Posts

Showing posts from September, 2012

ANSOO

Ye Anson bhi ajeeb hotey hein ye ku ankhon mey ajatey hein dard apna ho ya praya issey inhey koi matlab nahi lakin ankhon aney ke liye koi na koi bahan mil hi jata hey. Yeh! ye bhi nahi dekhtey ke taleef kis noeyat ki hey rohani hey ya jismani ,nayee hey ya puranee inhey iss sey koi ghraz nahi. jab tak ander rehtey hein theek hota hey kisse ko kuch maloom nahi parhta aur agar ye baher nikal jaein tou aapki kefiat logon pr zahi hojatee hey jo k bari takleef dey baat hotee hey agar sachey hon kuke ye aapki dil ka haal keh daltey hein.baaz martaba hum jab kuch bolney k qabil nahi hotey tou ye hi anson hamaree zuban ki terjumani kertey hein aur dil ki baat samjhdetey hein,jabkey kaee martaba hum nahi chahatey ke koi  mehram-e-raaz ho, bas us waqt hum ye hamey dhoka de detey hei Lakin shayed hum bhi ye baat nahi samjhtey k asl mey anson humey dhoka nahi de rahey balkey ye hamrey samney Ye haqeeqat khol detey hein k kon hamarey kitney qareeb hey.wohi anson jo ankhon mey hotey wo Magnify...

IKHTIYAR

          Ikhtiyar kia hey yeh hum mey sey taqreeban sab hi log jantey hein. Hum sab kissi ke ikhtiyar mey hona bhi chahatey hein aur kisse pr ikhtiyar rakhna bhi chahatey hein kukey aur bohat si dosseri qadron ke sath sath hum ye bhi qadr khotey jarahey hein.Abb tou  hum apney opper sey bhi ikhtiyar kho detey jarahey hein ,achey khasey mood mey baatein kertey huey behas kerney lagtey hein aur aakhir mey iss ka anjam bohat bura hi hota hey kukey humein pta hi nahi chalta  hum ker kia rahein hein aur kab hum ahista ahista apney aap pr sey ikhtiyar khotey jarahey hein.Yeh hamaree bohat baree majbori bantee jarahey hein.                                Anson hein ke rukney ka naam nahi letey aur bhi kayee chezon mey beiktiyar hojatey hein.  Hum  mey sey tou bohat sey log yeh chahatey  hongey k unki doree Rab apney hath mey hi rakhey tou behtar hey kukey unhey a...

RAB JANEY

Yeh Rab hi janey aksar hum kin kafiyat ka shikar hotey hein k achee bhalee zindagi humari udaseeion mey  ghirney lagtee hey aur kabhi kabhi hum bila wajeh hi khush ho jatey hein kisse ki koi baat bhi hamey buri nahi lagtee  balkey agar koi humey bohat bura bhala bhi kahey tou hum ghussey ke bajaey hans parhtey hein yeh tou mera kheyal hey hr aik key sath hi hota hoga iss ke liye aheley Dil hona ya na hona zaroree nahi hey,kabhi kabhi sakht Garmiyan bhi achee lagtee hein aur dil chahata hey gram gram chai ka bara mug piya jayey,Sardiyoun mey ice cream khaney ka dil chata hey,yeh tou sab hi ke sath hi hota hey.Ab ye tou Rab hi janey hum uss hi k bandey hein Woh hi humaree rag rag sey waqif hey Woh hamaree rag-e-jaan sey bhi zyada qareeb hey.