Posts

KHATA KA PUTLA

Insan khata ka putla hey ye jumla mey ney bachpan sey leker ab tak najaney kitni martaba suna hey aur sun sun ke thak gayee hun yeh hum kehtey hi isliye hein ke khata kersakein ,khata kerney mey maza jo ata hey aur chatey hein koi humein dekhey bhi nahi aur agar dekh bhi ley tou iss jumley ko dohradein , kuki hum apni hi ghaltion ko nazarandaz kertey huey ye baat bohat bar dhuratey hein,

WE LOVE HAZRAT MOHAMMAD Salalah hu elehey wasallam

Allah aur Allah ke rasool sallala hu aley wasallam ki mohabbat ke siwa iss dunia mey kuch nahi rakha ,baqi sab ki mohabbat inn ke baad atee hey.Zahir hey khalq ki mohabbat bhi hamarey Eman ka juz hey jiss ke liye khud Allah Taala hum sey farmata hey ke jiss ney merey NABI ki etaat ki usney merei etaat ki aur hamarey nazdeek Allah ke baad Hamarey Nabi sey barh kr koi nahi Woh tou kehta hey k sarey gunah mey maaf kerdonga lakin Haqoqul-ebad ki pakar hey. Aik muslam honey ki hasiat sey hum pr aur hamaree jaanoon pr sab sey zyada haq hamarey pyarey Nabi (SAW) ka hey,ye baat hr hr Musalmam janta ,samjhta aur manta hey iss liye iss pr koi samjhota nahi 

GOHARE NAYAB

Zakham kitney hi hon hr aik ki apni takleef hotee hey, bas kerna ye hota hey k waqt pr isski dekhbhal kerni hotee hey warna barh jaye tou aur bhi insan azeeyat ka shikar hojata hey.Ye waqt pr hi sahi ilaj sey theek hojaey tou acha hey aur ye tasally kerna bhi zarori hey k ye bhar gya he kuki isska pta nahi chalta k ye bhra hey k nahi,ooper sey bzahir sab sahi hi maloom hota hey lakin andar hi andar ye apni jageh bna raha hota hey aur waqt ki gard ki teh iss per jam jatee hey aur zindagi mamool pr ajatee hey.magar phir kabhi na kabhi  woh lamha zaror ata hey jiska iss ko intezar hota hey aur woh phi Hara hojata hey naye sirey sey obharta hey bas wo aik hi sab pr bharee hojata hey,phir chahey kitney hi aur chout khaey wo itney takleef deh nahi hotee.  han aisa zaror hota hey bohat sarey zakhmon mey dard taqreeban taqseem hojata hey ,koi aik bhi apni alag hasiyet nahi rakhta (siwaey puraney dard k)  magr ihsas purey jism ko hota hey aur wo ihsas itni jaldi khatam bhi nahi hota.ye bhi khu

ANSOO

Ye Anson bhi ajeeb hotey hein ye ku ankhon mey ajatey hein dard apna ho ya praya issey inhey koi matlab nahi lakin ankhon aney ke liye koi na koi bahan mil hi jata hey. Yeh! ye bhi nahi dekhtey ke taleef kis noeyat ki hey rohani hey ya jismani ,nayee hey ya puranee inhey iss sey koi ghraz nahi. jab tak ander rehtey hein theek hota hey kisse ko kuch maloom nahi parhta aur agar ye baher nikal jaein tou aapki kefiat logon pr zahi hojatee hey jo k bari takleef dey baat hotee hey agar sachey hon kuke ye aapki dil ka haal keh daltey hein.baaz martaba hum jab kuch bolney k qabil nahi hotey tou ye hi anson hamaree zuban ki terjumani kertey hein aur dil ki baat samjhdetey hein,jabkey kaee martaba hum nahi chahatey ke koi  mehram-e-raaz ho, bas us waqt hum ye hamey dhoka de detey hei Lakin shayed hum bhi ye baat nahi samjhtey k asl mey anson humey dhoka nahi de rahey balkey ye hamrey samney Ye haqeeqat khol detey hein k kon hamarey kitney qareeb hey.wohi anson jo ankhon mey hotey wo Magnifying

IKHTIYAR

          Ikhtiyar kia hey yeh hum mey sey taqreeban sab hi log jantey hein. Hum sab kissi ke ikhtiyar mey hona bhi chahatey hein aur kisse pr ikhtiyar rakhna bhi chahatey hein kukey aur bohat si dosseri qadron ke sath sath hum ye bhi qadr khotey jarahey hein.Abb tou  hum apney opper sey bhi ikhtiyar kho detey jarahey hein ,achey khasey mood mey baatein kertey huey behas kerney lagtey hein aur aakhir mey iss ka anjam bohat bura hi hota hey kukey humein pta hi nahi chalta  hum ker kia rahein hein aur kab hum ahista ahista apney aap pr sey ikhtiyar khotey jarahey hein.Yeh hamaree bohat baree majbori bantee jarahey hein.                                Anson hein ke rukney ka naam nahi letey aur bhi kayee chezon mey beiktiyar hojatey hein.  Hum  mey sey tou bohat sey log yeh chahatey  hongey k unki doree Rab apney hath mey hi rakhey tou behtar hey kukey unhey apney opper ikhtiyar hi nahi rehta ,aur Rab jo krey ga behtar hi krey ga (beshak) kuch baatein aisse hein jo dil sey jurein hei un

RAB JANEY

Yeh Rab hi janey aksar hum kin kafiyat ka shikar hotey hein k achee bhalee zindagi humari udaseeion mey  ghirney lagtee hey aur kabhi kabhi hum bila wajeh hi khush ho jatey hein kisse ki koi baat bhi hamey buri nahi lagtee  balkey agar koi humey bohat bura bhala bhi kahey tou hum ghussey ke bajaey hans parhtey hein yeh tou mera kheyal hey hr aik key sath hi hota hoga iss ke liye aheley Dil hona ya na hona zaroree nahi hey,kabhi kabhi sakht Garmiyan bhi achee lagtee hein aur dil chahata hey gram gram chai ka bara mug piya jayey,Sardiyoun mey ice cream khaney ka dil chata hey,yeh tou sab hi ke sath hi hota hey.Ab ye tou Rab hi janey hum uss hi k bandey hein Woh hi humaree rag rag sey waqif hey Woh hamaree rag-e-jaan sey bhi zyada qareeb hey. 

MANOOS-E-TAMNNA

 Manoose-e- tamnna bara hi na manoose sa lafz lagta hey  lakin ahley Dil iss lafz sey taqreeban  manoose hi hotey hein kukey woh Tamnna kerna bhool jatey hein ya iss ki zarorat hi mehsoos nahi kertey kuki woh aik assey dabbey mey band ho jatey hein jo unki kul kayenat hota hey jis mey woh aik puri dunia abad ker letey hein aur woh dabba  muqaffal hota hey jabkey uski chabi unhi k haath mey hotee hey pr woh usko kholna nahi chatey  unhey issee terhan zindagi guzarney ki adat ho jatee hey.  woh andar hi andar aik khas qism ki ghotahn ka shikar ho jatey hey phi bhi iss sey baher nikalna chahetey hi nahi masty aur bekhudi unhey unn sey juda ker detee hey uss waqt woh ! woh nahi hotey jo sab ko nazar arahey hotey hein nahi jissko koi naam diya nahi jasakta ya hum naam dena nahi chatey kuki yeh baher ki dunia bilkul mayoose ho jatey hein,bahar ki dunia ke log unhey pagal ya dewana samajhtey hein.                                                                                           yeh