سن لو  میری حرمت میں نصرت ہے سن لو ٹوٹ  کے گرنا  میرا  معیار نہیں اتنی کم ظرفی میرا شعار نہیں اب  مجھے توڑہنے کے جتن رہنے دو بنت حوا ہوں شیریں سخن رہنے دو

Beetii Batein

Boht arsa hua mey apney haal mey nahi hun balkey Mazi mera hamsafer bhi hey mera ghamkhuar bhi aur sabsey barh ker meri humraz bhi, mera beeta hua kal mujhey khud sey milata hey aur ye hi meri khuhish hey ke mey apney aap sey  milon, kabhi kabhi khud ko janney ke baad bhi insan bazahir khud sey laparwa hojata hey aur phir kissi  aur dunia ka basi ban jata hey,jahan wo apna dost ban key apni islah kerta hey aur apney ass pass apney man passand logon ko rakhta hey jin ko wo apney sab sey qareeb samjhta hey.magar agar koi bahir ki dunia ka basi uski zindagi mey irteyash paida kerdey tou behadd takleef deh hota hey ,kuki irteyash wohi paida krey ga jo na uska hum mizaj hoga na ghum gusar,Bas phir ussi KABHI KABHI ka intezar kertey kertey boht arsa lag jata hey,ya Bahir ki dunia ka aik lamha bhi sadion lag jatey hein phir Beeti Batein uska muqaddar ban jatein hein.

Tanhaee

Tanhaee boht bari neyamat hoti hey,    iss neyamat ko hasil kerney ke liye  kia kia jaten kertey hein .Koi Sehra ka rasta dhundhta hey koi jangul aur bayaban ki ore chal parta hey,koi baaghaat ki saer krta hey, der haqeeqat tanhaee aapko batati hey ke aap hein kia? Apkey mann mey hey kia? Aapkey ander kia basta hey?  dunia!  ke Rab?                  Bara hee mushkil swaal hey jiska hal talash krna boht hi asaan hey,thorey hi waqt pata chal jata hey kuki tanha Insaan ya tou wehshat zada nazar aye ga ya pur sakoon. Wehshat zada insaan iss neyamat ko apney liye musibat samjhey ga, jabkey Pur sakoon nazar aney wala iss neyamat sey bharpur faida uthaey ga.                  Tanha Insaan jab akela hota hey to der asl wo akela nahi hota uski sathi Uski Mehboob tareen chez hoti hey, ye uski passand ke woh kis chez ko mehboob rakhta hey Maaddi ya rohani. Tanhaee ka maza jab hi ata hey jab Roh ke sakoon la saman kia jaey aur ye sakoon sirf aur sirf Rab ko yaad krney mey ata hey.               

Zameer ki Aawaz

انہیں سونے دو انہیں سونے دو  یہ  غفلت  کی چادر اوڑھے ہوے اپنے ہی غم مے ڈوبے ہوے کئی عشروں  سے منہ چھپا ے ہیں آوروں کے دکھ کی پروا نہیں میٹھی نیند کو  کھونا نہیں صداقت کا جوش حقیقت کا ہوش انکے بس کی بات  نہیں  انکے دن عید نہیں رات  بھی  تو شب رات  نہیں جانے کب یہ جاگیں  گے ہاں جب بھی لکن جاگیں گے اپنے آپ کو کوسیں گے اور منہ چھپا  کے روینگے ہاے وقت  کا پہیہ تو گھوم چکا تاریخ کا صفحہ  بھی بھر چکا لکھنے والوں نے لکھ بھی دی اپنے خون سے داستاں تری جو یاد رہیگی صدیوں تک کوئی بھی مٹا نہ پاے گا نہ  تلوار تری نہ نسل تری اور دینا پڑے گا حساب وہاں جہاں تیری مرضی کا نصاب  نہیں             شیریں قادری