JHAROO
Woh kafi bara sehan tha , asmaan pura khula hua tha, dhoop ser pr chamak rahi thi haddey nigah tak mujhey koi nazar nahi araha tha aik ajeeb si khamoshi ka raj tha aur mey preshan khareey hoyee thee mery hont khushk thay magar mujhey pyass mehsose nahi horahi thee aik ajeeb kaifiat ka shikar thi kuki mujhey samajh nahi araha tha mey kia kron,koi bohat tumbihee andaz mey keh rah tha ke tumhey nazar nahi arah 'ke sehan mey kitna koora jama ho raha hey chalo jharoo uthao aur sasfaee kro'sehan ke aik koney mey bohat bara bergad ka darakht tha usskey patey porey sehan mey bikhrey hoye they, lakin jharoo kahan sey ayegi ?yeh aik swal tha jo mery zehan mey bar bar arah tha jharoo kahan sey laon kesey safaee kron,mujhey jab kuch samjh mey nahi aya tou meney apni aurhni utar ker uss sey safaee shuru ker di ke achanak phi wohi awaz mery kanon sey takraee 'aorhni ser per dal o tumhey pta nahi yeh bohat baree Dergha hey' abkey bar uss awaz mey thorey ghusey ki amezish bhi thi.l...