Posts

Amman SYEDA QAMAR JEHAN KAZMI

Amman , Amman chali gaein woh iss dunia mey nahi rahein,iss jahan-e-fani ko kherabad keh kr  apney Rabb ke pass chali gaeen(inna lilalahi wa inna alehey rajeun)  jahan janey ki unki bari chahat thi  aur jahan janey ke liye woh hr waqt taeyyar thein,unka Dil ab iss dunnya mey nahi lagta tha aur woh majboren iss dunia mey reh rahien thien,jism yahan tha magar dil kissee aur jaga tha hosakta hey unka dil apney Mehboot ki taraf ho,jism Mehboob ki kushnodi mey laga hua tha aur Dil deedar ki aas mey janey kahan kahan hazree de raha tha bas aik Roh thi jo hukmey Illahi ke intezar mey thi.Dil ki becheinian kam ker gaen aur akheri waqt mey bhi Amman ke Dil ne unka bara sath diya unhein dil ka dora para jiss sey woh janber na ho sakein aur dil iss qable nahi tha k uska treatment hosakey kuki iss mey jeeney ki arzo thi hi nahi unkey Dil  mey tou bass Allah ki mohabbat josh marti thi.Aaqa alehe slam aur Nana jan qibla aur tamam buzurgoun ki mohabbat mey rangi hoee unki zindagi ...

AllAH KI KHUSHI

yeh baat samajh mey nahi ati k hum insan aik dossery ko itni asani sey kiuon nahi samjhtey jitney asani sey hum janwaron ko samjh letey hein,Insan ashraful makhloqat hey tou aik dosery ko samajhna aur bhi asan hona chahey .jab hum ghar mey koi hi pet latey hein tou usko samjhney mey hu ji jaan laga detey hein uskey khaney peny k time fix ker detey hein uskey aur zaroriyat ka bhi khyal rakhtey hein ,lakin jab hum kisse insan ko apni zindagi mey shamil kertey hey tou hum chahaet hei k woh hmara khyal rakhey chalo yeh bhi theek hey mager kisse bhi kism ki kotahi hum sey bardasht nahi hoti halankey agar hum kisse bhi shakhs ko samjah jaein tou zidagi bohat asan ho jati hey.kia hum logon sey Mahabbat nahi kertey?kuonki jin sey hum mohabbat kertey hein unki koi baat hamey buri nahi lagti balkey unki narazgi humey bechen ker deti hey ,tou kia hum sab insanon sey issey terhan muhabbat nahi kersaktey   'kia Allah ke liye bhi nahi'.jabkey hum sab achee terhan jantey hei k Allah apney ba...

ANKHON KA KIA AITEBAR

Mein yeh ankhein kahan le jaon mein kia kron yeh mere bas mey nahi hein ,Woh aaj bhi bathee yeh hi soch rahi thee inn ankhon ney tou hameesha mujhey dhoka hi diya hey lakin auron ke sath inki wafa aur mery sath jafa yeh meree dost tou ho hi nahi saktee, abhi woh barbra hi rahi thi k uss ki aik akloti saheli ann phunchi.                                                          Arey ye kia? tumharee ankhon ko kia hua?aaj phir koi baat hoyee he na mujhey btao Zeenat bohat sarey swalat kartee chlee gai,lakin uss ney koi jwab nahi diya bas aik ansoon ki lari thi jo bohat kuch bta gai, phir Zeenat ney barey hi pyar sey uss ka chera apney hathon mey lia aur kehney lagi "tumhara naam Tabbassum key bjaey Naina  hona chahey''                                   ...

ALLAMA IQBAL the great poet

Image
Allma Iqbal not only great poet but great philosopher and active political leader.                                                            

Syed Noor-ul-Islam Qadri

Image
   Murshid-e- kareem Taya Abba Qibla (marhoom)     Mery pass woh alfaz nahin hein jin sey mey apney Murshid-e-kareem barey mey kuch keh sakon.Woh aik asee roshni hein jiss sey na sirf asani ke sath manzil pe pohancha jasakta hey balkey usski thandak bhi mehsoos ki jasaktee hey. Iss Roshni ke sath mey milon chali hun bagheir kissi thakawat aur mayusi ke,apni dunia mey magan mery Murshid kabhi bhi mujh sey bekhaber nahi rahey woh ab bhi apnni mojudgi aur mutawajjah honey ka  ihsas hr pal dilatey hein. Allah mery  murshid ke darajat buland krey unhey jannat mey aala maqam dey aur unki aulad pr apna fazal o karam ker aur mureedon pr hamesha rehmat ki nazar rakhna ameeen.

Moulana Jami

Image
Moulana Nuruddin Abdurrahman Jami                                                                                            The last great poet in classical Persian was born in a small town of  khurasan(Afghanistan).                                 learned Arabic and Persian from his father and then further studied under Gghazi zadeh Ruhm in Samarkand.Jami joined the dervaish  circle of  Khaja Saduddin Kashgari.He wrote many books of poetry theology and grammar and the Age of 70 he completed his masterpiece ,Yusuf And Zulekha.Jami was independent man with the good seance of humor and often annoyed hi...

NO pain NO gain

Dont say NO,hum aksar suntey aaye hein No kbi na kahu NO sey bad effects hotey hein kaam ho nahi patey rukawaten paida hpjatee hein  aur YES kehney sey rukey hoye kam bhi ho jatey hein asanian hoti hein,isterhan ki tou bohat si baten aur misalein hein. LAKIN jub  kissee sey umeed rakhney ki baat aaye tou hamein  chahiye   ke hum mind NO rakhen ,jeesey ke hamaree CRICKET team jin sey hamein hamesha NO ki tawaqu honi chahiye yani jub bhi koi important Match khelen tou apney aap sey aur sub sey yehi kehna chahey NO NO NO ye match hum nahi jeeten gey aur hamein jeetna bhi nahi chahiye aur pir dekhen kitee asanian hoteen hein koi tension nahi ,koi udasi nahi kisee qism ki koi rukawat jo Match dekhney sey hoti kuch bhi nahi hoga ,agar haar gaye tou kia hua koi maslanahi aur agar jeet gaye tou achee baat hogi, ye nusqa aazma ke dekhen afaqa hoga aur aap ki zindagi mein chen hi chen hoga .