Posts

1rst january

Saal ka phela din bhi guzar gaya aur yahan khuch naya nahi hua aur ho bhi kia sakta hey kuki hum ney kabhi khuch naya kerney ka socha hi nahi hey.wohi puraney tareqey sey naya saal manaya gaya wohi nach gana masti aur fireing jo hamesha kertey aye hein wohi kia .raat 12 bajey whi tamasha tha aur hum thay koi rokney tokney wala nahi fireing ka hona humaree hr khushi ka hissa hey jabkey humey pata hey ke iss sey humaree hr khushi gham mey badal jatee hey chaey shadi mey ho ya jeet ki khushi ya iss terhan ke events  hon hr jageh iss ki wajeh sey khushian gharat ho jati hein pr kia krey koi aur tareeqa nahi sojhta siwaye iss ke aur jo isska nishana bantey hein unka Allah tou hey aur uskey baad media waley hein .effected logon ke gharon mey kia hua ya wahan kia khuram macha isska koi pursaney haal nahi .                                            Behrhal yeh bhi zindzgi ka aik...

HUKMARANI

Hr insan hukmarani ka shouq rakhta hey chahey woh chota ho ya bara, ameer ho ya ghareeb, sahib-e-ikhtiyare ho ya bey ikhtiyare,iss sey kissi ko koi farq nahi parhta Hukm chalaney ka shoq hr aik ko hota hey .hamarey yahan Mardon mey tou ye boht aam hey pr auratein bhi pheechey nahi hein Mia pr daao chal gaya tou chal gia warna bachey tou hein.Afsar apney maathet  pr aur woh apney sey kam pr Hukm chalaney sey guraise nahi kerta bas jisko jahan moqa mil jaey,Hukmarani ka shouq rakhney waley akser afrad ko ye baat mery khyal mey pata hi nahi hoti ke Hukmarani kerne ky dou( 2) tareeqey Aik ye ke Dil pe ki jaey Dosery ye k Dimagh pr ki jaey,zyda ter loug dimagh pe hukmarani pr zyada  zore detey hei iss ky faidey barey hein iss mey aapki Ego hurt nahi hoti aur foren ke foren baat puri hojatee hey bandey ki chahey aissi ki tessi hojaey,yeh hi tou chata hey Dimagh pr hukum chalaney wala bas ye tou boht asan kaam hey aur issko kerney mey koi nuqsan bhi nahi lakin Dil pr hukmarani kissi...

KHATA KA PUTLA

Insan khata ka putla hey ye jumla mey ney bachpan sey leker ab tak najaney kitni martaba suna hey aur sun sun ke thak gayee hun yeh hum kehtey hi isliye hein ke khata kersakein ,khata kerney mey maza jo ata hey aur chatey hein koi humein dekhey bhi nahi aur agar dekh bhi ley tou iss jumley ko dohradein , kuki hum apni hi ghaltion ko nazarandaz kertey huey ye baat bohat bar dhuratey hein,

WE LOVE HAZRAT MOHAMMAD Salalah hu elehey wasallam

Allah aur Allah ke rasool sallala hu aley wasallam ki mohabbat ke siwa iss dunia mey kuch nahi rakha ,baqi sab ki mohabbat inn ke baad atee hey.Zahir hey khalq ki mohabbat bhi hamarey Eman ka juz hey jiss ke liye khud Allah Taala hum sey farmata hey ke jiss ney merey NABI ki etaat ki usney merei etaat ki aur hamarey nazdeek Allah ke baad Hamarey Nabi sey barh kr koi nahi Woh tou kehta hey k sarey gunah mey maaf kerdonga lakin Haqoqul-ebad ki pakar hey. Aik muslam honey ki hasiat sey hum pr aur hamaree jaanoon pr sab sey zyada haq hamarey pyarey Nabi (SAW) ka hey,ye baat hr hr Musalmam janta ,samjhta aur manta hey iss liye iss pr koi samjhota nahi 

GOHARE NAYAB

Zakham kitney hi hon hr aik ki apni takleef hotee hey, bas kerna ye hota hey k waqt pr isski dekhbhal kerni hotee hey warna barh jaye tou aur bhi insan azeeyat ka shikar hojata hey.Ye waqt pr hi sahi ilaj sey theek hojaey tou acha hey aur ye tasally kerna bhi zarori hey k ye bhar gya he kuki isska pta nahi chalta k ye bhra hey k nahi,ooper sey bzahir sab sahi hi maloom hota hey lakin andar hi andar ye apni jageh bna raha hota hey aur waqt ki gard ki teh iss per jam jatee hey aur zindagi mamool pr ajatee hey.magar phir kabhi na kabhi  woh lamha zaror ata hey jiska iss ko intezar hota hey aur woh phi Hara hojata hey naye sirey sey obharta hey bas wo aik hi sab pr bharee hojata hey,phir chahey kitney hi aur chout khaey wo itney takleef deh nahi hotee.  han aisa zaror hota hey bohat sarey zakhmon mey dard taqreeban taqseem hojata hey ,koi aik bhi apni alag hasiyet nahi rakhta (siwaey puraney dard k)  magr ihsas purey jism ko hota hey aur wo ihsas itni jaldi khatam bhi nahi h...

ANSOO

Ye Anson bhi ajeeb hotey hein ye ku ankhon mey ajatey hein dard apna ho ya praya issey inhey koi matlab nahi lakin ankhon aney ke liye koi na koi bahan mil hi jata hey. Yeh! ye bhi nahi dekhtey ke taleef kis noeyat ki hey rohani hey ya jismani ,nayee hey ya puranee inhey iss sey koi ghraz nahi. jab tak ander rehtey hein theek hota hey kisse ko kuch maloom nahi parhta aur agar ye baher nikal jaein tou aapki kefiat logon pr zahi hojatee hey jo k bari takleef dey baat hotee hey agar sachey hon kuke ye aapki dil ka haal keh daltey hein.baaz martaba hum jab kuch bolney k qabil nahi hotey tou ye hi anson hamaree zuban ki terjumani kertey hein aur dil ki baat samjhdetey hein,jabkey kaee martaba hum nahi chahatey ke koi  mehram-e-raaz ho, bas us waqt hum ye hamey dhoka de detey hei Lakin shayed hum bhi ye baat nahi samjhtey k asl mey anson humey dhoka nahi de rahey balkey ye hamrey samney Ye haqeeqat khol detey hein k kon hamarey kitney qareeb hey.wohi anson jo ankhon mey hotey wo Magnify...

IKHTIYAR

          Ikhtiyar kia hey yeh hum mey sey taqreeban sab hi log jantey hein. Hum sab kissi ke ikhtiyar mey hona bhi chahatey hein aur kisse pr ikhtiyar rakhna bhi chahatey hein kukey aur bohat si dosseri qadron ke sath sath hum ye bhi qadr khotey jarahey hein.Abb tou  hum apney opper sey bhi ikhtiyar kho detey jarahey hein ,achey khasey mood mey baatein kertey huey behas kerney lagtey hein aur aakhir mey iss ka anjam bohat bura hi hota hey kukey humein pta hi nahi chalta  hum ker kia rahein hein aur kab hum ahista ahista apney aap pr sey ikhtiyar khotey jarahey hein.Yeh hamaree bohat baree majbori bantee jarahey hein.                                Anson hein ke rukney ka naam nahi letey aur bhi kayee chezon mey beiktiyar hojatey hein.  Hum  mey sey tou bohat sey log yeh chahatey  hongey k unki doree Rab apney hath mey hi rakhey tou behtar hey kukey unhey a...